Collection Poems
KhamOsh Lafz
Tum Sirf Meray Hei Bano ...
"Na ye chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano,
main to hamesha bas chaahti tujhe rahi,
na ye arzoo ke kabhi mere pyaar ka jawaab do,
sirf pyaar hi pyaar se main dekhti tujhe rahi,
ek ehsaas tha dil me jo tujhe dekh ke jaag uthta tha,
us ehsaas ko khamoshi se mehsoos karti rahi,
teri hi rahon me thi,bas tere kareeb rehne ko,
tu dekh na sake mujhe,chup chup tujhe nihaarti rahi,
guzar gaye din,guzar gaye kai saal aise hi,
tere hi khwaab aankhon me sajaati rahi,
na chaha kabhi ye khwab tum aakar poore karo,
dil ke armaan dil me paida kar, wahin dafnati rahi,
khamosh lafz,khamosh aankhein,khamosh zindagani,
is tarhan waqt ke sath sath main jeeti rahi,
jaanti thhi tootenge ye pyaar ke khwab ek din,
isliye inhe khud bun bun ke main bikherti rahi,
tu hai aaj kisi aur ka,lekin main hun sirf teri,
apni pyaar bhari duniya me tujhe main basaati rahi,
na tujhe kal khabar thhi,na khabar hai ye aaj,
muskuraahat me har ek ashq main chupati rahi,
jaanti thhi agar maine ikraar kar diya mohabbat ka,
na koi rishta reh paayega phir tere kareeb rehne ko,
ek maamooli dost bankar hi sahi,manzoor tha mujhe,
bas teri zindagi me rehne ko pyaar dabaati rahi,
meri chahat thhi bas yahi ke tujhe chaahti rahoon,
teri khushiyon ko tere kareeb rehke nihaarti rahi,
teri awaaz sun saku ,tujhse baat kar saku,
is khaatir nigaahon ko apni khamosh karaati rahi,
jo tujhe pata chal jaata kitni mohabbat hai tumse,
jaanti hun,phir na koi apna rishta reh paata,
chup chup ke sahi ye pyaar nibhaaungi zindagi bhar,
khamosh thhi main ,khamosh hi meri mohabbat rahi "
Poet "Aatif Saeed"
kaha tha na!
kaha tha na!!!
kaha tha na
meri khamoshiyon ko tum koi mainay nahi dena
judai ki sabhi baatien meri ankhon mein parh lena
meri iss muskurahat mein, agar mahsoos kar pao
to mere ansooN ki tum nami mahsoos kar lena
kaheen jo rah gayi hai wo kami mahsoos kar lena
meri sochien!!
meri sochein mere alfaaz ka jab roop leti hain
tumhara aks banta hai
meri neendoon mein jab jab ratjagoon ke deeep jaltay hain
tumhara zikr chalta hai
tumhari yaad maazi ke dareechay khool deti hai
tumhari shabnami aahat ye mujh se bol deti hai
kaha tha na!!
kaha tha na humaray darmiyan ye faslay qismat mein likhay hain
aur iss qismat ke likhay ko badal tum bhi nahi saktein,
badal mein bhi nahi sakti
magar mushkil yehe hai hijr ke porpaich raston per
sambhal tum bhi nahi saktien, sambhal mein bhinahi sakti
to behter hai ke hum ek dosray ki yaad ke humrah hojayien
ke abh ke iss mohabat se nikal tum bhi nahi saktien,
nikal mein bhi nahi sakti
suno jaanaaN
suno jaanan tumhari shabnamni aahat mere andar dharkti hai
magar jab khaamshi se tum koi maaini nahi letien
to ye dil rooth jata hai
mere ander kaheen per kuch achanak tooot jata hai…
mere ander kaheen per kuch achanak tooot jata hai…
kaha tha na!!!
