Collection poems Page 2
Roothy Hen Sabhi L0G Unhen K0n Pukary
Roothy Hen Sabhi L0G Unhen K0n Pukary,,
Sadiy0n Se Akaily Hen Gam-e-IshQ K Maary,,
Ek Bar Meri Simt Bi Uthi Thi W0 Nzren,,
Ek Shab Mery AnGan Men Bi Utry Thy Sitaary,,
Kia Jaanye Kis 0ur Chaly Le K Hawa Phr,,
Kia Jaaniye Kis Simt Me Hen Zehn K Dhaary,,
Ham Raah Men Bethy Thy K Wada Tha Ksi Ka,,
Aana Tha Jinhen jaaniye Kis Our Sidhaary.
Ek RanG Me Rehty Hen Kbhi Ham Na Kbhi Tum,,
S0 R0op Hamary Hen T0u S0 R0op Tumhary,,
Ye Ankh Meri Parti Hy Tum Per Hi FaQat Kiyun,,
Kiyun NEEL Kanwal Khilty Hen Nadiy0n K Kinary,,
Kis Darja Kham0shi Hy Mery Ghar Me
"KHUDAYA",,
Darwaza Hi Kharky K0i DEevar Hi Pukaary......!!!
Mujhko Meri Hi Udaasi Se Nikaale Koi
Mujhko Meri Hi Udaasi Se Nikaale Koi,
Main Mohabbat Hon, Muhabbat Ko Bacha Le Koi,
Main Samandar Hon, Meri Teh Meh Sadaf Hai Shayad,
Moj Dar Moj Mujhe Aa Ke Uchaale Koi,
Yeh Bhi Taqdeer Hai Ya Husn-E-Nazar Hai Apna,
Koi Tohkar Se Giraahe Toh Sanbhaale Koi,
Zehen Tareek Se Kamre Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Ji Meh Aati Hai, Use Aa Ke Ujaale Koi,
Hum Toh Ojde Hain Beyabaan Se Jungle Ki Tarha,
Dil Basana Hai Kisi Ko Toh Basa Le Koi,
Sahad Kaisi Hai Yeh Duniya Ke Semet’ti Hi Nahi,
Meri Khwaish Ko Kahin Maar Na Daale Koi,
Sahad Darta Hon Zamane Ki Rawish Se Main Bhi,
Phir Se Kar Dega Mujhe Uske Hawale Koi
Khamoshi Khud apni sada ho aisa bhi ho sakata hai
Khamoshi Khud apni sadaa ho aisa bhi ho sakata hai
sanata hi gun’j raha ho aisa bhi ho sakata hai
mera maazi mujh se bichhar kar kya jaane kis haal main
hai
meri tarah vo bhi tanha ho aisa bhi ho sakata hai
sahara sahara kab tak main Dhundhun ulfat ka ek alam
alam alam ik sahara ho aisa bhi ho sakata hai
ahl-e-tufaan soch rahe hain saahil Dubaa jata hai
Khud un ka dil Doob raha ho aisaa bhi ho sakata hai
Bohat muddat se aesa hai,Ke tum khamosh rehte ho
Bohat muddat se aesa hai,
Ke tum khamosh rehte ho,
Koi gehra hai gham shayed,
Jisse chup chaap sehte ho,
Yoon hi chalte huye tanha,
Koi ghamgeen sa naghma,
Tum aksar gungunaate ho,
Doraane-guftguu joon hi,
Milain nazron se jab nazren,
To baatain bhool jate ho,
Kisi gumsum si haalat main,
Ya phir baarish ke mausam main,
Fakat itna hi kehte ho,
Udaasi be-wajah si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai,
Bhala sachh kyun nahin kehte,
Tumhe mujh se mohabbat hai,
Tumhe mujh se mohabbat hai..
Bohat muddat se aesa hai,
Ke tum khamosh rehte ho,
Ke tum khamosh rehte ho,
Bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
Bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye
bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye
har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye
wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye
jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye
sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye
gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye
'Naheed' faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye
Kash key tum namm aankhon se
Kash key tum namm aankhon se
Ek baar bas itna keh detay
Kiya chhorr gaye thay paas meray
Aur ab kiya lainay aye ho,
Main khamoshi sey sunn leti
Gham sehh leti dukhh chunn leti
Kuch dard key aansoo ro leti
Tum se sharminda ho leti
Tum keh na sakay hum ro na sakay
Dil pehlay jaisay ho na sakay
Tum afssurda hum sharminda
Shab bhar dono soh na sakay !!!
