Noshi Gilani
Gilani was born in bahawalpur,pakistan and settled in san francisco,USA in 1995 she moved to australia.
In 2008, some of her poetry work was translated into English and her poems were read in the UK, with the Poetry Translation Centre's World Poets' Tour.
Gilani is also credited with co-translating the great Australian poet Les Murray into Urdu language.
gilani book of poetry Hawa Chupke se Kehti Hai (The Breeze Whispers) was published in June 2011 in Lahore, Pakistan.other books include
Mohabatain Jab Sumar Kurna,
Udas Honay Kay Din Naheen
Pehla Lafz Mohabat Likha
Selected poems like Ay Meeray Shareek-E-Risal-E-Jaan
Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey
Noshi Gillani poems.
Koi Mujh Ko Mera
Bharpoor Sarapa La De
Kuch Nahi Chahiye Tujh Se Aye Meri Umar-E-Rawaan Mera
Bachpan Mere Jugno Meri Guria La De
Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De,
Mere Bazo Meri Aankhein Mera Chehra La De,
Aisa Daria Jo Kisi Aur Samandar Mein Gire,
Is Se Behtar Hai K Mujh Ko Mera Sehra La De,
Kuch Nahi Chahiye Tujh Se Aye Meri Umar-E-Rawaan
Mera Bachpan Mere Jugno Meri Guria La De,
Naya Mosam Meri Beenai Ko Tasleem Nahi,
Meri Aankhon Ko Wohi Khawab Purane La De,
Jis Ki Aankhain Mujhe Andar Se Bhi Parh Sakti Hon,
Koi Chehra To Mere Shehr Mein Aisa La De,
Kashti-E-Jaan To Bhanwar Mein Kai Barso Se,
Aye Khuda Ab To Dabo De Ya Kinara La De.................!
Ajeeb khwahish hai shehar walon se
Ajeeb khwahish hai shehar walon se chhup chhupa kar kitaab likhun,
tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka
intisaab likhun.
Main tanha ladki diyaar-e shab mein jalaaun sach ke diye kahan tak,
siyaah karon ki saltanat mein main kis tarah
aaftaab likhun.
Woh lamha kitna ajeeb tha jab humari aankhen
gale mili thi,
main kis tarah ab muhabbaton ki shikastagi ke
azaab likhun.
Tumhi ne mere ujaad raaston pe khwahishon
ke diye jalaaye,
tumhi ne chaha tha khushk honthon se chaahaton
ke gulaab likhun.
Kabhi woh din the ki neend aankhon ki sarhadon
se pare pare thi,
magar main ab jab bhi sona chahun tumhari yaadon
ke khwaab likhun.
Qayadaton ke junoon mein jin ke qadam lahoo se
range hue hain,
ye mere bas mein nahin hai logo ki unko
izzat-maab likhun.
Yehi bahut hai ki inn labbon ko sada se mehroom
kar ke rakh dun,
magar ye kaisi musalahat hai samundaron ko saraab likhun
Woh baat baat mein itna badalta jaata hai
Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,
ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai.
jo taiz dhoop main sar par raha wohi anchal
hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai.
Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai.
Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai. !!
Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen,
magar woh shakhs toh rasta badalta jaata hai.
Ye naam mumkin nahin rahega
Ye naam mumkin nahin rahega,
muqaam mumkin nahin rahega,
ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam
mumkin nahin rahega.
Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam
mumkin nahin rahega.
Tum apni saanson se meri saansein alag
toh karne lage ho lekin,
jo kaam aasaan samajh rahe ho
woh kaam mumkin nahin rahega.
Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.
Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam
mumkin nahin rahega.
Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
duaayen toh khair kaun dega salaam
mumkin nahin rahega .
Ab kis se kahen aur kaun sune
Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua,
iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua.
Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki,
woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua.
Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye,
ek shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zubaani yaad hua.
Woh apne gaaon ki galiyaan thi dil jin mein naachta gaata tha,
ab iss se farq nahin padta nashaad hua
ya shaad hua.
Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein,
aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua.
