Collection Page 4
Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap
Wafa ke waade woh saare bhula gaya
chup chaap,
Wo mere dil ki deewaarein hila gaya
chup chaap.
Ghum-e hayat ke taptey hue biyabaan mein,
Humein chhod ke woh tanha chala gaya
chup chaap.
Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha tha,
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya
chup chaap.
Main jis ko chhooti hun woh zakhm deta hai,
Woh phool aise chaman mein khila gaya
chup chaap… !!
Kaash kabhi hota ye mere ikhtiyaar mein
Kaash kabhi hota ye mere ikhtiyaar mein,
main rang deta tujhe apne pyaar mein..
Main itna pyaar deta tujhe jaan-e aarzoo,
tum khud ko bhula dete mere aitbaar mein..
Tum jo mujhe bulaate mulaqaat ke liye,
bechain ho ke phirte mere intezaar mein..
Main der se jo aata naraaz ho ke tum,
har baat ka jawaab dete inkaar mein..
Tum jo rooth jaate mujh se kisi baat pe,
main tumhen manaata bade pyaar se..
Maan kar tum mujh se sirf ye kehte,
nahin hai koi kami jaan tere pyaar mein …!!
Rone se aur ishq men bebak ho gaye
rone se aur ishq men bebak ho gaye
dhoe gaye ham aise ki bas pak ho gaye
sarf-e-baha-e-mai hue alat-e-maikashi
the ye hi do hisab so yon pak ho gaye
rusava-e-dahar go hue avargi se tum
bare tabiyaton ke to chalak ho gaye
kahata hai kaun nala-e-bulbul ko beasar
parde men gul ke lakh jigar chak ho gaye
puchhe hai kya vajud-o-adam ahl-e-shauq ka
ap apani ag se Khas-o-Khashak ho gaye
karane gaye the us se taGaful ka ham gila
ki ek hi nigah ki bas Khak ho gaye
is rang se uThai kal us ne 'Asad' ki nash
dushman bhi jis ko dekh ke Gamnak ho gaye
Jab Sham Ke Saae Dhalte Hain,
​
Hum nazuk nazuk Dil waley
Hum nazuk nazuk Dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi Dil mein khwab perotey hain,
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,
Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,
Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,
Hum nazuk nazuk Dil waley
Bas apney aap mein rehtey hain
Ab Waqt Aa Gaya Hai Ke Mil Kar Yeh Pukaara Jaaaye
Ab Waqt Aa Gaya Hai Ke Mil Kar Yeh Pukaara Jaaaye....
'Aurat' To Sar Ka Taaj Hai, Isse Yuhi Sawaara Jaaaye....
Aakhir Kya Ho Raha Hai Aaj Humari Soch-Samaj Ko....
Ab Waqt Aa Gaya Hai, Khud Ko Aaene Men Utaara Jaaye....
Ek Maa, Ek Beti, Ek Patni, Aur Naa Jaane Kitne Roop Hai....
Ek Aurat Ki Tasveer Ko Pehle Dil Se Nikhaara Jaaye....
Kabhi Aam Aadmi, Kabhi Neta, Kabhi Koi Dharam Guru....
Jo Aurat Ko Izzat Dena Naa Jaane, Unhe Dhutkaara Jaaye....
Aaj Hum Ekisvi Sadi Men Hai Par Phir Bhi Surakshit Nahi....
Kya Aaj Bhi Mujrim Aankhon Ke Saamne Se Awaara Jaaye....
Zulm Karna Gar Gunaah Hai To Zulm Sehna Bhi Guunah Hai....
Ghinoni Harkat Men Kyun Maara, Kisi Ke Aankh Ka Taara Jaaye....
Yaro Gar Aurat Ko Izzat Naa De Sako To Tum Insaan Nahi....
Soch Ko Badlo, Sabse Pehle Yahana Khud Ko Sudhaara Jaaye......
