Collection poem page 6
Main nahi hun apne wajood me
mujhe jane kisne chura liya
Mere saath rehta hai ek shakhs
Koi jadoo usne chala diya
Meri rooh me wo samaa gaya
mujhe ishq karna sikha diya
Meri zindagi wo ban gaya mujhe
jeena usne sikha diya
Main to khud se bhi thi na
aashna mujhe mujhse usne mila
diya
Meri zindagi ko badal diya mujhe
khush naseeb bana diya
Main nahi hun apne wajood me
Wohi Galiya’n, Wohi Kooche Wohi Sardi ka Mausam Hy
Isi Andaaz Se Apna Nizaam-e- Zeest Barham Hy
Ye Husn-e-Ittefaq Aisa k Nikhri Chaandni Bhi Hy
Wohii Har Simt Weerani, Udaasi Tishnagi Si Hy
Wohi Hy Bheer Socho’n Ki, Wohi Tanhaiya’n Phir Se
Musafir Ajnabi Aur Dasht ki Pinhaiya’n Phir Se
Wo Jis k Hony Se Zindagi Naghma Siraai Hy
Usay Kehna k Bheegi SARDIYA’N Phir Laut Aai Hyn … !!!
Wohi Galiya’n, Wohi Kooche Wohi Sardi ka Mausam Hy
Bahar Rut me pahar Raatein
Takka Kro gy To Ro Pro gy
Kisi se Milney Ko Jb B Duaa
Saja karo gey To Roh paro ge
Tumhary Wadon ne Yar Mujh Ko
Tabaah Kiya hay Kuch is Trah se
Ke Zindgi mein Jo phir Kisi se
Dagha Karo ge to Roh Paro ge
Main Janti Hun Meri Mohabbat
Ujaarr De gi tumhe B aisy
Ke Chand Raton me Ab Kisi se
Mila Karo ge To Roh paro ge
Barasti Barish me Yad Rakhna
Tumhein Staayen gi meri Ankhein
Kisi Walli ke Mazaar par tum
Dua kro gy to Ro pro gy..!
Bahar Rut me pahar Raatein
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine...
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine
Bohut totey howey hain hum
Abhi Dastuk nahi dena!
Abhi Ankh hay Purnam
Abhi Dastuk nahi Dena!
Mere Dost Abhi kuch Din
mere Ahwal Mat Pocho!
abHi Dil maiN hain kaYe Ghum
Abhi Dastak Nahi deNa!
Shab-e-Tanhai main Tarapna
hAy buhat mujhkO
Abhi hay Dard kuch madham
abhi Dastak nahi Dena
Bohut totey howey hain hum
Batao kaisa lagta hai,
Batao kaisa lagta hai,
Kisi ko paa k kho dena,
Kisi k sath to chalna magar uska na ho pana,
Khudhi ko koste rehna magar usko na kuch kehna,
Khudhi hi sambhalna,
Hansna or ro dena,
Batao kaisa lagta hai,
Khizaan ki sakht sardi main,
Hijar ki lambi raaton me kisi ki yaad me rona,
Batao kaisa lagta hai,
Kisi ko sochte sochte apni ankhen bnd karna,
Or andheron me chale jana,
Batao kaisa lagta hai,
Naye rishton me rang jana,
Magar
Kisi ko bhool na pana,
Batao kaisa lagta hai,
Batao kaisa lagta hai
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain…
Haath Par Un Ke Titli Beth Gai
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain…
Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain…
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain
Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain…
Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain…
Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain
Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain
Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain…
Dosra Moqa ‘Qais’ Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain…
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Mere Likhe Mein Jin Logo ko.........Maayusi Dikhayi De,
