Parveen shakir
24 November 1952 – 26 December 1994
Parveen Shakir was an Urdu poet, teacher and a civil servant of the Government of Pakistan.
She did a Master degree in English literature,English Language and bank administration)
writing at an early age and published her first volume of poetry, Khushbu 1976
Her other volumes of poetry all well-received
Sad-barg [Marsh Marigold]
Khud Kalami [Talking To Oneself]
Inkaar [Denial
Kaf-e-Aina [The Mirror's Edge]
Mah-e-Tamaam [Full Moon]
Kaf-e-Aina.
Parveen died in 1994 in a car accident while on her way to work.
Harf-E-Taaza
Harf-E-Taaza Nai Khushbu Mein Likha Chahta Hai
Baab Ik Aur Mohabbat Ka Khula Chahta Hai
Ek Lamhay Ki Tawajjoh Nahin Haasil Uss Ki
Aur Yeh Dil Ke Ussay Had Se Siwa Chahta Hai
Ik Hijab-e-tah-e-qraar Hai Maane Warna
Gul Ko Maloom Hai Kaya Dast-E-Saba Chahta Hai
Ret Hi Ret Hai Iss Dil Mein Musaafir Mere
Aur Yeh Sehra Tera Naqsh-E-Kaf-E-Paa Chahta Hai
Yehi Khamoshi Ke Rung Mein Zaahir Ho Gi
Aur Kuch Roz Ke Woh Shokh Khula Chahta Hai
Raat Ko Maan Liya Dil Ne Muqaddar Lekin
Raat Ke Haath Pe Ab Koi Diya Chahta Hai
Tere Paimaane Mein Gardish Nahin Baaqi Saaqi
Aur Teri Bazm Se Ab Koi Utha Chahta Hai
kamaal-e-zabt
kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii
main apane haath se us kii dulhan sajauNgii
supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT auNgii
badan ke karb ko vo bhii samajh na payega
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskurauNgii
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manauNgii
vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukauNgii
bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThauNgii
ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunauNgii
javaz DhuuNDh rahaa thaa nayii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jauNgii
kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamauNgii
main apane haath se us kii dulhan sajauNgii
supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT auNgii
badan ke karb ko vo bhii samajh na payega
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskurauNgii
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manauNgii
vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukauNgii
bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThauNgii
ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunauNgii
javaz DhuuNDh rahaa thaa nayii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jauNgii
Chalne Ka Hosla Nahin
Chalne Ka Hosla Nahin, Rukna Muhaal Kar Diya
Ishq K Is Safar Ne To Mujh Ko Nihaal Kar Diya
Ae Meri Gul Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Ehl-E-Kitab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya
Milte Huwe Dilon K Beech Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar Bicharte Waqt Aur Sawal Kar Diya
Ab Ke Hawa K Saath Hay Daaman-E-Yaar Muntazir
Banu-E-Shab K Haath Main Rakhna Sambhaal Kar
“Diya”
Mumkina Faislon Main Aik Hijar Ka Faisla Bhi
Tha
Ham Ne To Aik Baat Ki, Us Ne Kamaal Kar Diya
Mere Labon Pe Mohar Thi Par Mere Sheesha Rooh
Ne To
Shehar K Shehar Ko Mera Waqif-E-Haal Kar Diya
Chehra-O-Naam Aik Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Waqt Ne Kis Shabeeh Ko Khawab-O-Khayaal Kar
Diya
Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gilla Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahaal Kar Diya
Muddat se mera dil
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi
Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamal Bhi
Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi
Dil To Chamak Sake Ga Kya Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo
Shishaa Garan-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamal Bhi
Os Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha
Ab Jo PalaT Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi
Meri Talab Tha Ek ShaKhs Wo Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se YuN Gira Bhool Gaya Sawal Bhi
Shaam Ki Nasamajh Hawa Puuch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi
Os Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi
Bakht se koi shikayat hai na aflak se hai
yahi kya kam hai ki nisbat mujhe is khaak se hai
khawab mein bhi tujhe bhulun to rava rakh mujh se
woh rawaiya jo hawa ka kaso-kaakh se hai
bazm-e-anjum men qaba khaak pahni main ne
aur miri saari fazilat isi poshak se hai
itni raushan hai tiri subh ke dil kehta hai
yeh ujala to kisi dida-e-namnak se hai
haath to kaat diye kuuza-garon ke ham ne
moajze ki vahi ummid magar chaak se hai
Bakht se koi shikayat hai na aflak se hai
yahi kya kam hai ki nisbat mujhe is khaak se hai
Bakht se koi shikayat hai na aflak se hai
Teri khushbu ka pata karti hai
Teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai
Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi!
Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi!
Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi!
Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par!
Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi
Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main!
Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Gi.!
Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi!
Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz
Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz
Kuch tu hawa bhi sard thi
Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.
Dil ko khushi k saath saath, hota raha malaal bhi.
Baat wo aadhi raat ki, raat wo purey chand ki;
Chand bhi ain chait ka, uspe tera jamaal bhi.
Sab se nazar bacha k wo, mujh ko kuch aise dekhta;
Aik dafa tu ruk gahi gardish-e-mah-o-saal bhi.
Dil tu chamak sakey ga kia, phir bhi tarash k dekh lain;
Sheesha garan-e-shehar ke haath ka yeh kamaal bhi.
Usko na paa sakey thay jab, dil ka ajab haal tha;
Ab jo palat k dekhiye, baat thi kuch muhaal bhi.
Meri talab tha ek shaks, wo jo nahi mila tu phir;
Haath dua se yuon gira, bhool gaya sawaal bhi.
Uski sukhan taraziyan, mere liye bhi dhhal thein;
Uski hansi main chup gaya, apne ghamon ka haal bhi.
Gah-e-kareeb shahrag, gah-e-baeed wehm-o-guman;
Uski rafakaton mein raat, hijar bhi tha wasaal bhi.
Shaam ki nasamjh hawa, pooch rahi hai ek pata;
Moj-e-hawa-e-ko-e-yaar kuch tu mera khiyaal bhi.
Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki.
Us ne Khushboo ki tarah meri pazirai ki.
Kaise kah doon ke mujhe chor diya hai us ne;
Baat to sach hai magar baat hai rusvai ki.
Vo kahin bhi gaya lauTa to mere paas aya;
Bas yahi baat hai achchhi mere harajai ki.
Tera pahalo tere dil ki tarah abad rahe;
Tujh pe guzare na qayamat shab-e-tanhai ki.
Us ne jalati hui peshani pe jo hath rakha;
Rouh tak aa gai taseer maseehai ki.
kariya-e-jan main koi phool khilne aye
kariya-e-jan main koi phool khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye
mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar ke dar-o-bam sajane aye
us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye
isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye
ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye
zabt ki shahar-panahon ki mere malik khair
gam ka sailab agar mujh ko bahane aye
Woh khushboo bheja karti thi
Woh khushboo bheja karti thi main nazamein likhta rehta tha,
Woh hans ke ujaala karti thi, main subahein likha karta tha.
Geeli rett pe saahil ki doobte sooraj ki humraah,
Woh chup si chalti rehti thi, main sochein likhta rehta tha.
Deep wafa ke hote the ya shayad do taare the,
Woh mujh ko dekha karti thi, main aankhein likhta rehta tha.
Tapati dhoop ka rang bhi toh phoolon sa ho jata tha,
Woh zulfein khola karti thi, main shaamein likhta rehta tha.
Toot kar aksar chaahat mein, rooth kar yun hi ulfat mein..
Woh mujh ko jeeta karti thi, main maatein likhta rehta tha.
Misl-e khoon woh rugg rugg mein ban ke zist hi behti thi,
Mere jeene ki woh wazah thi, main saansein likhta rehta tha.
Dono ki pehli chaahat thi, dono toot ke milte the..