Aao khawabon say mulakaat karein
Aao khawabon say mulakaat karein
Ik mudat say zamanay main bhataktay howay hum
khud say gar mil hee gay hain to kowee baat karein
aao khawabon say mulakaat karein
App sapno say sunain apnee kahanee dil kee
apna izhaar karin inn kee zubani dil kee
Khud kay daryaft jo karna hay to yoon kartat hain
dil main inn jaltay charaghon kay isharaat kartay hain
App khawabon say mulakaat karein
khud main doobay howay logon kay ishara to karain
aa hee jain gay chalo inn ko pukara to karein
dil main lahratay howay zakhmon kaa chara to karain
din guzarain kisee khushboo main
kisee lams kee rim jhim main kaheen raat to karein
Aao khawabo say mulakaat karein
husn or aman kay leay mayray saray lago
Ikk naee duniya,Nay din ee shuruwat karain
Aao khawabon say mulakaat karain
Aao khawabon say mulakaat karain
Hum apni wafaon ka sila kis say mangtay
Hum apni wafaon ka sila kis say mangtay
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mantay
Khud hee to kee thi hum nay apnay rab say baghawat
phir hum jo duwa mangtay to kis samantay
Jo thay tabeeb dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay
Is dil kee duwa mangtay to kis say mangtay
Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
koi shokh ada mangtay to kis say mangtay
Jo waqt guzar jaye tho wapis nahin aata
wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay
Hum us kee justajoo mai huwa khud say be-ganay
hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay
Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota
Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer k Muqabil Na Hotey To Acha Hota
Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga DeWaNa Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota
Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Ajj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jiss tarah dhund main liptey huwe phool
Aik aik naqsh tera yaad aya
Aisi majboori kay aalam main koi
Yaad aya bhi tu kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla'pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad kay kya yaad aya
Jab koi zakhm bhara daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz
Jis ko bhoole woh sada yaad aya
jitni mehroom tamannayen hain
jitni mehroom tamannayen hain.....raat ke sard sard pehron mein......toote khwaabon ko yun jalaati hain...
jaise unki tapish ko khud me le.....phir se vo aur jeena chahti hain......koi jaker inhe ye samjhaaye....
din badda sakht hai aane waala.....saare jalte hue khwaabon ki raakh.....us ki sakhti ko kuch badha degi
in tamannaon ki chahat us ko....bereham aur kuch bana degi....tum ho mehroom to ye maan bhi lo...tum ko ab zindigi nahi milna...laakh khwaabon ki tum tapish lelo
ab koi saans na tumko milna...mar chuki ho to dafn ho jaao...kahin tum rooh me jaake kho jaao....rooh ka honsla bahut hai azeem...tumko bhi rakh ke muskuraayegi zindigi raas na tum ko aai....rooh taskeen tumhe dilaaye gi...thodda thehro ye aansu ponch to lorooh se milne tumko jaana hai.....kitne gham dafn hain vahaan jaane...tum ko qabren bahut milengi vahan....
paak ho jaao jaane se pehle...jitne bhi dafn hain sab the masoom
tum se hi to the mehkate se vo sab...haan hain sab vo mere armaan ke phool....unko jaker salaam tum kehna....
aur kehna ki humm bhi aaiin hain....hume duniya na raas aai kuch...rooh me dafn hone aain hain.....
MALOOM NA THA THEHREY TO DEHEL JAEY GA TOOFAN
MALOOM NA THA THEHREY TO DEHEL JAEY GA TOOFAN
KAM FEHM THEY, SOCHA THA, SEHEL JAEY GA TOOFAN.
SHAKHON NEY DUA PAIR KO DI LAMBI UMAR KI…….
KIA SHAAKH K GIRNEY SE BEHEL JAEY GA TOOFAN?
NAZAN NA HO NADAN KHUSHI PAR, DO GHARI KI
MOSAM K ISHARON KO BADAL JAEY GA TOOFAN.
TAKLEEF TO SEHNI HI PAREY GI, MAGAR IK DIN
RATON K ANDHERON KO NIGAL JAEY GA TOOFAN.
SAPNON KI AZIYAT KO MUQADAR NA SAMAJHNA,
HATHON KI LAKEERON KO BADAL JAEY GA TOOFAN.
UMMEED K JUGNU KO NA MUTHI SE RIHA KAR!
KUCH DAIR TO RUK JA, K SANBHAL JAEY GA TOOFAN.
MAAON KI DUAON MEIN HAI TASEER KA JADU,
HATHON K UTHANEY SE HI TALL JAEY GA TOOFAN.
Hisab e tark e taluk tamam main ne kiya
Hisab e tark e taluk tamam main ne kiya
Shuru us ne kiya ikhtitam main ne kiya
Mujhay bhi tark e taluk pe hairtain rahin
Jo kam mera nahi tha wo kaam main ne kiya
Wo chahta tha ke daikhay mujhay bikherta hua
So uske jashan ka aihtmam main ne kiya
Boht dino mere chehray pe kirchiyan si rahin
Khud apnay ap se ik din kalam main ne kiya
Ik dobtay suraj ki nayi subha chahti hu
Ik dobtay suraj ki nayi subha chahti hu
daikh mere tere sath kia chahti hu
Ho jay jab meri aankh band to khulti ankh main
bhi jhalak teri chahti hu
Daikh main tere sath kia chahti hn
Tawaqoo nahi rakhi kabhi tujh se zayda
bas chund laamhon pe mushtamal tera sath chahati hu
Patton ki tareh khud se bikhartay hue kuch log
Patton ki tareh khud se bikhartay hue kuch log..