​
jo na mil saka usay bhool ja
jo na mil saka usay bhool ja
Jo na mil sakey, wohi bewafa
Ye
bardee ajeeb si baat hey
Jo chala gaya mujhe chord ker
Wohi ajj tuq merey saath hey
Jo na mil …saath hey
Jo kisi nazer sey atta howeee
Wohi roshni hey khayal mein
Wo na a sakey hum muntazir
Ye khalish kahan thi wisal mein
Meri justajoo ko khabar nahi
Na vo din rahey, na vo raath rahi
Jo chaala gaya mujhe chord ker
Wohi ajj tuq merey saath hey
Jo na mil sakey wohi bewafa
Kerey piyar lub pey gila na ho
Ye kisi kisi ka naseeb hey
Ye karam hey uss ka, jaffa nahi
"Woh judda bhi reh key kareeb hey"
Wohi aankh hey merey rooh baroo
Ussi haath mein merra haath hey
Jo chaala gaya mujhe chord ker
Wohi ajj tuq merey saath hey
Jo na mil sakey wohi bewafa
Merra naam tuq jo na ley sakaa
Jo mujhey karar na dey sakaa
Jissey ikhtiyaar tou tha magar
Mujhey apna pyaar na dey sakda
Wohi shaqs merri talaash hey
Wohi dard meree hayaat hey
Jo chaala gaya mujhe chord ker
Wohi ajj tuq merey saath hey
Jo na mil sakey wohi bewafa
Ye bardee ajeeb si baat hey
Jo chala gaya mujhe chord ker
Wohi ajj tuq merey saath hey.
Dil mein jo baat hai
Dil mein jo baat hai , woh baat kahogi kab tak….
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak
kab tak is baat ko honton pay na laaoigi tum
kab tak is jazba-e-ulfat ko chupaaoigi tum
kab tak is raah say katra kay chalogi tanhaa
kab tak is aag mein chup chaap jalogi tanha
Dard furqat ka meri jaan sahogi kab tak…….
dil ki woh baat jo honton pay thehar jaati hai
jii jalaati hai tumhara, tumhein tarpaati hai
lab pay laatey hua bhi jis ko hijaab aata hai
bin kahe bhi jisay dil chain nahin paata hai
chup kay darya mein khamoshi say bahoogi kab tak……
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak
kabhi kitabon mein phul rakna
kabhi kitabon mein phul rakna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yaad ajj tak wo
nazar se har-e-salam likna
wo chand chehre wo behki baten
sulgate din the mehakti raten
wo chote-chote se kagazon par
muhabbaton k payam likna
Gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-nataman likna
mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kaha base ho
kahan hain un ka qayam likna
gai ruton mein hassan hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subha kahna
kisi ki zulfon ko sham likna
Janey kya bat hai jo khafa betha hai,
Janey kya bat hai jo khafa betha hai,
Mujhsey ik shakhs bagawat pey tula betha hai,
wo parinda jisey parwaz sey frusat hi na thi,
Aj tanha hai to dewar par baita hai,
Bolta hai mujhey azn e khmoshi dey kar,
Kon hai jo pas e izhar chupa betha hai,
Tum bhi majmla arbab e jafa nikley ho,
Tum to kehtey they har dil me khuda betha hai,
Thak gya dasht e talb mai to sawali ban kar,
Mera saya meri dehleez par aa betha hai,
Tu kitabon me kisey dhonta rehta hai "-------------",
Ye tu kya rogg merey yar laga betha hai.
Mujh se kinara kar ke
Mujh se kinara kar ke,kuch pal toh us ne,
apni ankhon ko
dhoya hoga
Bait ke kisi kone me sar-e-shaam kuch aansu toh woh roya hoga
Peshemaan toh woh bohat hua hoga apni he berukhi se
kaab me na sahi,neend se pehle meri yaad ke baad hi soya hoga
Ahbab ke qarb me maine yahi aik baat seekhi hai
uss ne bhi kisi tareeqi ke kone main apne aansu ko peeoya hoga
Mera dil nahin dukha par main hazaar aansu roya
meri manind na sahi,par fursat me qaraar toh woh khoya hoga
mere dard-e-dil ko koi samajtaa,toh phir kisi ko gila na
rehta harf-e-muhabbat se
Use kia maloom,maine kis kis samandar main khud ko dhooboya
hoga
main apne fan-e-naqsh-e-naqari ke charchay kyu karon,
kyu sunaau main apne afsaany sab ko,
mujhe malooon hai woh kisi aur ka ho ke bhi mere he khayalon main khoya hoga.