Meri aankhein salamat hain
Meri aankhein salamat hain,
Mera dil mere seene mein dhadakta hai,
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.
Mohabbat ek wada hai..
Jo sachai ki undekhe kisi saat mein hota hai,
Kisi rahat mein hota hai.
Ye wada shayari ban ke mere jazbon mein dhulta hai.
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.
Mohabbat ek mousam hai,
Ki jis mein khwaab ugte hain toh,
Khwabon ki hari shakhein..
Gulaabon ko bulaati hain,
Unhein khushboo banati hain.
Ye khushboo jab
Humaari khidkiyon mein dastakien de kar guzrti hain
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi…!!
Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,
Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,
ye shehar be-misaal tujhe dekh kar hua.
Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein,
dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.
Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.
Ye hum hu jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.
Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.
Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.
Phir log aa gaye mera maazi kuredne,
phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua. !!
Humain Khabar Hai
Tamam Dukh Hai
Humain Khabar Hai
Tamam Dukh Hai
Yea Zindagi Ko Jo Asmanoon Ki Wasatoon Say
Hazar Sadiyoon Say Mil Raha Hai
Payaam Dukh Hai...!
Tamam Dukh Hai
Jo Car'Zar'ray'zawal'hasti Ko
Dhup Chaoon Ki Ahatoon Say Chal Raha Hai
Nezaam Dukh Hai...!
Humain Khabar Hai
Tamam Dukh Hai
Sehar To Ak Mukhtasaar Sa Gha Hai
Taveel Din Ki Haweliyoon Ke
Jo Rastoon Main Tehaar Gayee Hai
Wo Shaam Dukh Hai
Yea Shaam Dukh Hai...!!
K Is Shay Par Kahee Dinoon Say
Musafiran'nay'abad Ka Asay Firaak asar Rastoon Par
Safar To Khair Aalmiyaa Hai
Qayaam Dukh Hai...!!
Humain Khabar Hai
Tamam Dukh Hai
Humain Khabar Hai
Tamam Dukh Hai
Yea Ass Dukh Hai
Niraas Dukh Hai
Udasiyyoon Ka Libaas Dukh Hai..!!
Yea Tassh'nagi Jo Azaab Ban Kar Tehar Gayee Hai
Badan K Boseedha Sahiloon Par
To Is Ka Ahed'do'dawaam Dukh Hai
yeh shor karti huwe ka sara karam dhuk hai
Hmain Khabar Hai hamain khabar hai
Tamam Dukh Hai...!!
Yea Tum Muhabbat Nibhatey Ho
To Is Muhabbat Ka Naam Dukh Hai..!!
Yea Wesaal Musaam Jo Ak Musal'sal Mughalat Hai
To Is Rafakat Ka Naam Dukh Hai..!!
Or Ehse Wesshtt'Noma Faza Main
Khamosh Rehna Bhi Ak Saza Hai
Mgar Kisi Say Kal'laam Dukh Hai...!!
Hamain Khabar Hai
Hamain Khabar Hai
Tamam Dukh Hai.....!!!
Tamam Dukh Hai.....!!!
Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon
Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,
zara si baat par itn bikharne kyu lagi hoon,
Woh jiss mausam ki ab tak muntazir ankhen thi meri,
ussi mausam se ab main itna darne kyun lagi hoon,
Mujhe nadeeda raston per safar ka shauq bhi tha,
thakan paaon se liptti hai to marne kyun lagi hoon,
Mujhe yeh chaar deewari ki ronaq maar daale gi,
Main ik imkaan thi maanzil ka mittne kyun lagi hoon,
Main jiss ko kam se kam mehsoos karna chahti thi,
Ussi ki baat ko itna samajhne kyun lagi hoon,
Jo mere dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha,
Ab apne haath se khat us ko likhne kyu lagi hoon,
Basan ki raakh tak bhi raston main na bache gi.
Barasti baarishon main yoon sulagne kyu lagi hoon,
Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aesa kya hua hai,
Main pathar thi to akhir ab pighalne kyun lagi hoon.