Un haseen aankhon ki wehshaton se keh dena
Un haseen aankhon ki wehshaton se keh dena
Hum jo aasmaan hotey
Un ko mahnoor kartey
Un udaas aankhon ko roshni se bhar detey
Kuch nami ko kam kartey
Kuch khushi se bhar detey
Hum jo aasman hotey
Un afasuda palkoon ki
Beqarar larzish ko
man pasand chehrey ki simt munjamind kartey
ye agr na kar patey
tab ussey khuda kartey
tab ussey sanam kartey
us ko murtakiz kar ke
khud ko chaar soo kartey
apni sans kam kar ke
us ko daan kar detey
un haseen palkoon ko
uthtey jhuktey rehney mein
dharkanoon ko gum kartey.
ye bhi agar na kar patey
phir bhi kuch to hum kartey
un udaas aankhon ki wehshatoon se keh dena ..!!!
Ajnabi shehar kay ajnabi rastey
Ajnabi shehar kay ajnabi rastey
meri tanhayi per muskuratey rahe
Main bohut dair tak yunhi chalta raha
Tum bohut dair tak yaad atay rahe
Zehar milta raha, zehar peetey rahe
Roz marte rahe, roz jeetey rahe
Zindagi bhi humein azmati rahi
Aur hum bhi issey azmatey rahe
Zakham jab bhi zehan-o-dil per laga
Zindagi ki taraf ik dareecha khula
Hum hi goya kisi saaz ki taar hain
Chaut khatey rahe, gungunatey rahe
Kal kuch aisa huwa, main bohut thak gaya
Iss liye sun kay bhi un'suni kar gaya
Kitni yaadon kay bhatkey huwe karvaan
Dil kay zakhmoon kay dar khat khatey rahe
Muhabbat ki tamana hai,To phir woh vasf peda kr
Muhabbat ki tamana hai
To phir woh vasf peda kr
Jahan sy ishq chalta hai ,vahan tk naam peda kr
Agr sacha hai mery ishq me to ay bani adam
Nigahe ishq peda kr jamal e zarf peda kr
Me tujh ko ,tuj sy ziada -aur- sb sy ziada chahon ga
Magr shart yeh k apny andr meri justaju to peda kr
Agr na badlun teri khatir hr ik cheez to kehna.!
Tu apny aap me pehly andaz-e-wafa to peda kr.
Dard itne Mile ab Dard na Raha.
Dard itne Mile ab Dard na Raha.
Bari bedardi se Ro diye k kyun Dard na Raha.
Dil e wiraan men Mere bas Dard ka Basera Tha.
Magar Dard bhi ye keh gaya k Tumhain ab Dard na
Raha.
Bohat karta tha zamana Tarifain Meri Aankhon ki.
Magar in Dard bhari Aankhon men ab Dard na Raha.
Aahein Siskiyan bhi sath chor gai Mera.
Aajib zindegani hoi k zindagi men ab Dard na Raha.
Udas raaton men hal e dard sunate the Dard ko
Magar.
Shab e Dard bhi ye keh gai k "Dua" ko ab Dard
na Raha.
kabhi jo hum nahi hoon gy
kabhi jo hum nahi hoon gy,
kaho kis ko batao gy,
wo apni uljahnain sari,
wo becheni main dooby pal,
wo ankhon main chupe ansu,
kise phir tum dikhao ye,
kabhi jo hum nahi hoon gy,
bohat bechain ho gy tum,
bohat tenha reh jao gy,
abhi b tum nahi sumjhe,
hamari unkahi batein,
mager jub yaad aayen gy,
bohat tum ko rulayen gy,
bohat chaho gy phir b tum,
humein na dhoond pao gy,
kabhi jo hum nahi hoon gy
Mere Humsafer
Mujhe yaad koi dua nahin
mere humsafar abhi soch le,
Tu meri jabeen bhi likha nahin
mere humsafar abhi soch le,
Abhi rasta bhi hai Dhool main
Abhi faida bhi hai bhool mein,
Abhi mujh ko tujh se gila bhi nahin,
Mere humsafer abhi soch le,
Main janam janam se Naraz hoon
Main janam janam se udaas hoon,
Main khabi bhi khul ke hansa nahin
mere humsafer abhi soch le,
Tu hai khwab khwab pukarta
meri ankh main nahin ashk abhi,
Main muddaton se jiya nahin
Mere humsafer abhi soch le,
Tujhe khushbuoon ki hai arzoo
Tujhe roshni ki hai justuju,
main hawa nahin diyya nahin,
mere humsafer abhi such le,
Tujhe Ansuoon ka pata nahin
Tujhe ratjagon ka guman nahin
Mere humsafer abhi soch le,
Kahin chhoot sakta hai darmiaan
Na zameen mile gi na Asmaan,
Tujhe rastay ka pata nahin mere
humsafar abhi soch le,
Kaho lautna hai kise yaha
Mere dard sun mere Meharban,
Mere paas waqt zara nahin
mere humsafer abhi soch le
Khabi Dastan-e-Gham Suna Suna K Roye
Khabi Dastan-e-Ghm Suna Suna K Roye..............Mujhe Azmany Waly Azma Azma Ky Roye.........Na Roye Hm Apni Wafa Pr............Wo Apni Bewafai Suna Suna Kr Roye............Hmain Muhbt Thi Un Se.........