Thakan Ka, Aarzuon Ki Shikasta Paayi Ka Ehsaas Hota Ho,
Safar Ki Raayegaana ka,FiraaQ-E-Zindagi Ka,
Vufoor-E-Dard-O-Gam Ka,Aansuon Ko AQs Milta Ho,Jinhe Lagta Ho
Main Iske Siwa Kuch Likh Nahi Sakti,Unhe Bas Itna Kehna Hai,
Ye Maayusi, Thakan,
Ye Aaruzon Ki Shikasta-Pa Safar Ki Raayegani Ka,
FiraaQ-E-Zindagani, Dard-O-Gam Aur Aansuon Ki Be-Karaani Ka,
Jhalakta Aks Be-Maani,
Nahi Qaayam Kahin Par Bhi Wajood Iska,
Agar Kuch Hai To Bas Padhti Hui Aankhon Ke Pichhe Hai,
Inhi Padhti Hui Aankhon Ke Zehn-O-Dil Ke Neeche Hai,
Kayi Pardon Mein Posheeda,
Wohi Gard-E-Safar, Dard-O-Alam, FurQat, Thakan, Aansu,
Nazar Jinse Milate Inko Shayad Laaj Aati Hai,
Ye Sab Haare Hue Hai,
Lekin Apni Haar Ka Ailaan Karne Mein,
Jhijhakte Hai,
Reya Ki Bediyon Mein Apni Marzi Se MuQayyad Hai,
Mere Likhe Hue Mein Daastanein Dhoondne Wale,
Ye Khud Se Jhooth Keh Kar Chal Ke Sehra Mein Bhatakte Hai,
Samajhte Hai Jise MERA,
Mere Likhe Hue Lafzon Mein Apna AQs Takte Hai,
Mera Kya Hai,
Mera To Kaam Hai Alfaz Ki Baazigari Karna,
Kaho, Itna To Aakhir Maante Ho Na,
Main Shayar Hoon...
Mere Likhe Mein Jin Logon ko
Yeh Mera Tujh Se.. WaDa Hai....
K Jab Tak Is Jahan Main...
Aik B.. Zi ROh BaQi Hai..
WOh Jab Tak Sans Leta Hai..
WOh Jab Tak.. Souch SaQta Hai..
Aur Jab Tak...
Har Khushi Aur Fiker Ko...Meh$ooS Karta Hai...
Yeh Mera.. Tuj Se.. Wada Hai...
K Jab Tak Guli$tan Main...
Akhri Phool Khilta Hai...
Rahy Ga Shakh Per Jab Tak...
Zameen Se Aasmaano Tak...
FalaQ K Akhri Taare Ko...
Jab Tak JaGmaGana Hai...
K Jab Tak Lehlahaty...Kheeton Ko..
ZinDagi K Kaam Ana Hai....
K Jab Tak Haath Is QaBiL Hain..
K Uthain.. Duwaaon Ko...
K JaB Tak Akhri BaDaL
Dharti Pe.. Bharsna Hai...
K Jab Tak.. Is Zameen Per...
Zehar Ka TarYaaQ MuMkiN Hai..
Yeh Mera.. Tujse.. Wada Hai...
K Jab Tak Jism Hai..
Aur Jism Main.. Yeh Jaan Baki Hai...
K Jab Tak Is Zameen Per...
Aik B.. InSan BaKi Hai...
Hazaron..Meel Lamby Fasly B Beech Main..Ayein...
Tu Meri Justajo In Se.. B Kam Nahi HoGi...
MoHaBBaT KaM NaHi HoGi..
~.*.MoHaBBaT KaM NaHi HoGi
Yeh Mera Tujh Se.. WaDa Hai....
Mein takiye per sitaray bo rehin hoon
Kaas din hai, Akela ro rehin hoon
Kisi ne jhank kar dekha na dil mein
K mein ander se kaisa ho reha hoon
Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay
Unhein ab aansuo’n se dho reha hoon
Sabhi parchaai’an hain saath lekin
Bhari mehfil mein tanha ho reha hoon
Mujhy in nisbaton se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ki jo rehin hoon
Mein chonk uthti hoon aksar baithay baithay
K jaisay jagtay mein so rehi hoon
Kisay paanay ki khuwahish hai ke
Mein rafta rafta khud ko kho rehi hoony
Mein takiye per sitaray bo rehin hoon
Ye barishain bhi tum si hain
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahaar hain,
Jo thehar gayi tou qaraar hain,
Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,
Ye barishain bhi tum si hain,
Raat ko ik dabi hui si raakh ko,
Kabhi yun hua ke bujha dia,
Kabhi khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain,
Ye barishain bhi tum si hain..
