Collection Poems 5
Wo mere wajood ki mujh mein talaash chor gaya
Jo pori na ho khabi aisi aas chor gaya
Yehi karam nawazi uski mujh pe kam hai kiya
K khud to door hai yaadein to pas chor gaya
Jo khawhishen thi khabi hasraton mein dhal gayi ab
Mere labon pe wo ek lafz kash chor gaya
Ye mera zarf hai ik roz usne mujh se kaha
K aam logon mein ek tujh ko khas chor gaya
Baharon se mujhe is liye to nafrat hai
Inhi ruton mein mujh wo udas chor gaya...!!
Wo mere wajood ki mujh mein
Wafa Ka Zikar Na Kar
Wafa Ka Zikar Na Kar Hum Udaas Logon Se,
Hum Ehl-e-Dil Hain, Nahi Ab Jafa Ki Aas
Logon Se,
DiL mein Adawat Labon Pe Saja Kar Muskurahat,
GaLe Na Milo Tum Hum Bad Hawaas Logon Se,
Watan Faroshi Maal-O-Zar Mazhab Ho Jin Ka,
Bezaar Hain Hum Apne In Khaas Logon Se,
Sharm-O-Haya Se Door Uriyaniyat Hon Jin
Ka Dastoor, Nazar KaiSy Milaaen Hum In Be Libaas
Logon Se,??
Sitaron Ki Tarah Jo Nazar Aate Hain Hum Ko Ayaaaaaz,
Umeed Na Rakho In Sitara Shanaas Logon Se......!
Bhool kar mujh ko wo jeenay ki wajah poochta hai
Bhool kar mujh ko wo jeenay ki wajah
poochta hai
kese zindah hun main ab tak ye ada
poochta hai
rooz meri rooh ko wo de jata hai zakham
naye
shoq uska hai magar mujh se saza poochta
hai…
mery hathon ko lakeeron men basa hai jab
wo
phir q wo apni dy kar Qasam meri raza
poochta hai
usko ye khof k kahin main usko Hasil na
kar loon
Main jab uthaun hathon ko,,wo meri dua
poochta hai
Meri ankhon se baha karti hai un ki khusbu
Meri ankhon se baha karti hai un ki khusbu
Meri Tanhai Barhate Hain Chale Jate Hain,
Hanss Talaab Pe Ate Hain Chale Jate Hain,
Is Liye Ab Mein Kisi Ko Nahin Jane Deta,
Jo Mujhe Chorr Ke Jate Hain Chale Jate Hain,
Meri Ankhon Se Bahaa Karti Hai Un Ki Khushu,
Raftgaa’n Khawb Mein Ate Hain Chale Jate Hain,
Shadi-E-Marg Ka Mahol Banaa Rehta Hai,
Aap Aate Hain Rulate Hain Chale Jate Hain,
Kab Tumhe Ishq Pe Majboor Kiya Hai Hum Ne,
Hum To Bass Yaad Dilate Hain Chale Jate Hain,
Ap Ko Kaun Tamashaayi Samajhta Hai Yahan,
Aap To Aag Lagate Hain Chale Jate Hain,
Hath Pathar Ko Barhaaon To Sagan-E-Dunya,
Hairti Ban Ke Dikhate Hain Chale Jate Hain..
Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha
Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,
Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,
Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,
Mohabbat Mein Khushi Ke Baad GaM Ki
Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,
Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,
Azal Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,
Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...
Kabhi sawaal Dil mein
le kar jawaab
Dhondne Nikla thi
Kabhi sawaal Dil mein
le kar jawaab Dhondne Nikla thi....
Main Be'wafaon ki Basti se wafa
Dhondne Nikla thi......
Kya ajab silsala tha
un ki muskarahton ka.....
Main un Muskurahaton par
jaaN Denay Nikli thi.......
Kya andaaz tha us
ki Mehkti houi chahton ka.......
Jin chahtoon pr main sb kuch
" Qurbaan "
karny Nikli thi.........
Jab thokar lagi to ye khayal aaya
Ke Main apni hi zindagi
Bar'baad
karne
Nikli thi.'
Wo mujhme humesha, kami dhundti haI
Wo mujhme humesha, kami dhundti haI.