Wo Muhbt Ky Qisy Suna Suna Kr Roye.........Pata Nhi Wo Asi Q Thi........
Wo Hmra Pata Pooch Pooch Kr Roye..........Aaj Rat Us Ky Any Ki Umeed Hai.........
Hm Rat Bhar Intzaar Kr Kr Ky Roye.........
Thmari Yadain Ab B Bki Hn Mry Dil Me.............Hm Apny Dil Ko Smjha Smjha Ky Roye..........Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye...........Mere azmane wale mujhe azma ke roye........Koi esa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat......
Main usey suna ke roo’un..........woh mujhe suna ke roye........
Meri aarzuu ki duniya dil-e-nawtwan ki hasrat............Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye...........
Teri bewafaon per......
teri kaj’adaaon per...........Kabhi sar jhuka ke roye..... kabhi moun chupa ke roye.........Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap’beeti........
Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye...........
Tere ishq ki inteha chahta hoon
Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh kya chahta
hoon
Sitam ho k ho vaada-e-behijaabi,
Koi baat sabr-aazmaa chahta hoon,
Ye jannat mubarak rahe
zaahidon ko,
KI main aap ka saamnaa chahta hoon
Koi dam ka mehmaan hoon ae ahal-e-mehfil
Chiragh-e-sehar hoon,bujha chahta hoon
Bhari bazm mein raaz ki baat kahdi
Badaa be-adab hoon, saza chahta hoon...
Mein yun miloon Tujhse
Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon
Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tumko Paon…Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujhse Takraon
Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon…!!!
Bohat din ho gaye shayad
Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne
Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne
Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Kooch Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne
Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne
Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr“Wasi”Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne..!!’
Samny Manzil Thi or Peechay Us ki Awaz
Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
“Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata
"Mekhana Bhi Ussi Ka Tha, Mehkaar Bhi Ussi Ka Tha,
Agar Peeta To Imaan Jata, Na Peeta To Sanam Jaata",
“manzil ki bi hasrat thi or us se muhabat b
“ae dil ye bata mujh ko us waqat kidhr jata
“muddat ka safar b tha or barson ki shanasai
“rukta to bikhar jata chalta to me mar jata.
"Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par,
Chhupata To Jigar Jaata, Sunata To Bikhar Jaata",
"Mere Gham Ki Dawa Na Thhi, Siwaye Yaar Ke Koochay Ke,
Main Jaun To Kidhar Jaun, Main Jata To Kidhar Jata".
"Lagi shiddat se pyaas thi aur pani mein zehar bhi tha,
Peeta to mein mar jata, Na bhi peeta to bhi mar jata".
"Sazaa ehse mili mujhko,Zakham ehse lage dil ko,
Chupata to jigar jata,Dekhata to bikhar jata".
Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Bachpan Ka Zamana Hota Tha,
KhushioN Ka Khazana Hota Tha.
Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.
Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.
Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.
Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.
Pedho Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.
Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.
Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.
Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Na Rishta koi Nibhana Hotas Tha.
Mujh ko Tera Pyar Teri Dosti Achi Lagi
Mujh ko Tera Pyar Teri Dosti Achi Lagi.
Teri Nisbat se sada Ye Zindagi Achi Lagi.
Main ne Apne RAB se phir manga Tujhi ko umar bhar.
Teri Aankhon ki Mujhe Dariya Dili Achi Lagi.