Wo mere Mehndi Lage Hathon ko Dikh Kar roya
Wo mere Mehndi Lage Hathon ko Dikh Kar roya
Tum ab Kisi Or Ki Ho Itna Bata Kar Roya
Wo Mere Mehndi Lage Hathon ko Dikh Kar Roya
Umer Bhar Ki Judai Ka Khayal Aya Tha Shayad
Woh Mujhe Pass Apne Dair Tak Bitha Kar Roya
Aab K Na Sahi Zaroor Hisaar Main Milain Ga
Yakeen Honey Ke Dilase Dila Kar Roya
Mujh Se Zayda Bicharne Ka Ghum Usey Tha
Waqt-E-Rukshat Wo Mujhe Seenay Se Laga Kar Roya
Bekasoor hu,Qudrat Ka Faisla Hai Yeh
Lipat Kar Bus uss se Itna Baata Kar Roye
Mujhse bichara to door hath ke roya
na jane kyu apno mai woh palat ke roya
mujh pe dhukh ka ek pahaar aur toota
Jab Mere Samne Mere Khat Jala Kar Roya
Meri Nafrat Or Adawat Pighal Gayi Ik Pal Main
Woh Be-Wafa hai To Kyun Mujhe Rula Kar Roya
Sab Shikwe Meray Ik Pal Main Badal Gaye
Jheel se Ankhon Main jab Ansu Saja Kar Roya
kehin se patth na jaye seena mera
woh haste haste mujhe hasa ke roya
dil na toote uss ka gham e hazaar mein
main bhi rohey woh bhi roya
mere ankh se ankh mila ke roya
Khabi kehta tha jee na pau ga tumara bin
Aur ajj wohi baat daura ke roya
uss ne jana jab mere rone ka sabab
apne ansu mere hatheli par saja kar roya
jab bhi deka usse haste huwe deka
Dil ne chaha ke usse jee bhar ke dek lu akri
baarwoh mere ankhon ki pyaas bujha ke roya
jo humsa humdard tumko na mila to
woh keh kar mujhse bata kar roya
Mein uss ki bahon mai kush rehna wali
Ajj kisi ki aur ki bahon main simaat ke rohey
Main gareeb ka
beta hon
Haan,
Main gareeb ka beta hon...
zindagi ko sitam main kehta hon..
majbooriyan me bhi khush rehta hon..
chand boondon se pait bhar leta hon..
Kyu ke
main gareeb ka beta hon..
Thandi mein thithoor leta hon,
Barsaat mein bheeg leta hon,
Toh pathron pe main so leta hon.
Kyu ke
main gareeb ka beta hon..
Kabhi sabzi,to kabhi kuch na milay,
Namak,roti pe main jee leta hon,
Zakham chahay jaisa bhi ho,
Thori haldi main laga leta hon,
Kyu ke
main gareeb ka beta hon..
Ek kameez, ek patloon,
Roz bina sabun,main dhota hon,
Bari dukaano ki ronak dekh,
Aksar khush main ho leta hon,
Kyu ke
main gareeb ka beta hon..
Gham bhi bohat hai.. Dard bhi hai..
Dil main sab daba leta hon,
Kabhi akelay,to kabhi sab k samnay,
Aankhon se anootha bhigo leta hon,
Kyu ke
main gareeb ka beta hon..
Yeh mehlon yeh takhton
Poet: Sahir ludhianvi
Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya,
Yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya,
Yeh daulat key bhookhay rawajon ki duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,
Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi,
Nigahon mein uljhan, dilon mein udaasi,
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Yahaan ik khilona hai insaan ki hasti,
Yeh basti hai murda paraston ki basti,
Yahaan par to jeevan se hai maut sasti,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Jawaani bhatakti hai badkaar ban kar,
Jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar,
Yahaan pyaar hota hai byopaar ban kar,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,
Wafaa kuch nahi, dosti kuch nahi hai,
Yahaan pyaar ki qadar hi kuch nahi hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Jala do isey, phoonk daalo yeh duniya,
Mere saamne se hattaa lo ye duniya,
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai..