Wo mujhme humesha, kami dhundti haI.
Nayi nukta-e-shayri dhundti haI..
Maire zakhm usne, kurede hai aksaR,,
Ki unme wo apni ,khushi dhudti haI..
Purani kitaabo ke SAFHAAT me wO,,
Sukhan ke liye, tazgi dhundti haI..
Wo khoyi hai mujhme,, ki katra nadi maI,,,
Yahan fir kyun apni khudi dhundti haI...
Yahan MAUT bhi to nahi milti khushi sE,,
Yahan chain ki ,zindgi dhundti haI...
Mai uske dukho se ,dukhi hun magar wO,
Maire dukh me"jana" ,apni khushi dhudti haI...
Ajeeb Insan hai ki ,is Duniya me aa kaR,,,
Wo beete Duniya ke ,aadmi dhudti haI...
Gaye mausamon ki khabar nahin
Gaye mausamon ki khabar nahi
Gaye mausamon ki khabar nahi, naye
mausamon ka pataa nahi
Wo mere sheher se chalaa gaya kisi gul
ne mujh se kahaa nahi
Yehi soch kar meri aankh se kabhi koi
ashk bahaa nahi
Rahe aankh mein hai wohi ghattaa, jo
baras gaee wo ghattaa nahi
Is dil mein aas ka ik dia, wo gaya to
ham ne jalaa lia
Wo dia jo dil mein udaasiyon bhari
aandhiyon se bujhaa nahi
Main charaagh sa hoon bujhaa bujhaa,
shab-e-hijr teerah-o-taar hai
Main ne khud chuni hai ye teergi mujhe
us se koi gilaa nahi
Mutawaqqo hijr k sog mein hi guzar na
jaoon main jaan se
Mujhe koi de ye khabar k haan wo gayaa
nahi, wo gayaa nahi
Subh ta shaam sochta hoon main.
Subh ta shaam sochta hoon main.
Sau tere naam sochta hoon main.
Ye jo ek taza aag bhaRki hai;
Is ka anjaam sochta hoon main.
Saamne hai qalam bhi kaaGhaz bhi;
Aur paiGhaam sochta hoon main.
Tujh se is dil ka jo ta'alluq hai;
Us ka kuchh naam sochta hoon main.
Aik shaam-e-firaq Dhal bhi gayi;
Phir bhi har shaam sochta hoon main.
Kya sabab hai Gham-e-zamana ka;
La zara jaam, sochta hoon main.
Ab koi fikr hi nahien 'Baqi';
Bas tera naam sochta hoon main.
Yad karke mujhe taklif he hoti hogi
Yad karke mujhe taklif he hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko.
Doobte doobte awaz teri sun jaun.
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko.
Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin.
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko.
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah.
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko.
Roothna tera meri jaan lie jata hai.
Aese naraz na ho haske dikhade mujhko.
Aur kuch bhi nahi manga mere malik
tujhse.
Uski galion main pari khak banade mujhko.
Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai.
Main bhi is ishq mani aye hun, dua de
mujhko.
Yahi oqat hai meri tere jeevan main kemain.
Koi kamzor sa lamha hun. bhulade mujhko.
Teri Bewafai ka AashiQui ka Matam hai,
Teri Bewafai ka AashiQui ka Matam hai,
Zindagi ki raahon mein zindagi ka matam hai,
Mujhko dass gaye dekho saanp aastino ke,
Dusmano ka shikwa kya dosti ka matam hai,
Ro rahe hai dushkma bhi aaj meri hayat par,
Aa ke dekh le teri berukhi ka matam hai,
Ho gayi khata humse tumko toot kar chaha,
Jo hamein na raas aayi us khushi ka matam hai,
Kal ujale baante the humne saari duniya ko,
Aaj khud mere ghar mein roshni ka matam hai,
Dilke tukde tum zalim chunke bhar lo daman mein,
Puchhe koi keh dena dillagi ka matam hai..
Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere bin
Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere
bin, Ke saans lena bhaari hai mujh pe tere bin,
Na jee saken na mar hi saken judaayi
mein, Yeh zulm kesa jaari hai mujh pe tere bin,
Na kuch dikhayi deta hai na soojjhay
kuch, Andher duniya saari hai mujh pe tere bin,
Ke chorr ker jis din se gaye ho tum
mujhe, Shadeed aah-o-zaari hai mujh pe tere bin,
Main bhool bethi hoon apne aap ko jana,
Teri ajaara-daari hai mujh pe tere bin,
Sadaa guzaaron kese bahaar ke din mein,
Yeh zarb yeh bhi kaari hai mujh pe tere bin.
Meri Hasrat Hai Mujhe Is Tarhan Gayal Kerdo
Meri Hasrat Hai Mujhe Is Tarhan Gayal Kerdo
Is Kader Toot Ker Chaho K Mujhe Pagal Kerdo
Na Badal Jaye Kahin Mere Tageer Ka Jahan
Tum Mujhe Apni Taraf Is Tarhan Mayal Kerdo
Tere Mathe Ka Main Ager Jhoomer Ban Na Saka
To Kam Iz Kam Mujhe Paon Ka Hi Payal Kerdo
Is Kader Mera Man Pyasa Hai Teri Qurbat Ka
Itna Barso K Meri Zindagi Ko Jal Thal Kerdoo
Bana Ke Rang_e_hina Hath Ki Hatheli Per
Ya To Palkon Tale Ankh Ka Kajal Kerdo
Teri Qurbat Ho Itni K Tu Nas Nas Main
Mare Sama Ke Meri hansratoon ko mukamal kardo
Main Mar jaaon to Mere Sirhane Na Bithana Usko
Main Mar jaaon to Mere Sirhane Na Bithana Usko,
Bohot Tasalli Dena, Bohot Pyar se Smjhana Usko,
Ghomne ka Bahana kr k Dour Fizaon mai Kahin Lejana Usko,
Wo Bewafa Hy ,Us Waqt Ye Ehsas Na Dalana Usko,
Us K Samne Na Krna Baten Esi K Meri Yaad Aa jaye,
Mere Tafree Ky Mshghle Suna Suna k Hnsana Usko,
Wo Roye ga jb jb to Meri R0oh tarap uthaey ge,
aisa karo dostoo, meri m0ut ka hi na btana usko
Hua tu kuch bi nahe
Hua tu kuch bi nahe,Bas!
Thora sa Maan toota ha,
Thore se Log bichre hain,
Thore se Khwab bikhre hain,
Hua tu kuch b nahe,Bs!
Thori si Nenden Urr gae hain,
Thori si Khushian Chin gae hain,
Hua tu kuch bi nahe, Bas!
Apna ap Ganwaya ha,
Ankhon ko Brsna Sikhaya ha,
Chahton ka Sila paya ha,
Hua tu kuch bi nahe,Bas!
Kisi Apne ne Rulaya hain
Hijar Ki Aag Mein Sulgo Tu Bura Lagta Hai
Hijar Ki Aag Mein Sulgo Tu Bura Lagta Hai
Tum Mere Dedar Ko Tarso Tu Bura Lagta Hai
Ek Tamana Hai Faqat Muje Pe Mehrbaan Raho
Tum Kisi Aur Ko Dekho Tu Bura Lagta Hai
Meri Roh Tarsati Hai Teri Khushboo Ko
Tum Kahin Aur Mehko To Bura
Lagta Hai
Arzo Hai K Tere Roop Ko Har Pal Dehkon
Tum Mere Paas Se Utho Tu Bura Lagta Hai
Hum jab apne dard ko
Hum jab apne dard ko dilse juda karne lage,
yeh zakham hamare marne ki duwa karne lage,
humne jaan de di unhe aaya na pyar phir bhi,
upar se mere baad gairon se wafa karne lage,
kambakht zubaan ko ab koi aur shay bhaati nahin,
hum jabse apne ashqon ka naksha karne lage,
Mere dushman khat unhe pahucha rahe hai,
unke dost mere zakhmon ki dua karne lage,
Rote hai hum to gam ke mare aye jaan-e-chaman,
kyu aankhen app maili bewajah karne lage,
Abhi likha tha bewafa likhne lagi thi,
Mere kalam mere hathon se gila karne lage...
