top of page

Collection poem page 7

​

Khudgarz hei meri mohabbat, mujhse wafaa na kar
bereham hei meri chahat, mujhse wafaa na kar
zindagi bhar apni takleefo se jujta rahi hun mein
bepanaah hei meri nafrat, mujhse wafaa na kar
andhero se roshan rahi hai mere dil ki mehfil
chandni hai mere liye aafat, mujhse wafaa na kar
mei jhilmila rahi hun apni lagaai hui aag mein
is aag se hai mujhe ulfat, mujhse wafaa na kar
ishq aur wafaa nahi hai mere haatho ki lakiro main
main hun khud apne liye musibat
, mujhse wafaa na kar

khudgarz hai meri muhabbat
Kudgarz hai meri mohabbat - Dua3Lafz
00:0000:00
Bajaaye Ashq, Lahu Chashm-e-Tar Mein Rakhti Hoon

Bajaaye Ashq, Lahu Chashm-e-Tar Mein Rakhti Hoon,
Saja k Gham ki Amaanat ko Ghar Mein Rakhta Hoon,

Nahi Hai Khauf Mujhe, Raah k Andheron Ka,
K ManziloN k Ujaale, Nazar Mein Rakhta Hoon,

Wo Ek Tarrap, Jo Nahi Bijliyon ko Bhi Haasil,
Mein Apne Toote Huwe Baal-o-Par Mein Rakhti Hoon,

Ye Aur Baat Hai, Khamosh Hon Sar-e-Mehfil,
Hazaar Shikve Dil-e-Gham-Asar Mein Rakhti Hoon,

Tera Khayaal, Teri Aarzoo, Tere Jalway,
Na Pooch Mujh Se, Mein Kiya Kiya Nazar Mein Rakhti Hoon,

Mein Kiya Bataon k Kin Azmaton ka Haasil Hai,
Jo Zauq-e-Bandagi Mein Apne Sar Mein Rakhti Hoon,

Mitti Tha Mein Khameer Teray Naaz Se Utha

Mitti Tha Mein Khameer Teray Naaz Se Utha,
Phir Haft Aasmaa'n Meri Parwaaz Se Utha,

Insaan Ho Kisi bhi Sadi Ka Kaheen ka Ho,
Ye Jab Utha Zameer ki Aawaaz Se Utha,

Subah-e-Chaman Mein Ik Yehi Aaftaab tha,
Iss Aadmi ki Laash ko Aizaaz Se Utha,

Soo Kartaboo'n Se Likha Gaya Ik Ik Lafz,
Lekin Ye Jab Utha Kisi Ijaaz Se Utha,

Ay Sheh-Sawaar-e-Hussn Ye Dil Hai Ye Mera Dil,
Ye Teri Sar-Zameen Hai Qadam Naaz Se Utha,

Mein Pooch Loon kiya Hai Mera Jabr-o-Ikhtiyaar,
YA RAB Ye Masla kabhi Aaghaaz Se Utha,

Wo Abr Shabnami Tha k Nehla Gaya Wajood,
Mein Khuwaab Dekhta Huwa Ilfaz Se Utha,

Shaair ki Aankh Ka Wo Sitaara Huwa ALeeM,
Qaamat Mein Jo Qayamati Andaaz Se Utha

Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Nisab Mein

Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Nisab Mein.

Titli Mili Hanoot Purani Kitab Mein.

Dekhon Ga Kis Tarah Se Kisi Ko Azaab Mein.

Sab K Gunah Daal De Mere Hisab Mein.

Phir Bewafa Ko Behir-e-Mohabbat Samajh Lia.

Phir Dil Ki Naao Doob Gai Hai Saraab Mein.

Pehle Gulaab Us Mein Dikhai Diya Mujhe.

Ab Wo Mujhe Dikhai Diya Hai Gulaab Mein.

Wo Rang-e-Aatasheen, Wo Dehakta Howa Shabaab.

Chehre Ne Jaise Aag Laga Di Naqaab Mein.

Barish Ne Apne Aks Kaheen Dekhna Na Ho.

Kion Aaine Ubharne Lage Hain Habaab Mein.

Gardish Ki Taiziyon Ne Use Noor Kar Dia.

Matti Chamak Rahi Hai Yehi Aftaab Mein.

Us Sangdil Ko Mein Ne Pukara To Tha ADEEM.

Apni Sada Hi Lout Kar Aaiem Jawaab Mein.....

Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab

Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab
Aur Os Per Ye Be Rukhi Sahaab

Pyaar Aur Wo Bhee Ham Karain Tum Se ?
Ham Ko Pyaari Hai Zindagi Sahaab

Ab Wo Saanson Ka Silsila Bhee Nahi
Le Lo Jo Hain Bachi Kuchi Sahaab

Tum Jataatay Ho Pyaar…..Vyaar Magar
Ham Ko Lagtay Ho Ajnabi Sahaab

Is Mein Kuch Aap Ka Bhi Hissa Hai
Ye Jo Palkon Pe Hai Nami Sahaab

Ye Andheron Ka Ik Tamaasha Hai
Aap Kehtay Ho Roshni Sahaab

Ab Wo Qisson Mein Mil Sakain Shaayad
Pehlay Hotay Thay Aadmi Sahaab

Aaj Kal Ho Kis Ke Chakkar Mein ?
Baat Loogon Se Ye Suni Sahaab

Aap Hain Bawafa, Tou Yun Hee Sahi
Aap Ki Baat Maan Li Sahaab

Tum Ko Bhoolay Tou Ye Laga Ham Ko
Dard Mein Kuch Howi Kami Sahaab

Dushmani Ne Thakaa Dia Ham Ko
Ham Se Karlo Ab Dosti Sahaab

Baat, Kia Hai Jo Khaaye Jaati Hai
Tum Ne Poochi Na Kuch Kahi Sahaab

mujhmein ujda hai koi shaks aashiyan ki tarah

mujhmein ujda hai koi shaks aashiyan ki tarah
waqt kaha rehta hai sab par yu meharbaa ki tarah
kisi ke naam ko khamoshiyon se japte rahe
varna rehte the kaha hum yu bezubaa ki tarah
hawa to khud bhi mujhe choote hue darti hai
kunki mera wazood hai ek girte hue makan ki tarah
tamam umar bhatki hoon gam ke sehra mein
mila kaha wo mujhko sayba ki tarah
socha bhi na tha ki wo milenge kabhi is tarah
magar wo rahe hamesha saath jakhm ke nishaan ki tarah
hawa mein udti rehti hoon sookhe patte si
zami bhi rahi mujhse door aasmaa ki tarah
aap bhala mere gham ko kya samajh paate
suni thi aapne to gazlein bhi daasta ki tarah

Khudgarz hai meri mohabbat
Bajaaye Ashq
Mitti tha mein
Shamil tha ye sitam bhi
Sahaab
Mujh main ujda hai koi
Eik Baar Kar Ke Eitbaar Likh Do

Eik Baar Kar Ke Eitbaar Likh Do
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do
Katti Nahin Ye Zindagi Ab Tere Bin
Kitna Aur Karun Intizaar Likh Do
Tarastey Rahey Hein Bari Muddat Se
Is Baar Apni Muhabbat Ka Izhaar Likh Do
Deewaney Ho Jayen Jise Parh Ke Hum
Kuch Aisa Tum Merey Yaar Likh Do
Zyada Nahin Likh Sakte To Mat Likho Tum
Muhabbat Bharey Lafz Do Chaar Likh Do
Ek Baar Likho Muhabbat Hai Mujhe Tum Se
Phir Yehi Jumla Baar Baar LIkh Do

Mere Baare Mein Huwaaon Se Wo Kab Poochey Ga

Mere Baare Mein Huwaaon Se Wo Kab Poochey Ga,
Khaak Jab Khaak Mein Mil Jaaye Gaye Tab Poochey Ga,

Ghar Basaane Mein Ye Khatra Hai K Ghar Ka Malik,
Raat Mein Dair Se Aane Ka Sabab Poochey Ga,

Apna Gham Sub Ko Bataana Hai Tamaasha Karna,
Haal Dil Us Ko Sunaae'n Gay Wo Jab Poochey Ga,

Jab Bichrrana Bhi To Hanste Huwe Jaana Warna !
Har Koi Rooth K Jaane Ka Sabab Poochey Ga,

Hum Ne Lafzoo'n K Jahaan Daam Lagaye, Bech Diye,
Shehar Poochey Ga Humein Ab Na Adab Poochey Ga

Mein Aesi Ek Ghalat-Fehami Mein Duniya Se Gaya,
Jab Bhi Aaye Ga Mere Baare Mein Sub Poochey Ga

jo loutf dard-e- mohabbat main hai

jo loutf dard-e- mohabbat main hai
jo loutf dard-e- mohabbat main hai
woh mohabbat paaney main nahe

mohabbat karne walo ki manzil kisi ko paaana nahi
balkey apne mehboob ko khush daikhna hai

jo taskeen mehboob ko paane pe hasil hoti hai
us ki taseer us tarp k samney kuch bhi nahi

jo mohabbat naa paaney walo k naseeb hoti hai
maine bhi kabhi naseeb k fayslay ko apnaya thaa

