Collection Poems Page 3
Na chhedon khilti kaliyon,haste phoolon ko
Na chhedon khilti kaliyon,haste phoolon ko
In udti titliyon,awara bhanwaron ko
Tassalsul toot jayega
Fiza mehway samaat hai
Haseen hathon ko naghma-rez-rehne do
Nigahein nichi rakho aur mujassam gosh ban jao
Agar junish labon ko di
tassalsul toot jayega
Hawa se pattiyan sargoshiyon mein mehave hai
Aur jhumti shaakhon ke jhoolon mein
parindon ki chahek se sara sahil
sarmadi ehsaas mein dhooba hua
sarshar-o-shadaan hai
Agar kankar bhi satah-e-aaab pe mara
tassalsul toot jayega
Ufuq mein dubre suraj ka manzar
Is bulandi se zara dekho
sharaq sona lutayegi
yunhi tum be-hiss-o-saakit raho
aise mein palkein bhi zara jhapkein
tassalsul toot jayega....
Wo khwabeeda hai,khwabeeda hi rehne do
Na jane khwab mein kin waadiyon ki sair karti ho
Bulandi se phisalte aabsharon mein kahin gum ho
Falak-Asaar choti par kahin mehway tarannum ho
agar awaz di tumne
tassalsul too jayega....
Main shayad hoo
Meri fikr-e-rassa,ehsaas ki uss satah par hai
jis mein khushbu rang banti hai
sada ko shakl milti hai
tasavvur bol uthta hai
Khamoshi gungunati hai
Ye wo waqfa hai..... aise main
Agar daad-e-sukhan bhi di
tassalsul toot jayega......
Mohabat Kia Hy?
Mohabat Kia Hy?
MeNe Pucha
Zindagi Se
Jawani Se
Suraj Se
Phulon Se
Kainat Se
Asman Se
Zameen Se
Har ik shay se
Lekin
Koi Tasalli Bakhsh Jawab Na Mila
Phir?
Tareekh Hath Pakar Kr Peechy Le Gai
Boht Peechy
1400 Bars Peechy
Rat Tareek Thi
Tary Bhi So Chuky Thy
Ek Azeem HASTI
Sajde Me Jhuki
Geeli Ankho K Saath
Sawali Ban K
Ek He Lafz Dohra Rahi Thi"
"ya ALLAH meri UMMAT ko bukhsh day"
"ya ALLAH meri UMMAT ko bukhsh day"
"ya ALLAH meri UMMAT ko bukhsh day"
Dil-o-Dimagh Ne Jhanjhor Kr Kaha
Aye Nadan Insan
Ye Hy "MOHABBAT"
Baazuyon mein jaise kheench ke ajaye ga kayenaat
Baazuyon mein jaise kheench ke ajaye ga kayenaat
Apne bache ke liye bahon main phelaati hai MAA
Zindagani ke safar mein garmiyon ki dhoop main
jab koi saya nahin milta tab bohat yaad aati hai MAA
Pyar kehte hai kisse aur maamta kya cheez hai
koi un bachon se puche jinki mar jati hai MAA
safa-e-hasti pe likhti hai asool-e-zindagi
Isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAA
jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar
Quran leke sar pe aajati hai Maa
Leke zamanat mein raza-e-pak ki
peechey peechey sar jhukaye door tak jati hai MAA
kaampti awaz main kehti hai beta alvida
samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAA
jab pareshaani mein paas jate hai hum pardes main
Ansuyon ko pochne khawbon mai chali aati hai MAA
marte dam tak ah-sake na bacha ghar pardes se
Apni sari duayein chokhat pe chor jati hai MAA
baad marne ke bete ki khidmat ke liye
Roop beti ka badal ke ghar mein aajati hai MAA
Main choti si ek bachi
Hum jugnu they,hum titli they,
hum rang barange panchi they,
Kuch mah-o-sal ki janat mein
maa hum dono bhi sanjhi they
Main choti si ek bachi thi
teri ungli tham ke chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansu aansu roti thi
ek Khabon ka roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
jab darti thi main raton ko
tu apne saath sulati thi
Maan tu ne kitne barson tak
iss phool ko seencha haaton se
jeevan kai gehre bhandan ko
main samjhti teri baton se