Teri Bargah Mein Ay Khuda
Teri Bargah Mein Ay Khuda,
Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne,
Mujhe pastiyon Se Utha Diya,
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha,
Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein,
Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,
Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal Mein Utha Diya,
Jisay Chaha Pal Mein Gira Diya.!
sitara meri qismat ka us se mila hi nahe
sitara meri qismat ka us se mila hi
nahe....
wo kese hota mera aisa kabhi huwa
hi nahe....
mene apni har khushi dusron men
baant di...
kisi ne mujhe kya diya ye kabhi
socha hi nahe....
baton baton men mohabbat is kadar
ho gaee us se.....
usay ab bhool jaun kese itna hosla
hi nahe..
har kisi ne mujhe matlab tak dost
banaye rakha...
koi sacha dost ban kar sath chala hi
nahe...
har koi meri chahat ko mazaq
samjhta raha...
dil men hai dard kitna koi samjha
hi nahe....
Hijar Ne Aisa Rishta Jora Astaghfar
Hijar Ne Aisa Rishta Jora
Astaghfar,.
Qatra Qatra Khoon Nichora
Astaghfar,.
Marna Tha Ghurbat Ne Maara Theek
Kiya,.
Lekin Mara ThOra ThOra Astaghfar,.
DiL Toota Tha Toota HiE Rehta Acha
Tha,.
Jor K ZaLim Ne Phir TOra
Astaghfar,.
Aankh Ne PaLa Aur SanbhaLa Khoob
Magar,.
NikLa Har Ek Ashk BhagOra
Astaghfar,.
Shab Khoon Mare Roz Meri In AankhOn
Par,.
Teri Yad Ka Sanki GhOra Astaghfar,.
Bhook Utari ZiLat Orhi Jeewan Ne,.
Aur Na Koi Rasta ChOra Astaghfar,.
Aik Zara Si Laghzish Par Is DiL NE
Aameen,
Mujh Ko Sari Rat JhanjhOra
Astaghfar...!!
Zehen ke khayalon main
Zehen ke khayalon main,
Rooh ke ujaalon main,
Zindagi ki jheelon main,
Zaat ki faseelon main,
Rat.jagon ke daaman main,
khawhishon ke aangan main
Dil ke khushk sehraa main,
Chashm-e-tar ke ke daryaa main,
Dard ke jahaan main bhi,
Ashk-e-be.zubaan main bhi,
Aur kuch nahin rehta,
Teri yaad rehti hai..
Aarzuu hai wafaa kare koi
Aarzuu hai wafaa kare koi,
Jee na chaahe to kya kare koi,
Gr maraz ho davaa kare koi,
Marne wale ka kya kare koi,
Kosstay hain jale huye kya kya,
apne haq main duaa kare koi,
Un se sab apni apni kehte hian,
Mera matlab adaa kare koi,
Chaah se aap ko to nafrat hai,
Mujh ko chaahe khuda kare koi,
Iss gile ko gila nahin kehte,
Gar maze ka gila kare koi,
Yeh mili daad ranj-e-furqat ki,
Aur dil kaa kahaa kare koi,
Tum saraapa ho suurat-e-tasveer,
Tum se phir baat kya kare koi,
Kehte hain hum nahin khudaa-e-kareem,
Kyun hamari khataa kare koi,
Jis mei laakhon baras ki huurenhon,
Aisi jannat ko kya kare koi,
Is jafaa pr tumhe tamanna hai,
Ke meri iltijaa kare koi,
Muun lagaate hi Daagh itraaya,
Lutf hai phir jafaa kare koi..
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana
Lafzon ki Justuju mein
Lafzon ki Justuju mein sub kuch
Ganwa dia
Wo ChaL dia’ Mein Tarz-e-Adaa
Dhoondti rahen
Usko Kisi ne RAB se maang liya aur
mein
Sajdey men Gir k Harf-e-Dua
dhoondta rahen
Teray Pyar Ki Hifazat
Teray Pyar Ki Hifazat Kuch Is Tarha
Say Ki Hum Nay,,
jb Kabhi Kisi Nay Pyar Say Dekha To
Nazrein Jhuka Li Hum Nay..
