top of page

Saghar Siddiqui

1928-19-07-1974
Saghar Siddiqui born in 1928 in Ambala in united Punjab under British India. He was named Muhammad Akhtar at birth. He was the only child of his parents and he spent the early years of his life in Ambala and Saharanpur (UP, India). He received his early education from Habib Hassan, a friend of the family. 
Fluent in Urdu that people used to come to him to get their letters written. 
He for a couple of months used Nasir Hijazi as his pen name, but later he chose Saghar Siqddiqui. In the pre-teen years, 
At 19 year old he has a slim appearance, wearing pants and boski (yellow silky cloth) shirts, with curly hair, and reciting beautiful ghazals in a melodious voice, he became a huge success. But perhaps he was too sensitive for this cruel world. He probably had some tragic turns in his life. 
Sometimes he would have to sell his ghazals to other poets for a few rupees. He would use the waste paper spread around to light fires to stay warm during winter nights. There, on the street, he passed away in Lahore on 19 July 1974 at age 46. His dead body was found one early morning outside one of the shops. Despite his shattered life, some of his verses (ash'aar) are among the best in Urdu poetry. It is unbelievable that he kept his inner self so pure and so transcending.
Julien Columeau, a French writer in Pakistan, wrote the Urdu semi fictional novel Saghar based on Saghar Siddiqui's life

Yeh Jo Deewanay Se

Yeh jo deewanay se

Yeh Jo Deewanay Se Do Chaar Nazar Aate Hain.. 

In Main Kuch Sahib-e-Israar Nazar Aate Hain.. 

 

Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jatay Hain.. 

Warna Yeh Loag To Bedaar Nazar Aate Hain.. 

 

Mere Daaman Main To Kanton K Siwa Kuch Bhee Nahin.. 

Aap Phoolon K Kharidaar Nazar Aate Hain.. 

 

Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu.. 

Marg-e-Umeed K Aasar Nazar Aate Hain.. 

 

Kal Jinhein Choo Nahin Sakti Thee Farishton Ki Nazar.. 

Aaj Woh Ronaq-e-Bazaar Nazar Aate Hain.. 

 

Hashr Main Kon Gawahi Meri De Ga "SAGHAR" 


Sab Tumhare He Tarafdaar Nazar Aate Hain...

hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin

main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yad nahin

main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin

kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen
kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin

sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin

zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin

ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
kahte hain k "Sagar" ko Khuda yad nahin

Hai dua yad magar

Hai dua yaad magar

Kab thurro ge hijar

Kab thurro ge hijar

Kab thurro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge,
Kab is dil ke saaz mein sajan, tum ban ke jhankar raho ge,
Kab tak behlao ge, meri bhooli bhatki nazron ko,
Kab tak meri raah mein ban kar sheeshey ki deewar raho ge,
Subah ka madham taara ban kar, mein aaaon ga tum se milney,
Bolo kya manzoor hai tum ko, bolo kya tayyaar raho ge,
Is baagh-e-hasti mein sab ke apne apne manssab hain,
Hum phoolon ka rang rahen ge, Tum hanjjar ki dhaar raho ge,
Jaan-e-tammana! apne Saghir ko batlao, ankh mila kar,
Us ke haq mein akhir kab tak, Kafir ka inkaar raho ge.

Teri nazar ka rang bahanon ne le liya,
Afsurdgi ka roop taraano’n ne le liya,
Jin ko bhari bahaar mein ghunchay na keh sake,
Woh waaqeyaa bhi mere fasaanon ne liya,
Shayed milay ga qaryaa mehtaab mein sakoon,
Ehl-e-fard ko aese gumaano’n ne le liya,
Yazwaa’n se bacha raha tha jalalat ka ek lafz,
Us ko haram ke shokh beyaano’n ne le liya,
Teri adaa se ho na saka jis ka faisla,
Woh zindagi ka raaz fashaano’n ne le liya,
Afsaana hayaat ki takmeel ho gayi,
Apno’n ne le liya ke begaano’n ne liya,
Bholi nahin woh qos-e-qazaah ki si surtain,
Saghir tumhain to mast dheyaano’n ne le liya.

