top of page

Wasi shah

​

Syed Wasi Shah  was born on the 1 january 1976  in sargodha ,pakistan he is a  renowned young poet . In few years Wasi has contributed plenty in Urdu poetry and Ghazals. Wasi Shah’s poetry mainly focuses in love, romantic and sad Urdu poetry and has got a lot of Ghazals which brought him among the leading poets of Pakistan. “Kash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota” is one of the most admired poetry by Wasi Shah. Wasi Shah has written countless poetry books, auch as Mere Ho Ke Raho and Malangni. Wasi Shah is considered to be the young Pakistani romantic poet.

Aankhen Bheeg Jati
             Hain…

Ankhein bheeg jati
Ankhein bheeg jati - Dua-e-lafz
00:0000:00

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain, 
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 

Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se, 
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati 

Hain…. 

Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain, 
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati  Hain… 

Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..? 
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati 

Hain… 

Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain, 
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 

Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi, 
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 

Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain, 
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 

Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi, 
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

 Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

 Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere 

Dil Pe ‘Wasi’ 
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati 

Hain….!

Charha huwa tha jo darya utar gaya kab ka
Tumahara chaahnay waala tou mar gaya kab ka

Na meri rooh meri hai Na mera jism mera
tere wajoob tou mujh mein utar gaya kab ka

Wo ik shakhs jo sab ko sambhaalay rakhta tha
Tumhain khabar hee nahi hai bikhar gaya kab ka

Tu jis ke waadon ko dil se lagaye baitha hai
Wo apni baat se pyaaray mukar gaya kab ka

"Wasi"Mein ishq mein ro bhi chuka hu mar bhi chuka hun
Huood-e-jism se mein tou guzar gaya kab ka

Charha huwa tha

charha huwa tha

Tum mere dard bhi,             gham bhi

Tum mere dard bhi

Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum.

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi

Suchta hu ke ussay

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi
Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?
Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi
Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi
Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi
Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi
Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi
Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi
Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi

Khauf Aata hai

Khauf aata hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Kesa khaufnaak sa

Kehsa khaufnaak sa

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se,
Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye,
Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se,
Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se,
Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se,
Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya,
Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se,
Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se..

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun,
Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun,
Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga,
aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na chun,
Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein,
Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun,
Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta,
Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun,
Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin,
Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun,
Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain,
Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun,
Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein,
Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun,
Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey rehna,
Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun.

dard na chun

Dard na chun

Dayar-E-Gair Mein Kaise

Dayar-e-gair mein kaisa

Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete

Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete

Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete

Wo Tera Gam Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete

Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete

Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete

Samton Ko Main Ta-Umr Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete

Gali Mein Dard Ke Purze Talash Karti Thi

Gali mein dard ke purze
Gali mein dard ke purze - Dua-e-lafz
00:0000:00

Gali Mein Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukre Talash Karti Thi

Kahan Gayi Woh Kanwari, Udaas Bi Aapa
Jo Gaon Gaon Mein Rishte Talash Karti Thi

Bhulaye Kaun Aziyat Pasandiyan Us Ki
Khushi Ke Dhair Mein Sadme Talash Karti Thi

Ajeeb Hijr Purasti Thi Us Ki Fitrat Mein
Shajr Ke Toot'te Patte Talash Karti Thi

Qayam Karti Thi Woh Muhj Mein Soofiyon Ki Tarah
Udaas Rooh Ke Goshe Talash Karti Thi

Tum Raat Woh Parde Hata Ke Chand Ke Sath
Jo KhO Gaye The Woh Lamhe Talash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Wehshat
Yahan Bhi Apne Hi Pyare Talash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judayi Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talash Karti Thi

Tamam Raat Mein Woh Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Reze Talash Karti Thi

Duayein Karti Thi Ujre Hue Mazaron Per
Bare Ajeeb Sahare Talash Karti Thi

Muhje To Aaj Bataya Hai Badalon Ne Wasi
Woh Laut Aane Ke Raste Talash Karti Thi 

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho.

Dil mein bikhray howay jalon
Dil mein bikhray huwe - Dua-e-lafz
00:0000:00

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho.

Mere Guzray Howay Saalon Se Pareshaan Na Ho.

 

Meri Awaaz Ki Talkhi Ko Gawara Kar Le.

Mere Gustaakh Swaalon Se Pareshaan Na Ho.

 

Main Ne Maana Teri Aankhain Nahi Khulti Hain Magar.

Din Nikalne De Ujaalon Se Pareshaan Na Ho.

 

Apni Zulfon Mein Utarti Howi Chaandni Ko Chhupa

Mere Bikhre Hoay Baalon Se Pareshaan Na Ho.