Aapas main bhi milte hain to darte hue kuch log..
Yeh dil bhi ajab aaina-khana hai ke is main..
Aabad hain her lamha sanwartay hue kuch log...
Sehraaon ki wusaat pe anab tanz hain...
“MOHSIN”
Charhtay hue dariya main utartay hue kuch log.
Kyun Tu Acha Lagta Hai,
Kyun Tu Acha Lagta Hai,Waqt Milaa Toh Socheinge,
Tujhmey Kya Kya Dekhna Hai, WaqtMilaa Toh Socheinge,Sara Sheher Shanasayei Ka,Daveydaar Toh Hai lekin,Kon Hamara Apna Hai,Waqt MilaaToh Socheinge,Humne Osko Likha Tha, Kuch MilneKi Tadbeer Karo..Osne Likh Kar Bheja Hai,WaqtMilaa Toh Socheinge.Mousam KhushboO, Baade-e-Saba,
Chand Shafaq or Taaron MeinKaun Tumharay Jaisa Hai , WaqtMilaa Toh Socheinge,Ya Tum Apne Dil ki Maano Ya Dunya Waalon Ki,Mashwara Oska Acha Hai, Waqt
Milaa Toh Socheinge,Kyun Tu Acha Lagta Hai,
Waqt Milaa Toh Socheinge,
Waqt Milaa Toh Socheinge,
Waqt Milaa Toh Socheinge ......
kuch is tarah jana hum Nay tum say mohabbat ki hai
kuch is tarah jana hum Nay tum say mohabbat Ki Hai
mohabat kay mahel main tumhay dil ki dulhan bana kayan khoon say ibadat ki hain
kuch is tarah dil say dil ko mohabat ki hain
kay pas to her koi thah bhari mefal main
magarsirf teray khiyaloon say gauftgo ki hain
hont kehtay kabhi kuchaur teray kan kuch sun patay
aesa mumkan he nahe howamagar
dil say dil kay rabtay main na kabhi kammi ki hain
her lamah tumhay he socha jab bhe kuch socha dil nay
barsh ki tarah teri yad nay her pal dil main nami ki hain …!
bhari dunya main haseen aur bhe hain
jo kisi frishta sift ko bhe apna dewana kar day magar jana teray Husn o sadgi ki baat he alag hain Dua nay faqat teri he aarzo ki hainHaan kuch is tarah say jana
hum nay tum say mohabat ki hae dhirknon main basi sansoon nay bheteray naam ki her pal tasbeh ki hain
haan kuch is tarah jana meri rooh nay teri rooh say mohabat ki hain
usay bachaye koi kaise toot jane se
usay bachaye koi kaise toot jane se
wo dil jo baaz na aaye fareb khane se
para hai waqt to lagta hai sehma sehma sa
wo ek chiragh jo bujhta na tha bujhane se
ruki ruki si nazar aarahi hai nab e hayat
ye kaun uth k gaya hai mere sirhane se
na jane kitne chiraghon ko mil gai shauhorat
ik aaftab k be waqt doob jane se
main jaanta hun bikharne se bach gaye kuch log
ye faida to hua mere toot jane se
agar ye sach hai k sehera simatne wali hain
to kia milega yahan wehshaten barhane se
usi ko shauq e masihaai kuch ziada thi
wo jis ki khaak laga di gai thikane se
usne maqtub mein likha hai ke majboor hai hum
Usne maqtub mein likha hai ke majboor hai hum
Aur baahon mein kisi aur ke mehsur hai hum
Usne likha hai ke milne ki koi aas na rakhna
Tere khwaabon se khayalon se bahut durr hai hum Ek saath bhi sab-e-wasl ki na boli
Humne aaj bhi tere milan raat pe magroor hai hum
Chashm-e-tar kulb-e-hazeemaabale paanv mein liye
Teri ulfat se tere pyar se mamoor hai hum
Unki mehfil mein hume azan-e-tukalim na mila
Unko andesha raha sarmad-o-mansoor hai hum
Yoon sitaron ne sunayi hai kahani apni
Goya afkaar se zazbaat se manzoor hai hum
Usne likha hai jahan mein karein shikwa kis se
Dil garifta hai gum-o-dard se choor hai hum
Tera beganon sa hum se hai rawaiya
Bawajood iske tere ishq mein mash-hoor hai hum.