Intezaar karte hai hum aapka der tak
Intezaar karte hai hum aapka der tak,
Aap ko na aane ki aadat si ho gayi hai,
Baat baat pe muskurate the hum,
Ab to rone ki aadat si ho gayi hai,
kabhi talab karte the tumhe hum,
Ab to berukhi sehne ki aadat si ho gayi hai,
kabhi ek humdard chahte the hum bhi,
Par ab to tanha gam sehne ki aadat si ho gayi hai,
Jab se sochna shuru kiya hai tumko,
Saari Saari raat jaagne ki aadat si ho gayi hai,
Ab to chahe chhod bhi do humein,
Tum bin rehne ki Aadat si ho gayi hai,
Jise bhi chaha hum ne wo chhod kar chala gaya,
Ab to khone ki aadat si ho gayi hai,
Tumse na koi shikwa na koi shikayat hai hamein,
Bas khud se shikayat karne ki aadat si ho gayi hai,
Malum hai ke humari kismat mein tum nahin ,
Bas kismat se ladne ki aadat si ho gayi hai.
Kuch khwaab bhi thy Afsurda sy
IKuch khwaab bhi thy Afsurda sy,
Kuch tum bhi hum sy Rooth gaye,
Kuch Khud hi Zakhm k aadi thy,
Kuch Sheeshay hath sy chhoot gaye,
…
Kuch khud bhi thy Hassaas buhat,
Kuch apny Muqadr Rooth gaye,
Kuch tum ko Sach sy Nafrat thi,
Kuch hum sy na Boly Jhoot gaye,
Kuch Logo ny Uksaya tumhen,
Kuch apny Muqadr Phoot gaye,
Kuch khud itni Mohtaat na thy,
Kuch Log bhi hum ko loot gaye,
Kuch Talkh Haqayaat thi etni,
Kuch Khwab hi Saray toot gaye
Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki
Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki
Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki
Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki
Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki
Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki
Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki
Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . !
Woh Mohabbat Ka Aakhri December
Woh Mohabbat Ka Aakhri December
Chalo Khatam Hui Aj Say Dastaan-E-Mohabbat
Ab Hum Tareekh-E-Wafa Main Tera Naam Kanda Krtey Hain
Chalo Aaj Say Hum Chahat K Zanda'n Main Muqeem Hue
Teri Yaad K Sehra Main Dard-E-Maazi Ki Wa'eeed Hue
Chalo Ab Kitaab-E-Zeest Say Auraq-E-Wafa Palat'te Hain
K Ab Hum "Wafa" Ko Jafa Likhain Gay , Saza Likhain Gay
K Ab Hum Apni Bheegi January Ki Shuru'aat
Tere Bakhse Hue Azaab-E-Tanhaai Say Kartey Hain
Chalo Ab Teri Mohabbat Ki Umar Qaid Muqaddar Hui
K Hum Ko Wafa Nibhaaney Ki Saza To Milni Thi
Chalo Ab Hum Apnay Haathon Ki Lakeero'n Say
Tera Aks-E-jaa'n Mita Dain Gey
Qalb-E-Jaa'n Main Saji Tasveer-E-Mohabbat
Shab Ki Tanhaai Main Chupkay Say Hata Dain Gay
Is Par Bhi Sehar Koi Ghum Nahi Hota
K Hum Ko Zamane Main Teri Ruswai Manzoor Nahi
Shayad Isi Liye Yeh Lehja-e-Ghum Nahi Hota
Magar Jab Faseel-E-Jaa'n Say Saans Ukharti Hai To
Aisey Main Hum Aseer-E-Mohabbat
Phir Say Ehed-E-Wafa Dohraaney Lagtey Hain
Itne Zakham Kha Kr Bhi , Nishtar Jaan Ko Teri Ankhon Ka
Surmai Sumandar Yaad Aata Hai
Aise Main Hum Dair Tak Mazar-E-Mohabbat Par
Noha Giri Kartey Hain , Aaahain Bhartey Hain
Aise Main Yaad-E-Maazi Ki Har Yaad
Nakhl-E-Yadaa'n Say Mehav Ho Jaati Hai
Aise Main Bus December Ki
Siskiyan Lieti Hui Sard Tareek Yaad Ka
Alvidai Manzar Yaad Aata Hai
Aisey Main Humain Tu Bhi Nahi Teri Chahat Bhi Nahi
Bus Woh Mohabbat Ka Aakhri December Yad Aata Hai
Haan Bus Woh Aakhri December Yad Aata Hai
Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!
Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!
Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!
Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!
Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha
Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha..
Neende Bhi Meri Aankhon Se Churaaty Hai Wohi, So Jaaon To Khawabon Mein Satati Hai Wohy,
Har Zakham Pe Khaaliq Bhi Koi Aur Nahi Hai, Har Zakham Pe Marham Bhi Lagati Hai Wohi,
veeran Bhi Rakhty Hai Shabo-O-Roz Wo Meri Kamre Mein Phoole Bhi Sajaty Hai Wohy,
Yooh To Muje Wo Yaad Kiya Karty Hai Aksar, Jab Chahe Magar Bhool Jaaty Hai Wohy,
Yeh Bhi Theek Hai Bhool Gaya Hoon Mein Usey, Ye Bhi Ghalat Hai Ke Muje Yaad Nahi Aaty Wohy
Neende Bhi Meri Aankhon Se Churaaty Hai Wohi
Tanha rehna seekh raha hoon
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon
Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon
Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon
Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon
Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon
Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh raha hoon
Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh raha hoon
Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh raha hoon
Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon
Rotay rotay auron par
Khud pay hansna seekh raha hoon
Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh raha hoon
Is pay hairan hotee hoon
Kartab, kya kya seekh raha hoon
Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon
Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
Shehr-e-Fana Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon
Shehr-e-Fana Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
Ek Bujhta Sa Dia Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
To Rafaqat K Liye Aur Kisi Ko Chun Le,
MAIN To Khud Tanha Sa Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
TUJH Ko Darkaar Hain Phoolon K Mehakte Saaye,
MAIN To Sehra Mein Khara Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
AE Parstar-e-Gul Tera Raasta Takty Takty,
SHAAKH Pe Sookh Giya Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon?
TO Bhi Auron Ki Tarah Mujh Se Kinaara Kar Le,
SARI Dunya Se Burra Hon
Tere Kis Kaam Ka Hon,
Wo Kehta hai Suno Jana, Muhabbat Moom Ka Ghar Hai
Poet : Atif Saeed
Wo Kehta hai Suno Jana, Muhabbat Moom Ka Ghar Hai
Tapish ye Bad-Gumani Ki Kahin Pighla Na De iss ko
Main Kehti Hoon Jis Dil Main Zara Bi Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho, Mohabbat Ho Nai Sakti
Wo Kehta Hai Sada Aisay He Kiya tum Mujh Ko Chaho Ge
Keh Main iss Main Kami Koi Bhi Gawara Ker Nai Sakta
Main Kehti Hoon Mohabbat Kiya Hai Yeh Tum nay shikaya hai
Mujhay Tum Say Mohabbat Ke Siwa Kuch bhi Nahi Aata
Wo Kehta Hai Judai Se Bohat Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna Mumkin Nai Hai Ab
Main Kehti Hoon Yahi Khadshay Buht Mujh Ko sata'te Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehta Hai Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum?
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien Bhula Do ge?
Main Kehti hoon Kabhi is Baat per socha nahi main ne
Ager ik pal ko bi sochon tu saansien ruknay lagti hain
wo kehta hai tumhain mujh se mohabbat is qadr kyon hai
Keh main ik aam sa lerka tumhain kyon khas lagta hon?
Main kehti hoon kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
Meri deewangi kyon hai, yeh khud he jaan jao gi
Wo kehta hai mujhey waraftgi say dekhtay kyon ho
keh main khud ko bohat qeemti mehsoos kerta hoon
Main kehti hoon Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
Tumhien jab dekhti hoon, zindagi mehsoos kerti hoon
wo kehta hai mujay alfaz ke jugno nai miltay keh tumhien batla sakon keh dil main mere kitni muhabbat hai
Main kehti hoon mohabbat tu Nighaon say jhalkti hai
tumhari khamoshi muj say, tumhari baat kerti hai
Wo kehta hai batao na kis ko khone se darte ho
batao kon hai wo jisay yeh mousam bulatay hain
Main kehti hoon yeh meri shayari hai aaiena dil ka
zara dekho !! batao kiya tumhien is main nazar aya?