Bhaa gayi Muskan Tere Honton ki Teri KAsAM.
Teri Baton ki Mujhe Sanjeedgi Achi Lagi.
Yoon tu GhazLein Bhi Likhi hAin, GeeT Bhi Main ne magar
Jis Main ho BuS TuM hi TuM,
Wo Shaayiri Achi LaAgi.
Wo meri Qasm leta nahi ilzaam samajh kar
“Wo meri Qasm leta nahi ilzaam samajh kar,
“Aur dey deta hy apni Qasam inaam samaj kar,
Wo janta hy mujy us sy kitni Mohabat hy,
Phir bhi Guftogu karta hy anjaan samajh kar.
Mainy usay apny dil ki dharkan main basaya hai.
Or wo dil main rakhta hai mujy mehman samajh kar.
Agar usay hum sy mohabbat nhe to na sahi.
Magar Q ilzam daita hai gumnam smj kr.
Mainy apni sari khushiyan usky nam kr di
Or wo hamain pyar karta hai ehsaan samajh kar.
Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay
Hum aa k tere sheher se wapas na jayen gay.
Ye faisala kya hai tujhe dekhne k baad.
Kehte hain tujhse log masiha magar yahan.
Ek shakhs mar gaya hai tujhe dekhne k baad.
Sajdah karon k naqsh-e-qadam chumti rahoon.
Ghar Kaba ban gaya hai tujhe dekhne k baad.
Sajdah karon gi tujhko to kafir kahen gay log.
Ye kon sochta hai tujhe dekhne k baad.
Rehti hai khoi khoi si har waqt ab “DUA”
Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne k baad.
Jo meri ankhon se khawab dekho
Jo meri ankhon se khawab dekho To ek bhi shab na so sako ge
Ke Laakh chaho na hans sako ge Hazar chaho na ro sako ge
Ke Khawab kia hain azaab hain yeh Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rafaqaten un ki choot-ti hain Mohabbaten un ki rooth-ti hain
Panapti hain un main wehshaten si Aziyaten un main phoot-ti hain
Inhi ke sar se khizaan hain jazbay Inhi se shaakhen se toot-ti hain
Ghamon ki bandish main khawab mere Dukhon ki barish main khawab mere
Ubal raha hai dukhon ka laawaZameen aatish hain khawab mere
Khayal saaray jhulas gaye hain Sulagti khawahish hain khawab mere
Ukharti saansen hain zindagi ki Lahu ki saazish hain khawab mere
Jo meri ankhon se khawab dekho To ik shab bhi na so sako ge
Duur Se Duur Talak Ek Bhii Darakht Na Thaa
Duur Se Duur Talak Ek Bhii Darakht Na Thaa
Tumhaare Ghar Kaa Safar Is Qadar To Sakht Na Thaa
Itane Masaruuf The Ham Jaane Kii Taiyaarii Men
Khade Them Tum Aur Tumhen Dekhane Kaa Vaqt Ka Thaa
Main Jis Kii Khoj Men Khud Kho Gayaa Thaa Mele Men
Kahiin Vo Meraa Hii Ehasaas To Kambakht Na Thaa
Jo Zulm Sah Ke Bhii Chup Rah Gayaa Na Khaul Uthaa
Vo Aur Kuchh Ho Magar Aadamii Kaa Rakt Na Thaa
Unhiin Faqiiron Ne Itihaas Banaayaa Hai Yahaan
Jin Pe Itihaas Ko Likhane Ke Liye Vaqt Na Thaa
Sharaab Kar Ke Piyaa Us Ne Zahar Jiivan Bhar
Hamaare Shahar Men ‘Neeraj’-Saa Koii Mast Na Thaa
Ek pari hai woh.
Ek pari hai woh.... Kaagaz mein lafzo si... Andheron mein roshan si... Khaamoshi mein aahat si...
Tanhai mein mehfil si... Zakhmon pe marham si... Yaaro... Ek Pari hai woh.. Baarish ki boondon si...Rimjhim malhaar si....
Dhoop mein chaaon si..Badalti ghataaon si....
Mehakti fizaaon si...Rangeen nazaaron si...
Saagar mein leharon si...
Haan.. Ek Pari h woh...Aankhein uski nasheeli si..Baatein uski manhchali si......Dimag se kuch sarphiri si..
Hai woh thodi ziddi si.....Dil se woh duaoon si...