Tera husn ho Mera ishq ho
Tera Husn Ho...............Mera Ishq Ho.........
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho............Kabhi MainMilon, Kabhi Tu Milay.........Kabhi Hum Milain, Mulaqaat Ho......Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Main Hoon Chup.....Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon........Kabhi Guftagu.......Kabhi Tazkiray.....Kabhi Zikar Ho......Ko'i Baat Ho.......
Kabhi Visaal Ho To Din Ko Ho........Kabhi Hijar Ho To Voh Raat Ho........
Kabhi Main Tera......Kabhi Tu Meri......Kabhi Sath Main......Kabhi Sath Tu......Kabhi Ek Doojay Ka Sath Ho........Kabhi Sohbatain, Kabhi Ranjishain.......Kabhi Dooriyan, Kabhi Qurbatain......Kabhi Ulfatain, Kabhi Nafratain......Kabhi Jeet Ho, Kabhi Maat Ho.......Kabhi PhooL Ho Kabhi Dhool Ho......Kabhi Yaad Ho, Kabhi BhooL Ho.....Rahain Muskuratay Pyaar Main.....Khilain Phool Ban K Bahaar Main.........Na Nashaib Ho
Na Faraaz Ho.......Na Nasab Ho.......Na He Zaat Ho......
Rahain Muskuratay Pyaar Main...........Khilain Phool Ban K Bahaar Main
Na Zameen Ko'i.....Na Falak Ko'i.....Na Vajood Ho........Na He Zaat Ho......
Tera Husn Ho......Mera Ishq HoTo Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho..!!
​
Aik Dia Dil Main Jalana Bhi, Bujha Bhi Daina,
Yaad Karna Bhi Usey Roz, Bhula Bhi Daina,
Kia Kahon Yeh Meri Chahat Hai K Nafrat Is Ki,
Naam Likhna Bhi Maira, Likh K Mita Bhi Daina,
Phir Na Milnay Ko Bicharta Hon Tuj Say Laikin,
Murr K Daikhon To Palatnay Ki Dua Bhi Karna,
Khat Bhi Likhna Usay, Mayoos Bhi Rahna Us Say,
Jurm Karna Bhi Magar Khud Ko Saza Bhi Daina,
Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Laikin,
Jee Main Ayai To Yeh Diwar Gira Bhi Daina,
Soorat-E-Naqsh-E-Qadatm, Dasht Main Rehna,
Apnay Honay Say Na Honay Ka Pata Bhi Daina
kabhi tujhe apne ishq par gumaa'n haii kabhi
kabhi tujhe apne ishq par gumaa'n haii kabhi
tute dil ka bayaan hai
tu to tut kar bhi simat gaya yaha'n
mera zarra zarra be haal hai
yeh tera karam hai yaa fitrat-e-zaalim ki koii hasin adaa !!
me baadalo'saa bad gumaa'n aur tu
daagh-e-diil saa mahtaab hai
Zaraa soch to sahee ae ahle-e-zulm ki
mujh me
tujhme hai farq kyaa ?me ek behkaa huaa sawaal hoon aur tu
uljhi hui koi chaal hai
yaha har lehzaa ek niqaab kaa qaayil,
yahan
chere kaiii behisaab hai
me roz-e-jaza kaa mustahiq aur tu
koii gehraa azaab hai
Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon
Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon.....
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon.....
Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat.....
Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon......
Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar......
Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon.....
Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain......
Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon.....
Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai.....
Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon.....!!
Aankhon main raha dil mai utar kr nahin dekha
Aankhon main raha dil mai utar kr nahin dekha,
Kashti ke musafir ne samandar nahin dekha,
Be-waqt agar jaaon ga sab chaunk parren ge,
Ik umr hui din main kabhi ghar nahin dekha,
jiss din se chalaa hoon meri manzil pe nazar hai,
Aankhon ne kabhi meel ka pathar nahin dekha,
yeh phool mujhe koi viraasat main mile hain,
Tum ne mera kaanton se bharaa bistar nahin dekha,
Yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine,
Phoolon main chupaaya huwa khanjar nahin dekha,
Mehboob ka ghar ho ke bazurgon ki zameenen,
jo chorr diya phir ussay murr kar nahin dekha,
khhat aesa likha hai ke nageene se jarre hain,
Woh haath ke jiss ne koi zevar nahin dekha,
Pathar mujhe kehtaa hai mera chahane wala,
main mom hoon uss ne mujhe chhuu kar nahin dekha...
Chalo Kuch Der Hanste Hain Muhabbat Par Inayat Par!