Wo kehta hai Dua ji bohat baatain banatay ho
mager sach hai yeh batain bohat he shaad rakhte hain
Main kehti hoon yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kuch zindgani ke tumhare saath kat jaien
phir us ke baad khamoshi ka dilkash raqs hota hai
Nagihaien bolti hai or lab khamosh rehtay hain...
Main Aiyna Hon,Wo Mera Khayal Rakhti Hy
Main Aiyna Hon,Wo Mera Khayal Rakhti Hy
Main Toot-ta Hon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hy
Har Ak Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hy
Zaheen Hai,Mujhe Hairat Main Dal Rakhti Hy
Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hon
Wo Rokti Hy Mujhe Kal Pe Taal Rakhti Hy
Wo Mere Dard Ko Chunti Hy Apnay Poron Se
Wo Mere Wastay Khud Ko Nidhal Rakhti Hy
Wo Dobne Nahi Daiti Hay Dukh K Darya Main
Mere Wajod Ki Naow Uchaal Rakhti Hy
Ik Aisi Dhun,K Nahin Phir Kabhi Main Ne Suni
Wo Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hy
Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain
Wo Mere Wastay Asaan Sawal Rakhti Hy
Bichar K Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Wo Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hy
Wo Muntazir Mera Rehti Hy Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Na
Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye To Khud Ko Jalaana Hoga
Ye Na Samajhna Ke Tum Se Bichar Ke Khush Hain Hum
Humein Laugon Ki Khaatir Muskurana Hoga
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aayi Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
Vaada Khilaafi Kar Ke Muskurati Ho Tum
Dekhna Ek Din Sanam Tum Ko Pachtana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Par Tera Naam Likh Jaaoun Ga
Thaam Ke Haath Main Phool Tum Ko Aana Hoga
Tere Intezar Main Ek Umar Guzri Hai Sanam
Ab To Aaa Gaya Hai Waqt Ab To Hum Ko Jaana Hoga
Ishq mera daastaan-e-shamma o parvaana tha
Ishq mera daastaan-e-shamma o parvaana tha
Ishq mera daastaan-e-shamma o parvaana tha
Vasl ko ye jeet samjha, dil bhi ik deewaana tha
Wo nazar k paas tha to ye haqeeqat-na-shanaas,
Hijr se na-aashna dil, be-khud o mastaana tha
Har luTeira morid-e-ilzaam Thehraaya gaya
Jab k khud saaqi yahaaN ghaarat-gar-e-mai-khaana tha
Dil dayaar-e-yaar hai to dil gul o gulzaar hai
Dil-nasheeN jab tu na tha ye dil na tha veeraana tha
Dard ki shiddat bayaaN to main kiye deta magar
Haasil-e-qaamoos koi lafz gham-paimaa __ na tha
Ishq mera sar-ba-sehra, dil mera paa-ba-rasan
Dasht tha itraaf mein, dil taalib-e-kaashaana tha
Jism jaise be-nafas ho yaa dil-e-be-ishq ho
Baat to hai eik hi k mai na thi, paimaana tha
Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se
Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,
karta hu yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aaah si uthi hai mere seeney mein,
Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab,
Kehta hoon ke dil lagaya tha ek pathar se,
Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,
Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein husnain,
Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se...
Jo Phisla Mere Hath Se Wo Pal Nahi Mila
Jo Phisla Mere Hath Se Wo Pal Nahi Mila
Mera Guzra Huwa Kal Mujhay Wapas Nahi Mila
Logon Se Bhari Dunia Main Dhoonda Bohat Magar
Farishtay Milay Bohat Mujhay Insan Nahi Mila
Socha Kisi Ke Dil Mein Ab Ghar Bana Loon Main
Laikin Kisi Ka Dil Mujhay Saabit Nahi Mila
Aisa Nahi Hai Koi Mujhe Manzil Nahi Mili
Manzil Mili Magar Kabhi Rasta Nahi Mila
Barson Main Ne Dhoonda Laikin Mujhay "---"
Is Shehar Mein Koi Tere Jaisa Nahi Mila
Tum Mohabbat bhi Mausam Ki TarhaNibhaate Ho
Tum Mohabbat bhi Mausam Ki Tarha
Nibhaate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko
Tarsaate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamaane Mein
Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Mohabat Se Mukar
Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah
Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye
Jaate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talaash
karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzar
Jate Ho,
Lakh mousam ki tarah rang badalte
raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein
chahte ho.!!