main tere yaad kai takiya per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti se ek bachi
teri yaad main ab bhi roti hoon
Woh meri subh,meri sham hoti thi
Woh meri subh,meri sham hoti thi
Garmiyon ki dhoop main,woh mera saibhan hoti thi
Mere liye woh sehti thi tahne doosron ki
Mere liye woh har waqt udas hoti thi,
Satati thi mai use ji bhar ke
lekin uss ke labon par phir bhi dua hoti thi
Chali jati ti me jab bhi kahen door
Nazar hamisha uss ki darwaze par hoti thi
Karti nahin thi talaash kahin bhi mein
Uss ke qadmon mein hi meri jant hoti thi
chor jate thi jab bhi log bachpan mein
Uss ke haaton mein hi meri ungli hoti thi
Ratjagon ke azab jo mujhe par utarte the
Uss ki mohabbat hi meri lori hoti thi
Qurban karti thi woh mujh par apna sab kuch
Meri khushi mein hi uss ki khushi hoti thi
Dua yaad ati hai mujh ko wohi maa bar bar
Meri shurwaat jiss ki duaon se hoti thi
Charha howa tha jo darya
Charha howa tha jo darya utar gaya kab ka
Tumahara chaahnay waala tou mar gaya kab ka
Na meri rooh meri hai Na mera jism mera
tere wajoob tou mujh mein utar gaya kab ka
Wo ik shakhs jo sab ko sambhaalay rakhta tha
Tumhain khabar hee nahi hai bikhar gaya kab ka
Tu jis ke waadon ko dil se lagaye baitha hai
Wo apni baat se pyaaray mukar gaya kab ka
"Wasi"Mein ishq mein ro bhi chuka hu mar bhi chuka hun
Huood-e-jism se mein tou guzar gaya kab ka
Mere Dil Ko Behlao Ki Mein Bohot Udaas Hu
Mere Dil Ko Behlao Ki Mein Bohot Udaas Hu Aj Akar Koi Nayi Baat Sunao Mein Bohot Udas Hu Aj
Yaad Ayegi Ab Ispar Teri To Jaan Lewa Hogi Humdam Raat Mere Paas Hi Baitho Ki Bohot Udaas Hu Aaj
Najane Kyu Phir Yeh Tanhai Dasne Lagi Tadpane Lagi Waje Isse Poocho Aur Mujhko Batlao Ki Bohot Udaas Hu Aaj
Mere Dil Ko Aajaab Si Baatein Khayalon Mein Ayi Thi K Chaht K Mausam Mein Tanhai Ki Suagat Meine Payi Thi
Mujhe Kuch Is Tarah Chaho K Yeh Bhuljaun Sirf Mujhe Dekho Mujhse Baat Karo K Bohot Udaas Hu Aaj
Waqt Bewaqt Hume Satate Ho Aap Hum Maana Kiya Karte Hai Par Ab Kuch Khoob Chaht Jatao K Bohot Udaas Hu Aaj
Meri Tareef Karotaare Tod K Lao K Bohot Udaas Hu Aaj Sajdo Mein Duao Mein Hume Mango K Bohot Udaas Hu Aaj
Suna Hai Prem Nagar Main Khushiyan Hi Khushiyan Hain Mujhe Yaqeen Dilao Ki Bohat Udas Hu Aaj yari
Wafa k zikr mein ghalib
Wafa k zikr mein ghalib mujhe gumaan hua
wo dard ishq wafaon ko kho chuka hoga
jo mere saath mohabbat mein had-e junoon tak tha
wo khud ko waqt k paani se dho chuka hoga
Meri awaaz ko jo saaz kaha karta tha
meri aahon ko yaad kar k so chuka hoga
wo mera pyaar,talab or mera chain-o-qarar
jafa ki hadd mein zamanay ka ho chuka hoga
Tum uski raah na dekho wo ghair tha saaqi
bhula do usko wo ghairon ka ho chuka hoga
Aao Khwabon Se Mulakat Karein
Ek Muddat Se Zamane Mein Bhatakte Hue Hum,
Khud Se Gar Mil Hi Gaye Hai To Koi Baat Karein,
Aao Khwaabon Se Mulakat Karte Hai...
Aao Sapno Se Sune Apni Kahani Dilki,
Apna Izhaar Karein Inki Zubani Dilki,
Khudse Izhaar Jo Karna Hai To Yun Karte Hai,
Dil Mein In Jalte Charagon Ke Isharaat Karte Hai,
Aao Khwabon Se Mulakat Karein,
Khud Mein Doobe Hue Logon ke Ishare To Karein,
Aa Hi Jayenge Chalo Inko Pukara To Karein,
Dil Me Lehrate Hue Zakhmo Ka Chara To Karein,
Din Guzrein Kisi Khushbu Mein,
Kisi Roshni Ki Rimjhim Me Kahin Raat To Karein...