Woh waade karti rehti thi, main kasamein likhta rehta tha.
Rasm-e duniya ne aakhir hum ko bhatka dena tha,
Woh manzil dhoonda karti thi, main raahein likhta rehta tha.
Chand din jab aa thehre the uski meri judaai mein,
Main uske haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha.
Jaan se pyaare se shikwa khud ko rushwa karna tha,
Main apne honthon pe chup ki bas moharein likhta rehta tha.
Din mein dard ki shiddat ko hans kar main seh jata tha,
Par bin uske jo kat’ti thi woh raatein likhta rehta tha.
Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans k moonh chupaya kabhi moonh chupa k roye,
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye,
koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat.
main use suna k royon wo mujhe suna k roye.
meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat.
jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye.
teri bewafaon per,teri kaj adaon per.
kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye.
Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunaie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye,
Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roy,
Mere Pas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Pocha,
Main Ye Kaise Maan Jaon K Wo Door Ja K
Roye.................!
Ahmed faraz replies....
Tere Pass se jo Guzray Bekhudi main thay faraz
kuch door Ja k Sambhlay to Tujhe Yad kar k Roye..
Youn Hosla Dil Ne Hara Kab Tha
Youn Hosla Dil Ne Hara Kab Tha
Sartan Mera Sitara Kab Tha
Lazim Tha Guzarna Zindagi Se
Bin Zehar Piye Guzara Kab Tha
Kuch Pal Use Aur Dekh Sakte
Ashko Ko Magar Gawara Kab Tha
Hum Khud Bhi Judai Ka Sabab They
Us Ka He Qasor Sara Kab Tha
Ab Aur Ke Sath Hai Tou Kya Dukh
Pehly Bhi Koi Humara Kab Tha
Ek Naam Pe Zakhm Khil Uthe They
Qatil Ke Taraf Ishara Kab Tah
Aaey Ho Tou, Roshni Hoi Hai
Es Baam Pe Koi Tara Kab Tha
Dekha Howa Ghar Tha, Per Kisi Ne
Dulhan Ki Tarha Sanwara Kab Tha
Ye Khushiyan To Akher Loat Ain
Ye Khushiyan To Akher Loat Ain
Jo Bichar Gaye Kab Loatain Gay
Wo Kasy Hum Say Door Howey
Yahe Hum Tum Beth Kay Sochain Gaye
Wo Jin Sey Ghar Ki Ronaq The
wo Jin Ka Roshan Chehra Tha
Ain Gay Jab Wo Yad Hamain
Hum Kasy Ansoo Ko Rokain Gay
Yahe Khushiyan To Akher Loat Ain,
Jo Bichar Gay Kab Lotain Gaye
Tujhse Koi Gila Nahi Hai
Tujhse Koi Gila Nahi Hai
Qismat Main Meri Silla Nahi Nahi
Bichar Ke To Na-Janey Kia Haal Ho
Jo Shakhs Kabhi Mila Nahi Hai
Jeenay Ki To Aarzu Hai Kab Thi
Marny Ka Bhi Hosla Nahi Hai
Jo Zeest Ko Mu-Tabeer Bana Dey
Aesa Koi Silsila Nahin Hai
Khushboo Ka Hisaab Ho Chuka
Aur Phool Abhi Khila Nahi Hai
Sershaari-E-Rehbari Main Dekha
Peechay Mera Qafila Nahi Hai
Ek Thais Pe Dil Ka Phoot Behna
Chooney Mein To Aabla Nahi Hai
Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya
Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya
Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya
Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha
Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya
Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke
Bhi
Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya
Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta
Tha
Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya
Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf
Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya
Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se
Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya
Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai
Ke Jo Bhi Thera Wo Aakhir Makaan Chor Gaya
Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal
Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya
Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon..