Dareechy Se Jhankti Woh Larki
Dareechy Se Jhankti Woh Larki
Ajeeb Dukh Se Bhari Hoi Hai
Kabhi Azanoo Main Khoi Khoi
Kabhi Namazon Mai Roi Roi
Woh Aese Dunya Ko Dekhti Hai
K Jese Us se Darri Hoi Hai
Darood Se Mehki Mehki Sansain
Wazifa Parhti Hoi Woh Aankhain
Ke Ek Sham-E-Umeed Un Main
Kai Baras Se Parhi Hoi Hai
Woh Dukh Ki Chadar Main Lipti Lipti
Woh Kale Kapron Main Simti Simti
Muhabbat Us Ne Kisi Se Shayad
Meri Tarhan Se He Ki Hoi Hai___!
Barrey Zamanoon K Baad Barsi Hain
Meri Aankhen Kisi Ki Khatir,
Bare Zamanoon K Baad Dil Ki
Zameen Phir Se Huri Hui Hay...
Ye sheshon k sapnay, ye dhagon k rishtay
Ye sheshon k sapnay,ye dhagon k rishtay
Kisay hai khabr kahan toot jayein
Mohabat k darya mein tinkay wfa k
Kisay hai khabr kahan doob jayein
Lgayein hain hum ne b khushiyon k poday
Mgr kia bhrosa yahan barishon ka
Ye mumkin hai poday kahin sookh jayein
Jinhein dil se chaha,jinhein dil se pooja
Nazr Aa rahay hain wohi ajnabi se
Suno!Apna dil de k mazbut rehna
Kia khabr lene walay kahan bhool jayein
Wo Kehti Hai Batao Besabab Kyun Rooth Jatay Ho
Wo Kehti Hai
Batao Besabab Kyun Rooth Jatay Ho.
Main Kehta Hoon
Zara Mujh Ko Manao
Acha Lagta Hai
Wo Kehti Hai
Mera Dil Tum Say Aakhir Kyun Nahe Bharta.
Main Kehta Hoon
Muhabat Ki Koi Had Hi Nahe Hoti
Wo Kehti Hai
Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gayi Itna.
Main Kehta Hoon
Meri Jan Hadsay To Ho Hi Jatay Hain
Wo Kehti Hai
Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To
Main Kehta Hoon
Mujhe Dar Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gay
Jab beti chokhat pay aa jay
Jab beti chokhat pay aa jay
or izzat ka beyopar karay
jab bap ki izzat kho jay
jab bhai ko taanay miltay hon
jab behno k dil jaltay hon
jab maaon ki jazrain jhuk jayen
jab sans labo pe ruk jaye
jab sharm-o-haya ka aameza
jab ik kunwari dosheeza
jab be'sharmi ko apna lay
jab khud ko zillat main dhaalay
jab ghair k seenay lag jaay
or apna aap gunwa aaye
to aisi haalat ko logo
tum kya kaho Ge .........
Tum Ne Sath Chor Diya Es Baat Ka Koi GhamNahi
Tum Ne Sath Chor Diya Es Baat Ka Koi Gham
Nahi.
Khyalon Me Aa Jate Ho Ye Bhi Kuch Kam Nahi.
Milna Na Milna Ye Tu Mukad'dar K Khel Hain.
Zamane Se Phir Kesi Shikayt Jab Teri Qismat
Me Ham Nahi.
Aaine Me Apna Akas Dekha Tu Phir Ye Jana.
Roti Thi Jo Teri Yaad Me Ab Wo Aankhen
PurNam Nahi.
Teri Chahat Me Main Ne Bohat Dukh Uthaye
Hain.
Es Dil Par Or Zakham Khaon Etna Mujh Me
Dum Nahi.
Tujh Ko Nayi Khushiyan Mobarak Mujh Ko Meri
Tanhaiyan.
Naaz Tha Jis Ki Mohabat Par Mujhe Ab Wo
Mera SaNaM Nahi.