Natkhat adaaon si....Thodi jhalli.. Thodi pagali si...Par fir bhi... Ek Pari hai woh... Meri aankhon ki nami si...
Mere lab pe hasi si... Machalti umango si...
Dhadakti dhadkano si...
Kabhi khwaab toh kbh jaddugari si
Sab se alag si...
Sab se juda si...
Haan... Meri bas Meri Pari hai woh....
Haan.. Meri bas Meri Pari hai woh..! ! !
Dard ko chupate hain hum
Dard ko chupate hain hum,
dard dikhane ki adat nahi
khud ashk pee jate hain hum,
dusron ke ashk bahane ki adat nahi.
Humari dil ki awaz to puhach jati hai un ke dar pe,
per shayad unhe dil tak puhchane ki adat nahi.
Na kisi ki hamdardi na kisi ka pyar chahiye
per yun nafrat main jal janey ki adat nahi.
Ashk to aaj bhi un ki yaad main aate hain
per kisi ke peechay par janey ki adat nahi.
Rona to ab adat si hai humari
per ansoon ke selab main doob janey ki adat nahi.
Kash nafrat hum bhi dhar lete unki tarah
per yun pathar dil ban janey ki adat nahi.
Bhulana to chahte hain hum bhi unhe
per yun kisi ki yaden mitane ki adat nahi
Dard ko chupate hain hum…
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Kitne chup chaap se lagte hai shajar shaam ke baad
Itne chup chaap keh raastey bhi rahein ge La-ilm
Chor jaaen ge kisi roz tera Nagar shaam ke baad
Mein ne aise hi gunaah teri judaai mein kiye hain
Jaise toofan mein koi chor de ghar shaam ke baad
Who shaam se pehle mast apni urhaanon mein tha
Jis ke haath mein thay tootay hoye par shaam ke baad
Too suraj hai tujhe kya maaloom raat ka dukh
Tu kisi roz utar mere ghar shaam ke baad
Main Vo Majnoon Hoon
Main Vo Majnoon Hoon Jo Nikloon Kunj-E-Zindaan Chhod Kar,
Seb-E-Jannat Tak Na Khaaoon Sang-E-Tiflaan Chhod Kar,
Main Hoon Vo Gumnaam Jab Daftar Men Naam Aayaa Meraa,
Rah Gayaa Bas Munshi-E-Kudarat Jagah Vaan Chhod Kar,
Ahl-E-Jauhar Ko Vatan Men Rahne Detaa Gar Falak,
Laal Kyoon Is Rang Se Aataa Badakhshaan Chhod Kar ,
Ghar Se Bhi Vaaqif Nahin Us Ke Ki Jis Ke Vaaste,
Baithe Hain Ghar-Baar Sab Ham Khaanaa-Viraan Chhod Kar,
In Dinon Garche Dakan Men Hai Badi Qadr-E-Sukhan,
Kaun Jaaye "Zauq" Par Dilli Ki Galiyaan Chhod Kar
woh ek barsaat ka din tha
woh ek barsaat ka din tha
koi bheega huwa Sasaath
Bohat masoom sa chehra
ke jiski ankh mein roshan
sitaare kai haazaro te
laga tha lab par ajj uss ke
khudrat ne rang utara te
woh khangan haath mein khanke
woh payal paau mai chanken
barish ki jab sardh boondien
uss ke chehre ko chuthe hai
woh palkon ko mila lena
Khud ko khud main chupa lena
hawa jab taiz chalti hai
usse bhi tang karti thi
usse barish ke lamho ko
mera bhi dil yeh kerta tha
ke barish kaash roz hoti
aur usse mai bas dekhta rehta
Koi hai hamare jaisa shaher main
Koi hai hamare jaisa shaher main
jo utha ke khwab ki kirchiyan
yunhi darbadar se phira kare
na dua kare na dawa kare
na kabhi to us ka pata kare
jo qarar tha dil-e-zar ka
jo nazar nazar ki talab mein tha
Faqat ek khwab jo shab mein tha
jise dhundna tha hujum mein
jo nain tha apne nujuum mein
kisi aasman ka chand tha
jo tha dastaras se kahin pare
usi ek shakhs ke waste
yunhi sheher sheher phira kare
har ek ajnabi ko taka kare
na dua kare na dawa kare
jo utha ke khwab ki kirchiyan
yunhi darbdar sa phira kare
koi hai hamare jaisa sheher main....