Kabhi Shokh Hein..
Kabhi Gum Si Hein..
Ye Baarishen Bhi..
Tum Si Hein.
Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi
Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Zamana is k aagay aahni dewar ban jaye
Aur us ki haath ik talwaar ban jaye
Muhabbat dar nahi sakti Daranay se
Nahi mitti mitanay se
Muhabbat ki banti nahi zamanay se
Ye apni jaan de kar bhi kabhi bedam nahi hoti
Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Kabhi ye heer ka joban kabhi ranjhay ki wanjili hai
Kabhi khaaro’n bhara rasta, Kabhi ye phool jangli hai
Kabhi sheeree’n ki betabi, kabhi farhaad ka taisha
ye kuch kuch shehed jesi hai, maza hai is mein sam jaisa
Junoo’n hai qais ka, laila ki ye waraftagi hai
Khudi ka bhaid hai is mein
Muhabbat be-khudi bhi hai
Muhabbat hai khuda jesi, khudaai is mein shaamil hai
Sitara mat kaho is ko, muhabbat maah-e-kaamil hai
Aur is ki lou kabhi madham nahi hoti.
Koi jitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Muhabbat rait jesi hai. . !
kisi bhi band muthi mein
magar ye bhi haqeeqat hai.
Achanak be-khayali mein
Bina sochay Bina samjhay
Yunhi bus be-irada hi
Ye muthi khul bhi jati hai. .
Muhabbat rait jesi hai. .
Dhanak Nichorr K Khursheed Mein Mila Di Hai
Barhana Dhoop Ko Youn Ik Nayi Qaba Di Hai
Wo Khush Faraib Meri Umar Roz Chaat'ta Hai
Usi Ne Aatish-e-Pinhaan Ko Phir Hawa Di Hai
Bus Ik Khuwaab Liye Darbadar Phira Barson
Bus Aik Khuwaab K Nashey Mein Sab Bita Di Hai
Wo Jis Se Jaib-o-Garaibaan Ki Sari Ronaq Thi
Wo Raigaari Kaheen Raah Mein Ganwadi Hai
Koi Safar Hai Na Rasta Na Koi Manzil Hai
Faseel Kis Ne Merey Gird Ye Utha Di Hai
Jo Merey Haath Na Aaya Kabhi, Usi K Liye
Daron-e-Shehr-e-Hawa Zindagi Bana Di Hai
Ye Koi Raat Nahi Hai Na Ye Andhera Hai
Bus Aik Chaadar-e-Gham Dasht Mein Bicha Di Hai
Hamarey Saamne Mehboob Zindagi Kab Thi
Tera Khayaal Tha Jis Ko Faqat Sada Di Hai
Dhanak Nichorr K Khursheed Mein Mila Di Hai
Tujhy ab kis liye shikwa hy k 'Bachy ghar nhe rehty,
Jo patty zard ho jaen wo peiRoon pr nhe rehty.
Tu kyun be-dakhal karta hy Makano se Makeeno ko,
Wo dehshat gard ban jaty hen jin k ghar nahi rehty.
Jhuka dy ga teri gardan ko ye kheraat ka pathar,
Jahan main mangny walon k ounchy sar nahi rehty...
Yaqenan ye r'aaya BADSHAH ko qatal kar dy gi,
Muslsal jabar se Mohsin dilon mein dar nhi rehty.