Meri khamoshi ko woh meri khata kehta hai

Meri khamoshi ko woh meri khata kehta hai
meri khamoshi ko woh meri khata kehta hai
kitna nadaan hai wafaoon ko jafa kehta hai

woh ke anjaan e mohabbat hai usse kiya kahiye
dil ke rone ko woh dharkan ki sada kehta hai

mai usai kitna bhi chahoon per nahi us pe asar
meri diwaangi ko apna huner kehta hai

yaan to awaaz uthaane ki saza maut hi hai
tum bhi maano wohi jo haakime waqt kehta hai

bus woh aaghaaz e mohabat ke chand lamhe hain yaad
jin ko "Jana" woh larakpan ki khata kehta hai

Aisa nahi ki humko mohabbat nahi mili

Aisa nahi ki humko mohabbat nahi mili
Aisa nahi ki humko mohabbat nahi mili
Thi jiski aarzoo,wo daulat nahi mili

Jise dekhkar kare mujhse, rashq zamana
Sab kuch mila magar wo kismat nahi mili

Manzil se humne dekha, laashon ka dher tha
Hoti kabool USKo, wo hasarat nahi mili

Ghar ko sajana jaa ke, har ladhki ko seekh di
Zinda rakhe wo khud ko naseehat nahi mili

kisko sunaaye kissa yahan, tere zauf ka
kahte hai hum sabhi se aadat nahi mili

Dekha giraa ke khud ko kadmon main uske aaj
“jana” naseeb main hi tumhe kurbat nahi mili

Toote mere sapne

Toote mere sapne
Toote mere sapne kaise koi sapne sajane wale se puche
Kya kya mein ne khoya, koi mere dil ki ujri hui nagri se pooche

Talash kar raha hun mein un benam lafzoon ke maine
Khara hun besahara kuch benam tanha yaadon ke shahare

Nehien milega tujhe kuch yahan teri wafaon ke badle
Milen gi nafratein tujhe teri chahataon ke badle

Ae ISHQ, Is shehre mashehai mein nehin hai koi jo tere zakhmon ko dekhe
Nehi dega tujhe koi zehar bhi yahan, teri zindagi ke badle

Baarish Ki In Boondon Ne jab Dastak diya

Baarish Ki In Boondon Ne, Jab Dastak Di Darwazey Pr
YuuN Lagaa Tum Aye Ho, 'Andaaz Tumharey Jesa Tha'

Hawaa Ke Halkey Jhonkey Ne, Jab Aahat Ki Thi Khirki Pr
Mehsoos Hua Tum Chaltay Ho, 'Andaaz Tumharey Jesa Tha'

Mai Ne Jab In Boondon Ko, Tapkaya Apnay Haathon Pr
Ek Sard Sa Yuun Ehsas Hua, 'Wo Lams Tumharey Jesa Tha'

Mai Tanhaa Chala Jab Baarish Mei, Ek Jhonke Ne Mera Saath Dia
Mai Samjah Tum Ho Saath Mere, 'Ehsaas Tumharey Jesa Tha'

Phir Ruk Gai Wo Baarish Bhi, aur Rahi Na Baaki Aahat Bhi
Mai Samjha Tum Mujhe Chorr Gaye, 'Andaaz Tumharey Jesa Tha'

Baarish ki bhondon - Dua3Lafz
00:0000:00
mere ham-nafas, mere ham-navaa

mere ham-nafas, mere ham-navaa, mujhe dost banke daGaa na de
main huuN dard-e-ishq se jaaN_valab, mujhe zindagii kii duaa na de

mere daaG-e-dil se hai raushanii, usii raushanii se hai zindagii
mujhe Dar hai aye mere chaaraagar, ye charaaG tuu hii bujhaa na de

mujhe chhor de mere haal par, teraa kyaa bharosaa hai chaaraagar
ye terii nawaazish-e-muKhtasar, meraa dard aur barha na de

meraa azm itnaa baland hai ke paraaye sholon kaa Dar nahiin
mujhe Khauf aatish-e-gul se hai, ye kahiin chaman ko jalaa na de

wo uThe hain leke hom-o-subuu, arey o 'Shakeel' kahaaN hai tuu
teraa jaam lene ko bazm mein koii aur haath barha na de