Neend aa jaye to kia mehfilain barpa dekhon,
Aankh khul jaye to tanhai ka Sehra dekhon,
Shaam bhi ho gai, dhundla gain aankhain bhi meri,
Bhoolne wale, mein kab tak tera rasta dekhon...?
ik ik kar ke mujhe chorr gayin sab sakhiyaan
Aaj main khud ko teri yaad me tanhaa dekhoon,
Tu mera khuch nahi lagta hai, magar jaan-e-Hayat,
Jane kion tere liye dil ko dharakta dekhon..
Band kar ke meri aankhen woh shahrarat se hanse,
Bujhe jaane ka main har roz tamaasha dekhoon,
Sab zidain is ki mein poori karon, har baat sunon,
Aik bache ki tarha use hansta dekhon....
Mujh pe chah jaye jo barsat ki khushbu ki tarha,
Ang ang apna usi rut me mehakta dekhon...
phool ki tarah mere jism ka har lab khul jaye,
Pankharri pankharri un honton ka saaya dekhoon,
Mein ne jis lamhe koi pooja hai usy bas ek baar,
Khwab ban kar teri aankhon me utarna dekhon...
To meri tarha se yakta hai mager mere habeeb,
Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhon...
Gulaab Aankhen Sharab Ankhen
Gulaab Aankhen Sharab Ankhen,
Yehi To Hein La-jawab Aankhen,
Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat
Sawab Aankhen , Azab Aankhen.
Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi
Kbhi Sarapa Hijab Aankhen.
Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K
Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen.
Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi
Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen.
Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay
Hazoor Aankhen Janab Aankhen.
Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam
Sawal Koi Jawab Aankhen.
Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen
Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen.
Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen
Giren To Kr Dain kamal ankhen.
Koi Hai Inn K Karam Ka Talib
Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen
Na Yun Jalain Na Yun Satain
Karen To kuch Ye kheyal Ankhen
Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro
Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen
Daraz Palken Ghazal Ankhen
Musawri ka Kamal Ankhen
Shrab RAB Ne Haram kardi
Magr Rakhi Hen Halal Ankhen
Hazaro inse Qatal HueHen
Khuda k Banday Sambhal Ankhen....
Aadat Hi Bana Li Hai Is Shahar Ke Logon Ne
Andaaz Badal Lena, Awaaz Badal Lena
Dunia Ki Muhabbat Men Atwaar Badal Lena
Mausam Jo Naya Aaye Raftaar Badal Lena
Aghyaar Wohi Rakhna Ahbaab Badal Lena
Aadat Hi Bana Li Hai Is Shahar Ke Logon Ne
Raste Men Agar Milna Nazron Ko Jhooka Lena
Awaaz Agar Do To Katra Ke Nikal Jana
Har Ek Se Juda Rehna Har Ek Se Khafa Rehna Har Ek Ka Gila Karna
Jaate Huay Raahi Ko Manzil Ka Pata De Kar Raste Men Rula Dena
Aadat Hi Bana Li Hai Is Shahar Ke Logon Ne.
Isi mein khush hun mera dukh koi to sahata hai
Isi mein khush hun mera dukh koi to sahata hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rehta hai
zamin-e-dil yun hi shadab to nahi ae dost
qarib mein koi dariya zarur bahata hai
na jane kon sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kon kis se kehta hai
mere badan ko nami kha gai ashkon ke
bhari bahar mein jaise makan dahata hai
Muhbbat cheez aisi hai
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Kabhi Hoti Hai Apnon Se,
Kabhi Anjaan Rahoon Sy
Kabhi Gumnaam Rahon Sy
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Kabhi Hoti Hai Phoolon Sy
Kabhi Bachpan Ky Jhoolon Sy
Kabhi Be-Ikhtiyaari Mein
Kabhi Pakke Usoolon Sy
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Mohabbat Bas Mohabbat Hai
Mohabbat Ik Sadaqat Hai
Mohabbat Cheez Hi Aisi Hai
Dukhon Mein Rool Deti Hai
Dard Anmool Deti Hai
Zehar Bhi Ghool Deti Hai
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon
Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,
Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon,
Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon,
Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom,
~wasi~
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoond edit me. It's easy.