top of page

Noon Meem Rashid

1/8/1910 to 9/10/1975
Nazar Muhammad Rashid urdu poet known as Noon Meem rashid was born as Nazar Muhammad Janjua at Alipur Chatha District Gujranwala formerly Akalgarh, Punjab, Pakistan
noon has done master's degree in economics from the Government College Lahore.
 He is considered to be the 'father of Modernism' in Urdu Literature. Along with Faiz Ahmed Faiz, he is one of the great progressive poets in Pakistani literature
Initially his poetry appeared to have the influence of John Keats, Robert Browning and Matthew Arnold and he wrote many sonnets on their pattern, but later on he managed to maintain his own style. These were his initial exercises of poetry, which could not last for a longer period of time, and so ultimately he developed and maintained his own style.
He rebelled against the traditional form of the 'ghazal' and became the first major exponent of free verse in Urdu Literature. His first book, 'Mavra', introduced free verse and is technically accomplished and lyrical.

Khabhi hum khubsurat the

Kabhi hum khoobsurat thay

khabi hum khoobsurat - Dua-e-lafz
00:0000:00

Kabhi hum khoobsurat thay,
Kitaabon main bassi khushbu ki maanind,
Saans saakin thi,
Bohat se an-kahe lafzon se tasveeren banate they,

Parindon ke paron pr nazam likh kar,
Door ki jheelon main basne wale logon ko sunaate they,
Jo hum se door thay lekin hamare paas rehte thay,
Naye din ki musaafat jab kiran ke sath aangan main utarti thi,
To hum kehte they, ami titliyon ke par kitne khoobusrat hain,
Humen maathay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke, jugnuon ke des jana hai,
Humen rangon ke jugnu, Roshni ki titliyaan awaz deti hain,
Naye din ki musaafat rang main doobi hawaa ke sath khirrki se bulaati hai,
Humen maatthay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke jugnuon ke des jana hai..

Ae meri hamraqs mujh ko tham le

Ae meri hamraqs

Ae meri hamraqs mujh ko tham le
zindagi se bhag kar aaya hun main
dar se larazan hun kaheen aisa na ho
raqsgah ke chor daravaze se aakar zindagi
dhundh le mujh ko nishan pa le mera
aur jurm-e-aish karte dekh le
ae meri hamraqs mujh ko tham le
raqs ke ye gardishen
ek mubaham aasiya ke daur hain
kaisi sargarmi se gham ko raundata jata hun main
jee mein kehta hun ki han
raqsgah mein zindagi ke jhankane se peshtar
kulfaton ka sangreza ek bhi rahane na paye
ae meri hamraqs mujh ko tham le
zindagi mere liye
ek khuni bhediye se kam nahi
ae hasin-o-ajanabi aurat usi ke dar se main
ho raha hun lamha lamha aur bhi tere qarib
janata hun tu meri jan bhi nahi
tujh se milane ka phir imkan bhi nahi
tu meri aarazuon ke magar tamsil hai
jo rahi mujh se gurezan aj tak
ae meri hamraqs mujh ko tham le
ahad-e-parina ka main insan nahi
bandagi se is dar-o-divar ke
ho chuki hain khvahishen be-soz-o-rang-o-natavan
jism se tere lipat sakata to hun
zindagi par main jhapat sakata nahi
is liye ab tham le
ae hasin-o-ajanabi aurat mujhe ab tham le

Tere Karam Se Khudai Men

Tere karam se khudai

Tere Karam Se Khudai Men Yun To Kya Na Mila
Magar Jo Tu Na Mila Zist Ka Maza Na Mila

Hayat-E-Shauq Ki Ye Garmiyan Kahan Hotin
Nishan-E-Sahil-E-Ulfat Mila Mila Na Mila Wo
Lakh Humse Ba-Andaz-E-Mahramana Mila
Ye KaenatKisi Ka Ghubar-E-Rah Sahi

Dalil-E-Rah Jo Banta Wo Naqsh-E-Pa Na Mila
Kanar-E-Mauj Men Marna To Hum Ko Aata Hai

Khuda Ka Shukr Hamen Nala-E-Rasa Na Mila
Azal Se Fitrat-E-Azad Hi Thi Aawara

Teri Talash Hi Thi Maya-E-Baqa-E-Wajud
Bala Se Hum Ko Sar-E-Manzil-E-Baqa Na Mila

Ye Dil Shahid-E-Fareb-Nigah Ho Na Saka
Ye Kyun Kahen Ki Hamen Koi Rahnuma Na Mila