Mere ham nafas - Dua3Lafz
00:0000:00
Apni tanhai se wehshat nahi hoti mujhko

Apni tanhai se wehshat nahi hoti mujhko kya ajab shy hon muhabbat nahi hoti mujh ko...
Ab koi baat be nai baat nahi mere lye Ab kisi baat pr hyrat nahi hoti mujh ko....
Yaad aati nahi beeti hoi batain dil ko Yaad krny ki zaroorat nahi hoti mujh ko....
Dil k jazbat se ab koi ta'luk hi nahi Had to ye ho gai k nafrat be nahi hoti mujh ko
Sakht pehra mere andar me lga rehta hy Soochny tk ki be ijazat nahi hoti mujh ko
Khwahish-o-wasl kahan ishq kahan batain kahan Saans lene ki be fursat nahi hoti mujh ko
Ab sulagta nahi yadon me wo miti ka diya Tum se milny ki b hasrat nahi hoti mujh ko....

Apni tanhai se - Dua3Lafz
00:0000:00
Eik baar kar ke
Mere baare mein
Meri khamoshi ko woh
Jo louft dard e mohabbat
Aisa nahin ki humko
Toote mere sapne
Baarish ki inn boondon
Mere hum nafas
Apni tanhai se wehshat

Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Purani rutton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera nooha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey faateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna

Mujhey darya nahi likhna

Ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadaqe hotii kabhii dil nisaar
hotaa

na mazaa hai dushmanii mein na hai lutf dostii
mein
koii Ghair Ghair hotaa koii yaar yaar hotaa

ye mazaa thaa dillagii kaa ke baraabar aag
lagatii
na tumhein qaraar hotaa na hamein qaraar hotaa

tere waade par sitamagar abhii aur sabr karate
agar apanii zindagii kaa hamein aitabaar hotaa

Ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa

Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr. ...!!!!!

Kabhi es tarah meray ham nafs

Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Mere Her KHUWAB Per Apni HOKUMAT Chahta Hai
Mere Her LAFZ Mein Jo MUJ Se Barh Ker Bolta Hai
Mere Her LAFZ Ki Muj Se WAZAHAT Chahta Hai
Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban ChukI Hoon
To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahti Hai

Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Mujhey darya nahin likna
Kabhi is tarah meray
Ajab apana haal hota
woh iss andaaz ki

JAIZ hai uska Qatal hamary Hisaab se,
Jis ne Mohabbaton ko nikala Nisaab se
Tanqeed kar rahy hain Kitaab-e-Hayaat par,
Aagey na barh saky jo kabhi Intisaab se;
Main Sahib-e-Khabar bhi Nazar bhi Junoon bhi thi,
Jab tak rahan tha Mera Taalluq Kitab se;
Uss Waqt aik Sajda barry kaam aa gaya,
Main jab guzar rahen thi Anaa k Azaab se;
Mujh se bary bary thy Gunahgaar uss jaga,
Bekaar Dar rahen thi Main Youm-e-Hisaab se;
Kaanton k Khauf se bhi Larazty ho Tum ,Duaa
Aur Ghar bhi Chah'tey ho Sajaana Gulaab SE

JAIZ hai uska Qatal hamary Hisaab se
Yehi Huwa ki Hawa Le Gayi Urra k Mujhe

Yehi Huwa ki Hawa Le Gayi Urra k Mujhe
Tujhe to kuch Na Mila Khaak Mein Mila k Mujhe

Bus Ek Goonj Hai jo Saath Saath Chalti hai
Kahan Ye Chorr Gaye Faasale Sada k Mujhe

Charagh Tha To Kisi Taaq Hi Mein Bujha Rehta
Ye Kya Kiya K Havaale Kiya Hawa k Mujhe

Ho Ek Adaa To Use Naam Doon Tamanna ka
Hazaar Rang Hain Is Shola-e-Hina k Mujhe

Buland Shaakh se Uljha tha Chaand Pichale Pahar
Guzar Gaya Hai koi Khuwaab Sa Dikha k Mujhe

Aur Kiya Hai Teri Basti Mein Pareshaani Mujhe
Har Qadam Par Tokti Hai Marg-Saamaani Mujhe

Do Parinde Ek Hi Patthar Se Maare Waqt Ne
Aag Basti ko Ataa Ki, Aankh ka Paani Mujhe

Jis Ka Waada Tha k Pehnae Ga Taaron Ki Qabaa
Jaate Jaate De Gaya Malboos-e-Uriyaani Mujhe

Aaeina Aur Apni Soorat Ye Hai Teri Kainaat
Kiya Kare Ga Mushtail Apna Hi Zindaani Mujhe

Mera Chup Rehna Bhi Ay Naadaan Bahut Mehnga Parra
Bakhsh Di Qaatil Ne Maqtal Ki Nigahabaani Mujhe