Chalo Kuch Der Hanste Hain Muhabbat Par Inayat Par!
K Be-Bunyad Baten Hain Sabhi Rishte Sabhi Natay!
Zaroorat Ki Hain Ejaadain Kahin Koi Nahi Marta!
K Sab Hai Phair Lafzon Ka Hai Sara Khail Harfon Ka!
Na Hai Mehboob Koi Bhi Sabhi Jumlay Se Kasty Hain!
"Chalo Kuch Der Hanste Hain"
Jise Hum Zindagi Kehte Jise Hum Shayari Kehte!
Ghazal Ka Qafia Tha Jo Tha Jo Unwan Nazmo Ka!
Wo Lehja Jab Badlta Tha Qayamat Khez Lagta Tha!
Waqt Se Age Chalta Tha Bala Ka Tez Lagta Tha!
Jo Saya Ban K Rehta Tha Juda Ab Us K Raste Hain!
Chalo Kuch Der Rote Hain
Chalo Kuch Der Hanste Hain...!
Kisi Din Tujh Se Milne Ka Bahana Dhoond Lete Hain
Kisi Din Tujh Se Milne Ka Bahana Dhoond Lete Hain
Chalo Kuch Saal Pehle Ka Zamana Dhoond Lete Hain
Andhera Kitna Hi Gehra Ho Raatain Kitni Kaali Hon
Parinday Apna Apna Aashiyana Dhoond Lete Hain
Kayi Dar Khul Jate Hain Jo Ek Dar Band Hota Hai
Hum Aise Log Apna Aab-o-Dana Dhoond Lete Hain
Chatain Jin K Saron Se Cheen Li Jati Hain Wo Be-Ghar
Kahin Bhi Sir Chupane Ka Thikana Dhoond Lete Hain
Galay Hum Se Bhi Aa Lagta Hai
Koi Dard Ka Maara
Kisi Dil Sokhta Ka Hum Bhi Shaana Dhoond Lete Hain Khuda Mehfooz Rakhe In Ki Zid Pe Hum Na Aa Jaen
Shikari Apne Matlab Ka Nishana Dhoond Lete Hain
Ana Ki Jang Me Akhir Bharam Qaim Bhi Rakhna Hai
To Yoon Karte Hain Rasta Darmiyana Dhoond Lete Hain..
meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye.
mare azmane wale mujhe azma k roye.
koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat.
main use suna k toys wo mujhe suna k roye.
meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat.
jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye.
teri bewafaon per,teri kaj adaon per.
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye.
jo sunyi anjman main shub ghum ki aap beeti.
kayi roo k muskare,kayi muskara k roye.
Zara khamosh reh kr bhi unhe sub kuch suna dena
Zara khamosh reh kr bhi unhe sub kuch suna dena.
Zuban se kuch na kahna dekh kr ansoo baha dena.
Main mujrim hon mujhe iqrar hai jurm-e- muhabbat ka.
Magar pehlay khata per ghor karlo phir saza dena.
Ijazat ho tu kehdon qissa-e-ulfat sar-e-mehfil.
Mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena
Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon
Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon.....
Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon.....
Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat.....
Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon......
Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar......
Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon.....
Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain......
Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon.....
Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai.....
Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon.....!!
Bohat khamosh reh ker jo.......Sadayein mujh ko daita tha.............Barre sundar se jazbon ki.......
Wafain mujh ko daita tha.......Kabhi jo dard ki aatish mujhe........Sulganay lagti thi........
Woh apnay saans ki.........Mehki hawaayein mujh ko daita tha.........Usay main ajnabi samjha.........
Magar har mor par ‘mohsin..........Woh apnay naam ki saari............Duaein mujh ko daita tha.........
Bohat khamosh reh ker jo
Jab Sham Ke Saae Dhalte Hain,
Jab Chalti Hai Pagel Purwai,
Rote Hain Lipet Kr Apis Main,
Tab Main Or Meri Tanhai,
Yeh Tanhai Jo Bechpen Main,
Mare Sath Humesha Kheli Hai,
Nai Chora Us Ne Sath Mera,
Yeh Ab Be Meri Sehli Hai,
Jab SONI Soni Lagti Hai,
Use Mare Gher Ki Angnai,
Rote Hain…..
Honton Pe Kabi Jo Aa Na Saki,
Main Kho Gai Un Faryado Main,
Ras Aae Na Chet Besakh Muje,
Jalti Rehi Sawan Bhado Main,
Jis Waqat Dekhai Deta Hai,
Muje Her Aik Mosim Her Jai,
Rote Hain….Main Or Meri Tanhai