Qateel Shifai
24/12/1919-11/07/2001
Muhammad Aurangzeb pen name Qateel Shifai was born on the 24th december 1919 british india now pakistan .He is known in the world of Urdu poetry. "Qateel" is his "takhallus" and "Shifai" is in honour of his ustaad Hakim Mohammed 'Shifa' whom he considered his mentor.
His father's death at an early age, forced Qateel to quit his education and start his own sporting goods shop. Qateel moved to rawalpindi were he worked at a transprt company, he earned 60 rupees a month. In 1946, Nazir Ahmed called him to Lahore and made him the assistant editor of the monthly 'Adab-e-Latif'. Qayeel Shifai's first ghazal was printed in the Lahore weekly 'Star', whose editor was Qamar Jalalabadi. In January 1947, a Lahore based film producer asked Qateel to pen the songs for his forthcoming film. His first film as a lyricist was "Teri Yaad". Since then he has won numerous awards as a lyricist. He has had quite a few of his poem collections published, one of which being "Mutriba" which was awarded the highest literature award in pakistan and others include: bade dilwala,Yeh Hai Mumbai Meri Jaan,Auzaar, Tamanna ,Naajayaz,Naaraz,Waqt hamara hai and many more
He died on 11 July 2001 in Lahore. The street on which he lived in Lahore has been named Qateel Shifai Street after him. There is also a sector of Haripur city that has been named after him – Mohallah Qateel Shifai.
Tere mehndi lage hathon pe mera naam
Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,
Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,
Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,
Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,
Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,
Labon ko pankhrri, zulfon ko mene shaam likha hai,
Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,
Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,
Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,
Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,
Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,
Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon,
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup
Raho
So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup
Raho
Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke
Bagair
Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao,
Chup Raho
Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain
Mohtasib
Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam
Hai Ye
Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao,
Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham
Baithay Howay
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup
Raho
Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha
Jaaye Ga
Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup
Raho
Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko
Ay “Qateel” ?
Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup
Raho
Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain
Aur Ek Hum Ke Jo Ab Tak Wafaa Ki Qaid Mein Hain
Koi Khabar Hai Safar Ki Na Manzilon Ka Pata
Hamain Tou Umer Howi Rehnuma Ki Qaid Mein Hain
Thakay Tou Nazarain Chhurra Laaye Aasmaanon Se
Magar Wo Lab Ke Jo Ab Tak Duaa Ki Qaid Mein Hain
Nazar Howi Hai Ba-Mushkil Sakoot Se Maanoos
Samaa’tain Tou Abhi Tak Sadaa Ki Qaid Mein Hain
Saraab Hain Sabhi Aazaadiaan Fizaaon Ki
Kaheen Parinday Kaheen Par Hawaa Ki Qaid Mein Hain
Jab Apne Jaisi Hee Makhlooq Ke Shikanjay Se
Howay Rihaa Tou Ye Dekha Khuda Ki Qaid Mein Hain
Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein
I
Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay
Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay
Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay
Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay
Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?
Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se
Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbuu Aaye
Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehluu Aaye
Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataaya Mujh Ko
Meri Jaanib Tere Phailay Howay Bazoo Aaye
Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnuu Aaye
Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye
Os Ke Lehjay Ka Asar Tou Hai Badi Baat “Qateel”
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye
Sadma Tou Hai Mujhe Bhi Ke Tujh Se
Sadma Tou Hai Mujhe Bhi Ke Tujh Se Judaa Hun Mein
Laikin Ye Sochta Hun Ke Ab Tera Kia Hun Mein ?
Bikhra Para Hai Tere Hee Ghar Mein Tera Wajood
Bekaar Tujhe Mehfilon Mein Dhoondta Hun Mein
Mein Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf
Apnay Badan Ki Qabar Mein Kab Se Gada Hun Mein
Kis Kis Ka Naam Laun Zaban Par Ke Tere Sath
Har Roz Ek Shakhs Naya Dekhta Hun Main
Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera Naam
Duniya Samajh Rahi Hai Ke Sab Kuch Tera Hun Main
Le Mere Tajrubon Se Sabak Ae Mere Raqib
Do Char Sal Umr Mein Tujhse Bara Hun Main
Jaaga Howa Zameer Wo Aaina Hai “Qateel”
Sonay Se Pehlay Roz Jisay Dekhta Hun Mein
Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain
Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain
Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain
Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain
Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain ?
Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Wo Shaks Ke Mein Jis Se Mohabbat Nahee Karta
Hansta Hai Mujhe Dekh Ke, Nafrat Nahee Karta
Ghar Waalon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahay Hain
Chooron Ko Magar Koi Malaamat Nahee Karta
Detay Hain Ujaalay Mere Sajdon Ki Gawaahi
Mein Chhup Ke Andheron Mein Ibaadat Nahee Karta
Bhoola Nahee Aaj Bhee Mein Aadaab-e-Jawaani
Mein Aaj Bhee Auron Ko Naseehat Nahee Karta
Duniya Mein Qateel Ossa Munaafiq Nahee Koi
Jo Zulm Tou Sehta Hai Baghaawat Nahee Karta
Dil ko gham-hayaat gavaraa hai in dinon
Dil ko gham-hayaat gavaraa hai in dinon,
Phele jo dard tha wohi chaara hai in dinon,
har sail-e-ashk saahil-e-taskeen hai ajj kal,
Daryaa ki mauj mauj kinaara hai in dinon,
ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho geya,
zaray ko aandhiyon ka sahaara hai in dinon,
Shaamon mein ab nahin hai woh pehli si roshni,
kya waqeyi woh anjuman-e-aaraa hai in dinon,
Tum aa sako to shab ko barrhaa do kuch aur bhi,
Apne kahe mei subh ka taara hai in dino
Guzre Dinon Ki Yaad Barasti Ghataa Lage
Guzaroon Jo Us Gali Se To Thandi Hawaa Lage
Mehmaan Banke Aaye Kisi Roz Agar Wo Shakhs
Us Roz Bin Sajaaye Meraa Ghar Sajaa Lage
Main Is Liye Manaataa Nahin Wasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Duaa Lage
Wo Qahat Dosti Ka Padaa Hai Ki In Dinon
Jo Muskura Ke Baat Kare Aashnaa Lage
Tark-E-Wafaa Ke Baad Ye Us Ki Adaa Qateel
Mujh Ko Sataaye Koi To Us Ko Buraa Lage
Guzre Dinon Ki Yaad Barasti Ghataa Lage
Har Bezabaan Ko Shola Nawa Kah Liya Karo
Har Bezabaan Ko Shola Nawa Kah Liya Karo,
Yaaro Sukoot Hi Ko Sada Kah Liya Karo,
Khud Ko Fareb Do Ki Na Ho Talkh Zindagi,
Har Sang-Dil Ko Jaane-E-Wafa Kah Liya Karo,
Gar Chaahte Ho Khush Rahen Kuchh Bandagaan-E-Khaas,
Jitne Sanam Hain Un Ko Khuda Kah Liya Karo,
Insaan Ka Agar Qad-O-Qamat Na Barh Sake,
Tum Is Ko Nuqs-E-Aab-O-Hawa Kah Liya Karo,
Apne Liye Ab Ek Hi Raah-E-Nijaat Hai,
Har Zulm Ko Raza-E-Khuda Kah Liya Karo,
Le De Ke Ab Yahi Hai Nishaan-E-Ziyaa "Qateel",
Jab Dil Jale To Us Ko Diyaa Kah Liya Karo.
Haath Diyaa Us Ne Mere Haath Men,
Main To Wali Ban Gayaa Ek Raat Men,
Ishq Karo Ge To Kamaao Ge Naam,
Tuhmaten Banti Nahin Khairaat Men,
Ishq Buri Shai Sahi Par Doston,
Dakhl Na Do Tum Meri Har Baat Men,
Mujh Pe Tajawwoh Hai Sab Aafaat Ki,
Koi Kashish To Hai Meri Zaat Men,
Rabt Badhaayaa Na “Qateel” Is Liye,
Farq Thaa Donon Ke Khayaalaat Men.
Haath Diyaa Us Ne Mere Haath Men,
Ye mojaza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe
Ye mojaza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe,
ki sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe.
Main apne paanv tale raundta hun saaye ko,
badan mera hi sahi dopehar na bhaaye mujhe.
Barang-e-uud milegi usey meri khushboo,
woh jab bhi chaahe bade shauq se jalaaye mujhe.
Main ghar se teri tamanna pehan ke jab niklun,
barhana shehar mein koi nazar na aaye mujhe.
Wohi toh sab se zyada hai nukta-chin mera,
jo muskura ke humesha gale lagaaye mujhe.
Main apne dil se nikaalun khyaal kis kis ka,
jo tu nahin toh koi aur yaad aaye mujhe.
Zamana dard ke sehra tak aaj le aaya,
guzaar kar teri zulfon ke saaye saaye mujhe.
Woh mera dost hai saare jahaan ko hai maaloom,
dagha kare woh kisi se toh sharm aaye mujhe.
Wo meharbaan hai toh iqraar kyon nahin karta,
woh badgumaan hai toh sau baar aazmaaye mujhe.
Main apni zaat mein neelaam ho raha hun ‘qateel
ghum-e-hayaat se keh do khareed laaye mujhe. !!
Haath Diyaa Us Ne Mere Haath Men
Haath Diyaa Us Ne Mere Haath Men,
Main To Wali Ban Gayaa Ek Raat Men,
Ishq Karo Ge To Kamaao Ge Naam,
Tuhmaten Banti Nahin Khairaat Men,
Ishq Buri Shai Sahi Par Doston,
Dakhl Na Do Tum Meri Har Baat Men,
Mujh Pe Tajawwoh Hai Sab Aafaat Ki,
Koi Kashish To Hai Meri Zaat Men,
Rabt Badhaayaa Na “Qateel” Is Liye,
Farq Thaa Donon Ke Khayaalaat Men.
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup
Raho
So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup
Raho
Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke
Bagair
Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao,
Chup Raho
Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain
Mohtasib
Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam
Hai Ye
Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao,
Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham
Baithay Howay
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup
Raho
Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha
Jaaye Ga
Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup
Raho
Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko
Ay “Qateel” ?
Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup
Raho