,Husn Aur Aman Ke Liye Mare Saare Logon
Ek Nayi Duniya, Naye Din Ki Shuruat Karein,
Aao Khwabon Se Mulakat Karein,
Aao Khwabon Se Mulakat Karein...
Aao Khwabon Se Mulakat Karein
Kisi Se Baat Karna,Bolna Achcha Nahi Lagta,
Tujhe Dekha Hai Jabse,Doosra Achcha Nahi Lagta,
Teri Aankhon Mein Jabse Maine Apna Aks Dekha Hai,
Mere Chahre Ko Koi Aaina Achcha Nahi Lagta,
Tere Baare Mein Din Bhar Sochti Rehta Hoon Main Lekin,
Tere Baare Mein Sabse Poochna Achcha Nahi Lagta,
Yaha Mohabbat Karne Wale Barbaad Rehte Hai,
Yeh Darya Hai Isse Kachcha Ghada Achcha Nahi Lagta,
MAIN Ab Chahat Ki Us Manzil Par Aa Punhchi Hoon,
Tere Alawa Kisika Dekhna Achcha Nahi Lagta…!!!
Kisi Se Baat Karna,Bolna Achcha Nahi Lagta,
cigrette jalaaye betha hoon,chand pal sajaye betha hoon,
Dhuyen se is ke humdum,teri suurat banaya hoon,
yeh jaanta to hoon main ke hai aadat bohat buri yeh,
pr aadatan hi to main duniya bhulaaye betha hoon,
Nafrat thi na tumhe bhi,cigrette ke iss dhuyen se,
Dekho ke baad mudaat nafrat jagaaye betha hoon,
Ik woh bhi waqt tha ke dil jalata tha iss dhhuyan se,
Aaj khud hi apne haath se dil ko jaalaye betha hoon,
keh de koi to jaa ke mere hamnasheen ko maani,
Aa ke sambhaale mujh ko,main zindagi bhulaye betha hoon
cigrette jalaaye betha hoon
Woh pathar dil sahe
Woh pathar dil sahe hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha...
meri rooh mein jo utar sakay
meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain
mujhe chahiye
jo sarab ho'n naa azaab ho'n woh rafaqtain
mujhe chahiye
unhain sama-ato'n ki talaash hain jo
calendaro'n sey utar gayain
jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain
mujhe chahiye
kahin mil sakai'n to samait laa, meray roz o
shab ki kahaniya'n
jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi
hakaaytai;n mujhe cahiye
jo meri shabo'n k chirag thay jo meri umeed k
baagh thay
wohi loug hain meri aarzoo. wohi sooratai'n
mujhe chahiye
teri qurbatai'n nahin chahiye meri shayri k
mizaaj ko
mujhe faasilo'n sey dawam dein teri
qurbatai'n mujhe chahiye
mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai'n hain
meri saibaa'n
karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi
chhtayai'n mujhe chahiye....!!!!
Udaas logon se pyaar karna koi toh sekhe.
Safed lamhon main rang bharna koi toh sekhe
Koi toh aey khizaan main pate ugane wala.
Guloon ki khushbo ko kaid karna koi toh sekhe
Koi dekhaey mohabbton ke cherag mujh ko
Meri nigahon se baat karna koi toh sekhe
Koi toh aey nai ruton ka pagaam le kar
Andheri ratoon main chand banna koi toh sekhe
Udaas logon se pyaar karna koi toh sekhe.
Humen Tum bhool Jaoge,
Humen Maloom Hai lekin..
Palat kr Jb b Aaoge
Mohabbat Muntazir Hogi..
kbi bhulay sy hi Mjhko,
Agr Tum Yaad kr betho..
Mri Tasbeeh,Tilawat Aur,
Ibaadat Muntazir Hogi..
Falak k Paar Ja utro,
Samandar Paar Ja thro..
kisi k Dsht-e-Chahat ki,
Imamat Muntazir Hogi..
Humari Aarzu Jo Hai,
Tumhari Dastras Mein Hai..
Milo Na Tum Milo lekin,
Mohabat Muntazir Hogi..!!
Humen Tum bhool Jaoge
Mujhe ab darr nahin lagta.......kisi ke door jane se........Taluq toot jane se.....Kisi ke maan jaane se......Kisi ke rooth jaane se......Mujhe ab darr nahin lagta........
