top of page

Collection Page 8

Tumhe ijazat hai
Tumhe ijazat hai
Tumhe ijazat hai - Dua3Lafz
00:0000:00

Tumhein Jana Ijazat Hai
Ke In Tareek Raahon Per
Thakkan Si Khud Mein Pao To
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye
Thakk Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Kangaal Hathon Se Chhora Ke Apne Hathon Ko
Fiza Ki Nagmagi Se Tum Naey Geet Chun Lena
Haseen Pulkon Ki Nokon Per Naey Kuch Khuwab Bun Lena
Koi Agar Poochh Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna
Mere Jeewan Ki Jalti Dopehar Se Begarz Ho Ker
Tum Apni Chandni Raaton Mein Jugnu Palti Rehna
Meri Tunhaiyon Ki Wehshat Ki Fikr Mat Karna
Tumhein Iski Ijazat Hai
Mere Sab Khat Jula Dena
Mere Tohfon Ko Darya Mein Baha Dena,
Duba Dena
Tumhein Bilkul Ijazat Hai
Ke Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na Ho Jana
To Acha Hai ...

Bicharne waley

Bicharne waley

Bicharne wale - Dua3Lafz
00:0000:00

Bicharne waley
chale jo ho to bata ke jao
ke kitni shamain udaas ankhon main kaatni hain.
ke kitni subhain akele pan main guzarni hain.
bata k jaao.
ke kitne sooraj azaab raston ko dekhna hai
ke kitne mahtaab sard raaton ki wus'aton se nikaalne hain.
bata ke jaao ke chaand raaton main waqt kaise guzaarna hai.
khush lamhon main tujko kitna pukaarna hai.
bata ke jaao! ke kitne lamhe shumaar karne hain hijraton ke
ke kitne mausam ek aik kar ke judayon main guzarne hain.
bata ke jaao ke panchyon ne akele pan ka sabab jo pucha.
to kya kahun gi.
kisi ne raste main rok kar mujhse ab jo pucha
ke pichle mausam main saye saye jo ajnabi the
to kaya kahun Gi.
bichar ke tujse habib kis se mila karun Gi
bata ke jaao! ke ankh barsi to kon moti chuna karega.
udaas lamhon main dil ki dharkan suna karega.
bata ke jaao! ke mosamon ko pyaam dene hain ya nahin.
falak ko,taaron ko,jugnuon ko salam dene hain ya nhi.
bata ke jaao! ke kis pe hai aitbaar karna
to kis ki baton pe be-niazi ke silsile ikhtiar karna.
bata ke jao! ke ab rawayon ki chal kya ho
jawab kya ho sawal kya ho
urooj kya ho zawal kya ho
nigah,rukhsar,zulf,chehra nidhal kya ho
bata ke jao! ke meri sorat pe tergi muskura pari to
main kya karun Gi.
bata ke jao ke tumko kitna pukarna hai
bichar ke tujse ye waqt kaise guzarna hai
badan ko kitna sanwarna hai
bicharne wale chale jo ho to bata ke jao
bata ke jao

bottom of page