Aur Kiya Hai Teri Basti Mein Pareshaani Mujhe

Khamosh rehna ki ab Aadat si ho gai hai

Khamosh rehna ki ab Aadat si ho gai hai,
Dard sehne ki ab Aadat ho gai hai…

Socho ke alawa ab koi kam nahi aata,
Zakhmo ko chopane ki ab Aadat si ho gai hai…

Ab to darte hai koi shafakat se bhi pukare hume,
Akele rahne ki ab to Aadat si ho gai hai…

Aitbaar kare bhi to kis pe kare aye zindgi tu hi bata,
Apno se dhokha khane ki Aadat si ho gai hai…

Dil ke bure nahi thi, ek shaks ne bana diya,
Ab to apne saye se bhi darne ki Aadat si ho gai hai…

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat ho

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat ho
ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat
wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi
kab badalti hain zamany ki riwayat kabhi
aik wo din thy k ek dosry ko sochty thy hum
ab milty nahi dono k khayalat
meri her subha ka aghaz tery naam se ho
teri yadon mai kati meri her aik raat ho
tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
wo kitni saadgi se ker gaya ye baat

Milnay ke ab to saray bahanay gaye.
Tum se juray her afsanaay gaye.

Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho,
Sawal Karne Dia Jaye Aur Jawab Na Ho,
Agar Khaloos Ki Dolat K Goshware Banein,
To Sheir Bhar Mein Koi Shab-E-Nasaab Na Ho,
Zameen Apni Mohabbat Mein Begharz To Nahi,
Ye Aur Bat K Har Hath Ka Hisab Na Ho,
Charagh Taaq-e-Tamana Main Rakh K Bhool Gai,
Dua Wo Mang Rahe Thay Jo Mustajab Na Ho,
Kabhi Na Tang Ho Us Par Zameen Ka Daman,
Ameer-E-Sheir Agar Aasman Janab Na Ho,
Humare Qeht Bhi Aur Barshain Bhi Poori Hoi,
Hamare Naam Ka Ab To Koi Azab Na Ho,
Ye Chashm-E-Nam Hai Isay Khushk Dekh Bhal K Kar,
Hari Bhari Koi Basti Hi Zair Aab Na Ho,
Bas Ek Naam Ka Tara Sada Chamakta Rahe,
Gila Nahi Jo Muqdar Mein Mahtab Na Ho.......

Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho

Phir ek cigarettejalaa raha hu,
Phir ek teelli bujha raha hu,

Teri Nazar mein yehek gunaah hai,
Main tho tere saare waadein bhula raha hu,

samajhna mat isko meri Aadat,
Main tho bas dhuha uddha raha hu,

yeh tho teri yaado kaa silsila hai,
Main teri yaadein jalaa raha hu,
Main peekar itna bahek chuka hu ki,

Gum ke kisse sunaa raha hu,

Agar tumhe bhi gum hai tho mere pass aao, main pee raha hu
aur peela raha hu,

Hai meri Ankhein tho aaj num,
Magar main sabko hansa raha hu,

Khokar aapni zindagi aaj main,
Apne Be-Intehaa pyaar ko bhula raha hu,

“” Ek cigarette ki shama k bahane,
main aapne aap ko jalaa raha hu “

Phir ek cigarette
jalaa raha hu

Quran ki faryaad

Taaqo mein sajaya jaata hoon,Aakhon se lagaaya jaata hoon
Taweez banaya jaata hoon,dho dho ke pilaaya jaata hoon

Juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chandni ke
phir itr ki baarish hoti hai,khushbu mein basaaya jaata hoon

jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain
iss tarah parhaaya jaata hoon,iss tarah sikhaaya jaata hoon

Jab qol-o-qasam lene ki liye takraat ki nobat ati hai
phir meri zaroorat parrti hai,haathon mein uthaaya jaata hoon

Dil soz se khaali rehte hain,aankhen hain ke num hoti hi nahin
Kehne ko main ek ek jalse mein parh parh ke sunaya jaata hoon

neki pe badi ka galba hai,sachchai se barkhkar dhokha hai
ek baat hansaaya jaata hoon,sau baat rulaaya jaata hoon

Yeh meri aqeedar ke daawe,qanoon pe raazi ghairon ke
yun bhi mujhe ruswa karte hain ,aise bhi sataaya jaata hoon.

Jaiz hai uska qatal hamary
Yehi huwa
Aur kiya hai teri basti
Khamosh rehna ki
Phir ek cigareette
Ab to mumkin hi nahin
Ye kaisa izn e tukallam
Quran ki faryaad
bottom of page