Kisi ko aazmane se......kisi ke aazmane se
kisi ko yaad rakne se.....mujhe ab darr nahin lagta........
Kisi ko chorr dene se.......kisi ke chorr jaane se
shamma ko jalaane se......shamma ko bhujaane se......mujhe ab darr nahin lagta......
akele muskuraane se.......kabhi ansuu bahaane se........na iss saare zamaane se.....haqeeqat se fasaane se......mujhe ab darr nahin lagta......
Kisi ki naa-rsaai se.......kisi ki paa-rsaayi se....
kisi ki bewafaayi se.....kisi dukh intehaayi se...
mujhe ab darr nahin lagta.....
Na to iss paar rehne se......na to uss paar rehne se.....Na apni zindagaani se.....na ik din maut aane se.....mujhe ab darr nahin lagta.......
Mujhe ab darr nahin lagta
Mosam e Hijar K Lamhaat Koi Kia Jaane
Mosam e Hijar K Lamhaat Koi Kia Jaane
Kia Guzarti Hai Mere Saath Koi Kia Jaane
Dooriyon Main B Us K Sath Marasim Hain Wohi
Roz Hoti Hai Mulaqat Koi Kia Jaane
Log Hansti Hui AanKhon Pe Yaqeen Rakhte Hain
Mere Aansu Mere Jazbaat Koi Kia Jaane
Ek Aap Ho K Jise Maloom Hain Saari Baatain ~tanha~
Shab é Hijraan Meri Haalat Koi Kia Jaane
Koi Kia Jaane K Ye Khamoshiaan Kia Kehti Hain
Meri AanKhon K Sawalat Koi Kia Jane
Haan Pyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai
Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai
Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai
Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai
Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai
Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti
Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai
Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka
Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai
Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadaat Ki Hai
Udaasioon ka sabab jo likhna
Udaasioon ka sabab jo likhna To ye bhi likhna
kay chand taaray Shahaab ankhien badal gaye hain
Wo zinda lamhay jo teri raahon mein
Tere anay kay muntazir thay
Wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
Wo teri yaadien khayal tere
Wo ranj tere milaal tere
Wo teri ankhein sawal tere
Wo tum say mere tamaam Rishtay bichar gaye hain ujarh gaye hian
Udaasioon ka sabab jo likna to ye bhi likhna
Leraztay hoonton pe larhkharhti
Dua kay soraj Peghal gaye hain
Tamaam sapnay he jal gaye hain
Choota Jo Tera Hath To Hum Toot Ke Roye
Choota Jo Tera Hath To Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Sath To Hum Toot Ke Roye
Chahat Ki Tamanna Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat To Hum Toot Ke Roye
Imkaan Na Tha Door Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat To Hum Toot Ke Roye
Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Huyi Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye
Jeeti Thi Sada Hum Ne Her Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye
Logon Ne Bahut Poocha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye
Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye
Zad Mein Tha Khizao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat To Hum Toot Ke Roye
Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye
Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye
Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye
Lage na kiyun khud se mujhko pyaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Lage na kiyun khud se mujhko pyaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Meri musaafat ka ista'aara, kabhi samandar kabhi sitaara
Teri meri qurbaton ka mausam bikhar k simtte simatt k bikhre
Isi liye aankh mein utaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Naya naya ishq karne waalo! hameeN se is ka zeyaaN bhi poocho
Bisaat-e-hasti pe ham ne haara, kabhi samandar kabhi sitaara
Tere liye jaagne ko mehkein kabhi gulistaaN kabhi charaaghaaN
Mere liye khwab ka ishaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Wo kehkashaaN-zaad o sail-e-nikhat hamaare hamraah chal parra tha
Kahan tha varna hamein gavaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Mere bhattakne pe jaan-e-Mohsin ye tanz kaisa k is jahaaN mein
Huey hain be-simt o be-kinaara, kabhi samandar kabhi sitaara
Wo Ek Nazuk Si Ladki
Wo Ek Nazuk Si Ladki,
Baraf Ke Gale Se Nazuk Tar,
Hawa Mein Jhulti Sakoon Ki Khushbu,
Uska Lehja Tha,
Chamakte Paniyon Jaisi Subakru,
Uski Baatein Thi,
Wo Udti Titliyon Ke Rang Pehne,
Jab Mujhe Takti,
To Aankhein Meech Leti,
Magar Ab Wo Nahi Hai,
Baraf Ke Gale Bhi Gayab Hai,
Hawa Mein Jhulti Shakhon Mein,
Lehja Hai Na Khushbu Hai,
Chamakte Paniyon Par Tairte Hai,
Khadkhadate Zard Ru Patte,
Wo Udti Titliyan Jinke Paron Par,
Uski Rangat Thi,
Khuda Jaane Kahan Kis Haal Mein Hai,
Main Har Ujde Mausam Mein,
Usko Yaad Karta Hoon,
To Aankhein Meech Leta Hoon...