Aastino mein naag paale hain
Loog bemaut marne waale hain
Raunke jism e sar ba sajda thi
Us haveli mein aaj jaale hain
Haddiyan choos lenge dunya ki
Woh zamane ne kutte paale hai,
zakhm bakhshe hai usko phoolo ne
Jisne pathar nichaur daale hain
Har parinde ki rooh larza hai
Aise phande soonahre daale hain
Sheesh mahloon ki aaj khair nahi
Waqt ne sang woh uchaale hain
Sach ko jhootla diya tha jisne
Aaj uski zubaan mein chaale hain
Unko koi samajh nahi sakta
Unke andaaz hi niraale hain
Jo bhi qatil hamare hain
Phool se chehre bhole bhaale hain
Aastino mein naag paale hain
Bohat Kehny Ki Khuwahish Hai,
Mgr Bta Nahi Sakty..
Teri Batain, Teri Yaadain,
Hamara Dil Dukhati Hain..
Bohat Takleef Hoti Hai,
Tujhe Suna Nahi Sakty..
Tere Sath Chalna Hai,
Teri Manzil Bhi Ban Nahi Sakty ..
Bohat Thak Gaye Hain Hum,
Ab Aagy Ja Nahi Saktay..
Suno Hum Toot Jaen Ge,
Humain Kese Sametto Ge..
K Mar K Bhi Meri jaan!
Hum Tujhe Bhula Nahi Sakty...!!!
Bohat Kehny Ki Khuwahish Hai
Jo hotay hain faqat chahe jane ke qabil,
wo log nahin hotay bhool jane ke qabil,
tera khaloos aapni jaga meri majboori samajh
kuch dukh nahin hotay batae jane ke qabIl,
ay sagar ki lehro zara deyaan se paltna,
kuch ghronde nahin hoty mitaye jane ke qabil,
janmbish-A-lu be zaroori nahin ankhen deti hain,
kuch jazbaat nhi hoty chupaye jane ke
qabil!!
Jo hotay hain faqat chahe jane ke qabil
Wafa Ki Aarzoo Karna!
Safar Ki Justujoo Karna!
Jo Tum Mayoos Ho Jaao!
To RABB Se Guftugoo Karna!
Ye Aksar Ho Bhi Jaata Hy!
K Koi Kho Bhi Jaata Hy!
Muqaddar Ko Sataao gy!
To Phir Ye So Bhi Jata hy!
Agar Tum Hosla Rakkho!
Wafa Ka Silsila Rakkho!
Jisy Tum KHALIQ Kehtay Ho!
To Us Se Raabbta Rakkho!
Men Ye Daavy Se kehte Hun!
Kabhi Naakaam Na Hogy!
ISHQE HAQIQI Ko Samajh Jaao!
Kabhi Badnaam Na Hogy.
Wafa Ki Aarzoo Karna!
Shehar_e_khayal_o_khawab may aabad ho gaya
Itna usay parha k mujhe yaad ho gaya...
Main aj tak hoon jis k faraib_o_hisar mein
wo aur hi kisi ka mere baad ho giya...
Aandhi , hawa ka sath nibhane k shoq mein
koi tabah ho gaya , barbaad ho gaya...
Apni tho sari umar aseeri mein kat gai
jis ne b haar maan li azad ho gaya...
Pahley tho paniyon say rahi guftagu meri
phir yun howa k aaina izaad ho gaya...
Shehar_e_khayal_o_khawab may aabad ho gaya
Be Khwab say Lamhoo Ka Paristar Kon Tha...!
Ittni Udaass Raat Main Bedaar Koon Thaa...!!
Kis Ko Yeh Fikar Thi K Muhabat Main Kia Howa..!
Ham Is Par Lar Rahe Thay K Wafadar Kon Tha..!
So Kashtiyan Jala K Chalay Sahilon Say Ham...!
Aab Tm Ko Kia Baatain Kay Us Paar Kon Tha...!
Yeeh Faisla To Waqt B Shayad Na Kaar Saka...!
Saach Koon Bolta Thaa Addaakar Kon Thaa...!
Barsoon Guzar Gay Hain Yahi Sochtay Howay...!
Main Kis Ko Kahon Apna,Gham Khwar Kon Tha...!