Tujhy ab kis liye shikwa hy k 'Bachy ghar nhe rehty
wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
kali kali main Khizan k chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham aurat to ache the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the
'Duaa' jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the
wo koi aur na tha chand Khushk patte the
Jab tera hukam mila, tark-e-muhabat kar di
Dil magar es pe wo dharka k qayamat kar di
Tujh se kis tarha mein izhar-e-tamana kartI
Lafz soojha to maani ne baghawat kar di
Mein to samjhI thI k loat atay hain jaane wale
Tu ne to ja k judai meri qismat kar di
Mujh ko dushman k iradon pe bhi pyar ata hai
Teri ulfat ne muhabat meri adat kar di
Pooch beithI hon mein tuj se tere koochay ka pata
Tere haalat ne kaisi teri sorat kar di
Kya tera jism, tere husan ki hiddat mein jala
Raakh kis ne teri sonay ki si rangat kar di
Jab tera hukam mila, tark-e-muhabat kar di
Itna Sa Yaad Rakh Mujhey..................Jaisey Kisi Kitab Mein.............
Beetay Dino K Dost Ka...........Ek Khat Para Milay...................
Lafz Mity Mity Se Hon..............Rang Ura Ura Sa Ho......
Lekin Ajnabi Na Ho.............Bholey Huway Tamam Dukh,
Guzray Huway Tamam Sukh..........Beety Dino Ka Sab Kuch......
Tujh Sey Kahey Or Ro Pary......Bas Itna Sa Yaad Rakh Mujhe,
Ke Jab Kabhi Baat-Be-Baat.......Yaad Humari Aa Jae.....
Tu Thora Sa Muskura Lena.......Aur Dil Ko Ye Samjha Lena....
Nadan Sa Tha Par Acha Tha.......Ik Dost Humara Sacha Tha..
Itna Sa Yaad Rakh Mujhey,
Jaisey Kisi Kitab Mein
Hasrat hai tujhe saamne baiThe kabhi dekhuN
hasrat hai tujhe saamne baiThe kabhi dekhuN
main tujh se muKhaatib huN tera haal bhi pochhon
dil men hai mulaaqaat ki Khuwahish ki dabi aag
mehndii lage haathon ko chupaa kar kahaN rakhun
jis naam se tune mujhe bachpan se pukaaraa
ik umr guzarne pe bhi wo naam na bhuluN
tu ashk hi ban ke meri aaNkhon men samaa jaa
main aainaa dekhuN to tera aks bhi dekhuN
pochhuN kabhi Gunchon se sitaaron se hawaa se
tujh se hi magar aa ke tera naam na pochhu
Ayy meri tamannaa ke sitaare tu kahaN hai
tu aaye to ye jism shab-e-Gam ko na saunpuN
Hasrat hai tujhe saamne baiThe kabhi dekhun
Chalo ek aur duniya me
tumhare sath chalte hai
​
jaha halat kuch b ho
magar hum sath rehte ho
​
Jaha mosam koi b ho
judaai ka na ho lekin
​
jaha chaand b tum ho
jaha suraj, hawa, roshni
khushbu ka rang tum se ho
jaha par dil dharkne ka
har ek ehsas tum se ho
jaha par mere jeene ki
sari aas tum se ho
chalo ek aur duniya me
tumhare sath chalte hai.
Chalo ek aur duniya me
tumhare sath chalte hai
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho
Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho
Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho
Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho
Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho
Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Usay Ye Kon Samjhaye Duaa
Wo Dasht-e-Khamoshi Mein
Ungliyo?n Mein Seepiyan Pehne
Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei?n
Bohat Chup Chaap Sunta Hy
Bohat Khamosh Rehta Hy
Usay Kon Ye Samjhaye
Khushi k Ek Aansuu Se
Samandar Bhar Bhi Jaty Hain
Bohat Khamosh Rehny Se
Taaluq Marr Bhi Jaty Hain
Usay Ye Kon Samjhaye Duaa
Kuch apny boht yad ayen gay Eid k din
Hum ansoo bhi bahaien gay Eid k din
Saja kar dil mein un ki tasveer
Apne ap se sharmaien gay Eid k din
Shayed ho us ki aamad is bahane
Hum ghar apna sajaen gay Eid k din
Shayed day aye paighaam hamara us ko
Hum hawa ko aazmaen gay Eid k din
Tm b mere pas na hogay Eid k din
To kese eid mana payen gay Eid k din.....!!