Chupa deta main kisi taaq mein
Chupa deta main kisi taaq mein......kisi khaana-e-daraz mein'
ya lapaitt ker oaraaq mein.......milla deta kisi khaak mein;
jo hota ayaa'n to na kholta! ke ye meri kitaab-e-zindagi
ba'unwaan-e-haasil-e-dil'lagi.....anjaam-e-aashiqi warq warq
liye muntazir hai dard-o-karb'......jo hota gumaa'n to ye sochta!
ke mere bakht-e-sitam saaz ne.....jo kiya tha darjj naseeb mein
sab raqm jis kitaab mein.....kiyo'n laggi wohi , mere haath
mein!!
per dard-o-ghum ki ghaat ka.......mujhe ilm tha na aagahi
so ik ada-e-saadgi
se mein ne kitaab-e-zeest ko....khush khayal lamho'n mein
waqt waqt rok rok khola....pehlay safhay pe khush rung-o-
khush'numa andaz se.......ik "lafz-e-roshan" tha likha;
ye lafz shanasa tha wohi
jo rawaa'n tha her her ragg mein hi......jissay harf harf sar-e-loh-e-jaa'n.....parha tha dil-e-zaar ne
ussi lafz-e-saya dar ne'......kuch maani diye giraftt mein
phir rakha ta'umer hisaar mein!.....ussi lafz-e-kull ki qeemate'n;
(wohi lafz yani "mohabbate'n")
na kisi aadaad-o-shumaar mein.....palta jo warq aur ik ....
to darjj thi wohi qeemate'n.....jin qeemato'n ki madd mein hi
mere roz-o-shab sab qaid thay;
baqi oaraaq kitaab ke.....ya siyaah thay.. ya sufaid thay!!
main kaatib-e-taqdeer ke.....insaaf pe hairaan tha'
meri aankh ashkbar thi.. mera jism
be'jaan tha'
ussi aalim-e-hairangi-o-aalim-e-pur'soz mein
junhi kitaab band ki;
to ik lafz aur darjj tha.......ye "lafz-e-siyaah" to azal se
zehan-o-dil pe naqsh tha' meri hayyat to goya
2 lafzo'n ka qarz tha' wo jo eik sar-e-pushtt tha.. wo jo
eik sar-e-warq tha! mujh per naseeb-e-zeest ka
andha sa her ik faisla abb misl-e-roz-e-awal-o-aakhir
aashkar tha' main naqsh'ba'deewar tha;;
so 2 lafzo'n pe mushtamil korii kitaab-e-zeest ko
sar-e-taaq chup se rakh diya!
ke shaam ke anjaam se sehar ke aaghaz tak
zeest se ajal ki aakhri aawaz tak'''' darooney-o-bairoonay zaat
door tak pheli huyee... ayaa'n thi'n mujh pe abb sabhi
bakhtt ki siyahiyaa'n;
sar-e-warq sabtt "mohabbate'n" sar-e-pushtt likha tha
"judaiyaa'n!!"
mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin Aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho
vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon ki kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho
mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat mein main rahi, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho
mere saath tum bhi dua karo
Chalo wapas palat jayein
Chalo wapas palat jayein
is la-hasil mohabbat se kia faida
jo na ho paaye gi mukammal
jis ki takmeel nahin koi
kya zaroori hai raah mein hum tum
unhi kharreyrahen aur moorr moorr ke
beetey paloon ko dekhein
aur beetey dinoon ki yaadein tarashein
kya faida is la-haasil mohabbat ka
jo na tum ko sakoon deti hai
na mujhe ko sakoon dete hai
na tum chain se rehte ho
na hum ko chain milta hai
kya faida is la-hasil mohabbat ka
chalo ab palat jayein apne apne thikano ko
kay is la-hasil mohabbat ka faida kya hai
Bahut Royi Thi Mein Tanha Uss Raat
Bohat Royi Thi Mein Tanha Uss Raat,Tere Haathon Se Jab
Choote The Mere Haath,Yaad Kiye Wo Pal Jo Bitaye The Tere
Saath,Bahut Royi Thi Mein Tanha Uss Raat,Jane Kyun Bahut
Kossa Khud Ko Uss Raat,Khafa Tujhse Nahi Khud Se Thi Mein
Uss Raat Bahut Royi Thi Tanha Mein Uss Raat,Kya Tujhe
Bewafai Karte Hue Ek Baar Nahi Aayi Meri Yaad,Kaise Tu
Badal Gaya Tera Dil Kaise Badal Gaye The Halat,Bahut Royi
Thi Tanha Mein Uss Raat, Chah Kar Bhi Tujhe Bewafa Keh Nahi
Sakti,Kuch To Wafa Nibhata Mere Wafa Ke Saath,Bahut Royi
Thi Tanha Mein Uss Raat,Pal Pal Nihara Teri Tasveer Ko
Jaise Wo Bhi Hass Rahi Thi Meri Kismat Pe Uss Raat,Sab
Sapne Mere Toot Gaye Kaanch Ki Tarah Uss Raat,Bahut Royi
Thi Tanha Mein Uss Raat,Jaise Mera Dil Kar Raha Tha
Tere Beraham Dil Se Fariyad,Ki Bass Kar Aab Aur Na Dard De
Mujhe Ki Intaha Ho Gayi Hai Aaj Raat,Bahut Royi Thi Tanha
Mein Uss Raat
Yun hi be sabab na phira karo
Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
Woh ghazal ki sacchi kitab hai use chupke chupke pada karo
Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se
Yeh naye mizaj ka shehr hai zara fasle se mila karo
Abhi raah me in kai mod he in koi ayega koi jayega
Tumhe jisne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo
Mujhe ishtihar si lagti hein ye mohabbaton ki kahaniyan
10 kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo
Kabhi husne parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein
10 mein ban sanvar ke kahin chalun mire sath tum bhi chala karo
Nahin be hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo
Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hain
Ye tumhare ghar ki bahaar hai ise aasuon se hara karo
faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
Woh k khushboo ki tara phailaa tha mere chaar suu
Main use mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha
raat bhar us ki hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha galee mein koi bhi aaya na tha
aks to maujood tha par aks tanhaai k thay
aaina to tha magar us mein tera chehra na tha
aaj us ne dard bhi apne alaiheda kar diye
aaj main riya to mere saath wo roya na tha
ye sabhi weeraniyan us ke judaa hone se thin
aank dhundlaayi hui thi shahar dhundalaya na tha
yaad kar k aur bhi takleef hoti thi "Dua"
bhool jaane k siwa ab koi chaara na tha
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay
Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay
Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay
Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay
Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash?heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay
Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay
Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay
Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay
Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay
Dua Dua woh chehra
Dua Dua woh chehra
haya haya woh aankhaiN.....saba saba woh zulfaiN.....chaley lahoo gardish maiN......rahey aankh maiN dil maiN.....
basey mere KhuwabooN maiN.....jaley akailey_pun maiN.....miley her ik mehfil maiN....kabhi kisi chilman ke peechey
kabhi kisi daraKht ke neechey....kabhi woh haath pakartey.....kabhi hava se dartey
kabhi woh baaish andar....kabhi woh mauj samandar....kabhi woh suraj Dhaltey
kabhi woh chaand nikaltey.....kabhi Khayal ki rau maiN.....kabhi chiragh ki lau maiN......
kabhi baal sukhaey aangan maiN....kabhi maang nikaley darpun maiN...kabhi jaley pavan ke paaon maiN...kabhi hansey dhoop maiN chahoon maiN.....kabhi pagal pagal nainooN maiN...kabhi chaagal chaagal seenooN main....kabhi pholoon phool woh thalee maiN...kabhi diyooN bharee divali maiN...kabhi saja hoa aainey maiN...kabhi dua bana voh zeenooN maiN
kabhi apney app se jangooN maiN
kabhi jeevan mauj tarangooN maiN
kabhi naghma_noor fizaooN main
kabhi maula hazoor duaooN maiN
kabhi rukey hoey kisi lamhey maiN
kabhi dukhey hoey kisi chehrey maiN
wohi chehra bolti rehti hooN.....
wohi aankhaiN soochti rehti hooN....
wohi zulfaiN dekhti rehti hooN...
dua dua woh chehra....haya haya woh aankhaiN...saba saba woh zulfai