 

Ay Naye Dost Main Bharpoor Howa Hun Tera.

Mere Maazi K Hwaalon Se Pareshaan Na Ho.

 

Dekh Youn Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se.

Tu Meri Rooh K Chaalon Se Pareshaan Na Ho.

 

Khud Ko Viraan Na Kar Mere Liye.

In Pareshaan Khyalon Se Pareshaan Na Ho

kash main teray haseen hath ka kangan hota

Kash main teray haseen haath

kash main teray haseen hath ka kangan hota

tu baray piyar say chao say baray man kay sath

apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko

aor betaby say furqat kay khiza lamhon main

tu kisee soch main doby jo ghumaty mujh ko

main teray hath ki khushbu say mehak sa jata

jab kabhi mood main akar mujhay chuma karty

teray honton ki main hiddat say dehak sa jata

rat ko jab bhi tu nindh kay safar pay jaty

marmarin hath ka eik takiya banaya karty

main teray kan say lag kar kaii batain karta

tery zulfon ko teray gal ko chumaa karta

mujh ko betab sa rakhta tery chahat ka nasha

main tery roh kay gulshan main mehakta rehta

main teray jism kay angan main khanakta rehta

kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota

kash main teray hansee hath ka kangan hota

Ab to mumkin he nahin un se

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi
Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi

wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi

Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi

Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum

Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi
 

Hijar ka taara dhoob chala hai
Hijar Ka Taara Doob Chala Hai

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalny Lagi Hy Raat Wasi,
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkoon Ki Barsat Wasi,

Tery Baad Ye Duniya Waaly Mujh Ko Pagal Kar Dein Ge,
Khushbu K Dais Main Mujh Ko Le Chal Apny Sath Wasi,

Aaj To Us Ka Chehra B Kuch Badla Badla Lagta Hy,
Mosam Badla Duniya Badli, Badal Gaye Halaat Wasi,

Chhor Wasi Ab Us Ki Yaadein Tujh Ko Pagal Kar Dain Gi,
Tu Qatra Hy Wo Darya Hy Dekh Apni Auqaat Wasi.

Ek masoom takaddus
Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams

Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams.
Kitna pakeeza hai ehsas mein dhoya huwa lams.

Ye tere jism ki khushboo ka sonehra ehsas;
Jis terha chand ke haaley mein paroya huwa lams.

Us ke hontoon ko main chhu loon to guman hota hai;
Jese janat ke gulaboon mein daboya huwa lams.

Jo meri rouh mein utrey he chale jate ho;
Ik nae rang mein ubhrey ga ye boya huwa lams.

Bhegi khusboo mein basa wasl mein bhega bhega;
Kitna masoom hai pehlo mein ye soya huwa lams.

Tishnagi aan basi hai meri pooroon mein 'Wasi';
Dhondta phirta hoon mudat se main khoya huwa lams.

Badalti Rut ka "ISHARA"
Badalti Rut Ka “ISHARA” Dekhte Hain

Badalti Rut Ka “ISHARA” Dekhte Hain
Ab Kaise Hoga “GUZARA” Dekhte Hain

Mohabat Ki Ye Rasm Bhi Ktni Ajeeb Hai
Jaane Wale Palat Kr”DUBARA” Dekhte Hain

K Jaisey Doobne Wale Doobne Se Zra Pehle
Ek Umeed Pr “KINARA” Dekhte Hain

Teri Khudai Se Gila Hone Lagta Hai
Jab Dunya Mein Koe “BE SAHARA” Dekhte Hain

Kya Mohabat Hamein Bhi Raas Aye Gi “WASI”
Aao Apna Apna “SITARA” Dekhte Hain.

Mein shayer hoon
Main Shayer Hoon
Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain

Main Shayer Hoon
Toa Aksar Laog Mujh Se Poochtay Hain
Is Haseen Israar Kay Baray main
Batain Toa Bhala Kiya Hai…?
Muhabbat Akhirish Hai Kiyaa…..?”
Wasi Main Hans Kay Kehta Hoon
Kisi Piyasay Ko Apnay Hissay Ka Pani Pilana Bhi..
Muhabbat Hai!
Bahnwar Mai Doobtay Ko Sahil Tak Lai Kay Jana Bhi..
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Wastay Nanhi Si Qurbani..
Muhabbat Hai!
Kaheen Hum Raaz Saray Khoal Saktay Hoan Magar Phir Bhi,
Kisi Ki Babasi Ko Daikh Ker Khamosh Hojana Bhi…
Muhabbat Hai!
Ho Dil Mai Dard, Veraani Magar Phir Bhi
Kisi Kay Wastay Jabran Hi Hoantaon Pe Hansi Lanaa
Zabardasti Hi Muskana…
Muhabbat Hai!
Kaheen Barish Mai Sehmay, Bheegtay Billi Kay Bachay Ko
Zara Si Dair Ko Ghar Lai Kay Anaa Bhi
Muhabbat Hai!
Koi Chirya Jo Kamray Mai Bhatakti Aan Nikli Ho
Toa Us Chirya Ko
Pankhaa Band Kar Kay Rastaa Bahir Ka Dikhlana
Muhabbat Hai!
Kisi Kay Zakham Sehlanaa
Kisi Rotay huay Dil Ko Behlana..
Muhabbat Hai!
Kay Metha Bol, Methi Baat, Methay Lafz, Sab Kiya hai?
Muhabbat Hai!
Muhabbat Aik Hi Bas Aik Hi Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Uski Bataon, Khushboan Mai,
Dolna Kab Hai
Muhabbat Sirf Uski Zulf Kay Bal Kholnaa
Kab hai..
Muhabbat Kay Hazaroan Rang
Laakhoan Istaa’ray Hain
Kisi Bhi Rang Mai Ho Ye
Mujhay Apna Banati Hai
Ye Meray Dil Ko Bhaati Hai

Haaye woh lambha
Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi 

yeh kab kaha tha
Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai 
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,

Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….

Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Faluk pay chand
Fuluk Pay Chand Kay Haaly Bhe Sogh kartey Hen

Fuluk Pay Chand Kay Haaly Bhe Sogh kartey Hen
Jo Tu Nahin Tu Ojaaly Bhe Sogh kartey Hen
Tumare Hath Ki Chori Bhe Bain Kurti Hey
Humary Honth Kay Naaly Bhe Sogh karte Hen
Naghr naghr Bekhry Hen Zulm Kay Munzur
Humari Rooh Kay Chaaly Bhe Sogh Kurty Hen
Ossy Kaho Kay situm Mein Kuch kami kar Dai
Kay Zulu thorny Walay Bhe Sogh karte Hen
Tum Apny Dukh Pay Akaly Nahi Ho Afsordah
Tumary Chahany Waaly Bhe Sogh Kurty Hen

Kisi ki aankh se
Kisi ki aankh se sapne churaa

Kisi ki aankh se sapne churaa kar kuch nahin milta,
Munddairon se chiraghon ko bhuja kar kuch nahin milta,

Sakoon un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi,
Jinhe apne watan se dil laga kar kuch nahin milta,

Usey kehna ke palkon pe na taanke khawb ki jhaalar,
Samandar ke kinaare ghar bana kar kuch nahin milta,

Na jaane kon se jazbe ki yoon taskeen karta hoon,
Bazaahar to tumhare khat jalaa kar kuch nahin milta,

Usey main pyaar karta hoon to mujh ko chain ata hai,
Woh kehta hai usey mujh ko sataa kar kuch nahin milta,

Mujhe aksar sitaaron se yehi awaaz ati hai,
Kisi ke hijar main neendain ganwaa kar kuch nahin milta,

Jigar ho jaaye ga chhalni, yeh aankhain khoon royen gi,
Wasi, befaiz logon se nibhaa kar kuch nahin milta..

Ussi ki Ankhon mai
Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga

Uss ki ankhon main mohabbat ka sitara hoga,
Aik din aye ga woh shakss hamara hoga,

Tum jahan mere liye seepiyan chunti hogi,
Woh kisi aur hi duniya ka kinaara hoga,

Zindagi! ab mera naam na shamil karna,
Gar yeh tehh hai yehi khail dobaraa hoga,

Jis ke hone se meri saans chala karti hai,
Kis tarah us ke bina mera guzaara hoga,

Yeh achaanak jo ujaala sa hua jata hai,
Dil ne chupke se tera naam pukara hoga,

Ishq karna hai to din raat usey sochna hai,
Aur kuch zehen main aaya to hasaara hoga,

Yeh jo paani main chala aaya sunehri sa gharoor,
Uss ne daryaa main kahin paaon utaara hoga,

Kon rota hai yahan hijar ke sanaatton main,
Mere jesa hi koi hijar ka maara hoga,

Mujh ko maloom hai joon hi main qadam rakhoon ga,
Zindagi tera koi aur kinaara hoga,

Jo meri rooh main badal se garajte hain Wasi,
Uss ne seeney main koi dard utaara hoga,

Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko,
Mere maula ka Wasi jab ishaara hoga..

bottom of page