Teri nazar ka rang

Teri nazar ka rang

Yaad aa ke reh gaye hain

Yaad aa ke re gaye

Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke,
Sholay jala ke chal diye jhonkay wafaon ke,
Har ik qadam par talkhii doraa’n ki dhoop thi,
They hum bhi us gali mein talabgar chaaon ke,
Karte rahe jo chand sitaaron ki rehbri,
Kuch log muntazir hain unhi rehnumaaon ke,
Har zehen mein parre hain teri zulf ke bhanwar,
Har dil ki sarzamee’n mein nishaan tere paaon ke,
Be’chaargi zeest ka daaman na bhar saka,
Hum ne lutaa diye hain khazaney dua’on ke,
Tajdeed-e-zoq Saghir-o-meena ki baat kar,
Badle huye rang-e-chaman ki fizaaon ke..'

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal

Ataa jisay tera

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai
Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai
Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai
Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai
Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai

Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai
Ashkon Bhari Barsaat Hai Duniya Teri Kya hai
Kuch log Yahan Noor-e-Seher Dhoond Rahe Hain
Tareek Si Eik Raat Hai Duniya Teri Kya hai
Taqdir Key Chehrey Ki Shikan Dekh Raha Hon
Aayiena e Halaat Hai Dunya Teri Kya hai
Paband e Mashiyet Hai Tanafas Bhi Nazar Bhi
Eik Juzia-e-Lamhaat Hai Duniya Teri Kya hai
Majrooh Hai Taqadas , Taqadas Ki Haqiqat
Roodaad e Kharabaat Hai Duniya Teri Kya hai
“Saghar” Mein Chalaktey Hain Samavaat Key Asraar
Saaqi Ki Karamaat Hai Duniya Teri Kya hai

Dukh Dard Ki Soghaat

Dukh dard ki soghaat

Ae dil e beqarar chup ho ja

Ae dil e beqaraar chup hoja

Ae dil e beqarar chup ho ja,
Jaa chuki hai bahaar chup ho ja,
Ab na aayengy roothne wale,
Deedah-e-ashk-bhar chup ho ja,
jaa chuka karvaan-e-laal-o-gul,
urr raha hai ghubaar chup ho ja,
choot jati hai phool sai khushboo,
rooth jati hain yaar chup ho ja,
Hum faqeeron ka is zamaane mein,
kaun hai gham-gusar chup hoja
haadsoun ki na aankh khul jaaye
hasrat-e-sogawaar chup ho ja
geet ki zarb se bhi aey " Saghar "
toot jati hain taar chup ho ja ...

Anchor 1
Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad NahiN 

Hai Duaa Yaad Magar Harf-E-Duaa Yaad Nahin 
Mere Nagmaat Ko A.Ndaaz-E-Navaa Yaad NahiN 

MaiN Ne Palako.N Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Di Hai 
MaiN Vo Saahil HuN Jise Koi Sadaa Yaad NahiN 

MaiN Ne Jin Ke Liye RaahoN Mein Bichhayaa Thaa Lahuu 
Ham Se Kahate Hain Vahi Ahad-E-Vafaa Yaad Nahin 

Kaise Bhar AaIin Sar-E-Shaam Kisi Ki Aankhen 
Kaise Tharraa_E Charaagon Kii Ziyaa Yaad Nahin 

Sirf DhundhalaIi Sitaaron Kii Chamak Dekhi Hai 
Kab Hua Kaun Hua Kis Se Khafaa Yaad Nahin 

Zindagi Jabr-E-Musalasal Ki Tarah Katati Hai 
Jaane Kis Jurm Kii Paai Hai Sazaa Yaad Nahin 

Aao Ik Sajdaa Karen Aalam-E-Madhahoshii Mein 
Kahate Hain Ke "Sagar" Ko Khudaa Yaad Nahin

bottom of page