Kuch apny boht yad ayen gay Eid k din
Suno Jaanan
Judai Mout Hoti Hai
Khabi Fursat Mile To Dekhna patton Ka Girna Tum
ke jab Ye Shajar Se Gir K Zameen Per Aan Parrte Hain To Kese Raunde Jaate Hain Thuthrati Raat K Khamosh Lamhon Main
Kisi Be-Bas Akeli Ba-Wafa Khamosh Larrki Ki Kabhi Tum Siskiyan Sunna Kabhi Qitaar Se Bichrri Hoi Koonjon K Noohe Per Nigah Karna K Kese Aik Dooje Ki Judai Per Tarrap Ker Bain Kerte Hain,Kabhi Rukhsat K Lamhon Main Kisi Ki Aankh Se Larkharte Howe Aansoo Ko Dekho Gi,To Shayad Jaan Jao Gi,Judai Mout Hoti Hai....
Abhi Tum Ne Mohabbat K Baraste Bheegte Mousam Nahi Dekhe...
Abhi Tum Titlion K Rang Muthhi Main Chupati Ho...
Abi Tum Muskarati Ho....
Suno Jaanan,Kabhi Jo Zindagi Ne Ajnabi Weeran Raahon Per,Tumhari Ye Hansi Chheeni,To Phir Aansoo Bahao Ge,
Tum Itna Jaan Jao Ge
Judai Mout Hoti Hai
Suno Jaanan
Judai Mout Hoti Hai
Rukhsat hua to ankh milaa kar nahin geya,
Woh kyun geya hai yeh bhi bata kar nahin geya,Woh yuun geya ke baad-e-sabaa yaad aa gayi,Ehsas tak bhi hum ko dilaa kar nahin geya,
Yuun lag raha hai jese ke abhi laut aaye ga,Jaate huye chiraagh bhuja kar nahin geya,
Bas ik lakeer kheench geya darmeyan main,Deewar raste main banaa kar nahin geya,
Shayed woh mil hi jaye magar justuju hai shart,Woh apne naqsh-e-paa to mittaa kar nahin geya,
Ghar main hai aj tak wohi khushbuu bassi hui,Lagta hai yuun ke jese woh aa kar nahin geya,
Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe,Aur khaak main bhi mujh ko milaa kar nahin geya,
Duaa yeh gilaa hi raha us ki zaat se,Jaate huye woh koi gilaa kar nahin geya.
Rukhsat hua to ankh milaa kar nahin geya
"Kitna Ikhtiyar Tha Us Ko Apni Chahat Pay,,,
"""Jab Chaha Yaad Kiya
Jab Chaha Bhula Diya,,,
"""Janta Tha Woh Muj Ko Behlany K Har Andaaz,,,
"""Jab Chaha Hansa Diya
Jab Chaha Rula Diya,,,
"""Dil Bhi Us Ka Tha Pyar Bhi Us Ka Tha
"""Jab Chaha Mera Naam Likha Jab Chaha Mita Diya.
Kitna Ikhtiyar Tha Us Ko Apni Chahat Pay
Mujhko ruswa sare bazaar na karwaya kare.....
Kaash Duaa ke ansu ankhon mein hi reh jaye kare.....
Ae hawa mein ne to bas uska pata pucha tha.....
Ab kahani to na har baat ban
jaye kare...
Bas Bohat dekh liye khawab suhaane din ke.....
Ab woh baaton ki rifiaqat si na behlaya
Karai......
Ek maseebat to nahin tooti Sau abb iss dil se.....
Jiss meesabat ne guzaar na hain guzar
Jaye kare....
Jiss ke khawaabon ko main ankhon mai
Sajal kar raku.....
Iss ki khushbu kabhi mujko to mehkaya
Kare.......