Jo Be-Sabaat Ho Us Sarkhushi

Jo be-sabaat ho

Jo Be-Sabaat Ho Us Sarkhushi Ko Kya Kijye
Ye Zindagi Hai To Phir Zindagi Ko Kya Kijye

Na Kaam Aae To Farzangi Ko Kya Kijye
Magar Sarisht Ki Aawargi Ko Kya Kijye

Azal Se Pai Hui Tishnagi Ko Kya Kijye
Uthe Na Dil Se To Aisi Hansi Ko Kya Kijye

Visal-E-Dost Se Bhi Kam Na Ho Saki Rashid
Kisi Ko Dekh Ke Ek Mauj Lab Pe Aa To Gai

Nigah-E-Dost Ki Mai-Khangi Ko Kya Kijye
Jahan Gharib Ko Nan-E-Jawin Nahin Milti

Wahan Hakim Ke Dars-E-Khudi Ko Kya Kijye
Ye Kyun Kahen Ki Hamen Koi Rahnuma Na Mila

Hamen To Aapne Soz-E-Alam Hi Bakhsha Tha
Hamare Hisse Ka Ek Jura Bhi Nahin Baqi

Ruka Jo Kaam To Diwangi Hi Kaam Aai
Jo Nur Ban Gai Us Tirgi Ko Kya Kijye

Zindagi Se Darate Ho

Zindagi se darate ho

Zindagi Se Darate Ho

Zindagi se Darate ho
Zindagi to tum bhi ho, zindagi to ham bhi hain
Adami se Darate ho
Adami to tum bhi ho adami to ham bhi hain
Adami zuban bhi hai, adami bayan bhi hai
Is se tum nahi Darate
Harf aur mani ke rishte haye ahan se adami hai wabasta
Adami ke daman se zindagi hai wabasta
Is se tum nahi Darate
Ankahi se Darate ho
Jo abhi ai nahi us ghari se Darate ho
Us ghari ke ane ki ag hi se Darate hi
Pahale bhi to guzare hain
Daur narasai ke, beriya, Khudai ke
Phir bhi ye samajhate ho, hech azarumandi
Ye shab zubanbandi, hai rahe Khudabandi
Tum yahi samajhate ho, tum magar ye kya jano
Lab agar nahi hilate hath jag uthate hain
Hath jag uthate hain rah ka nishan ban kar
Nur ki zuban ban kar
Hath bol uthate hain subah ki azan ban kar
Roshani se Darate ho
Roshani to tum bhi ho, roshani to ham bhi hain
Roshani se Darate ho
Shahar ki fasilon par
Dew ka jo saya tha, pak ho gaya akhir
Azdaham e afsan se fard ki nawa ai
Zat ki sada ai
Rah e shauq may jaise rahrawi Khun lapake
Ik naya junun lapake
Adami chalak uthe
Adami hanse dekho, shahar phir base dekho
Tum abhi se Darate ho
Han abhi to tum bhi ho, han abhi to ham bhi hain
Tum abhi se Darate ho

Hasrat-e-intezar-e-yaar na pooch

Hasrat-e-intezar-e-yaar

Hasrat-e-intezar-e-yaar na pooch
Haaye woh shiddat-e-intezaar na pooch
Rang-e-gulshan dam-e-bahaar na pooch
Wehshat-e-qab-e-b-qaraar
Sadma-e-andaleeb-e-bahaar na pooch
Talkh anjaami-e-bahaar na pooch
Ghair par luft main rahin-e-sitam
Mujh se aayina-e-bazm-e-yaar na pooch
De diya dard mujh ko dil ke iwaaz
Haaye luft-e-sitam-shiaar na pooch
Phir hui yaa-e-mai-kashi taaza
Masti-e-abr-e-nau-bahaar na pooch
Mujh ko dhoka hai taar-e-bistar ka
Na-tavani-e-jism-e-yar na pooch
Main hoon na-aashna-e-vassl hunuuz
Mujh se kaif-e-visal-e-yar na pooch

Ae Meri Zaat Phir Wida Kar

Ae Meri Zaat Phir Wida Kar

Ae Meri Zaat Phir Wida Kar

Mujhay Wida Kar,Ae Meri Zaat Phir Wida Kar
Woh Log Kaya Kahain Gay Ay Meri Zaat
Log Jo Hazar Saal Say Meray Qalaam Ko Taras Gaye Mujhay Wida Kar Main Teray Sath Apnay Aap K Siyah Ghar Main Bohat Panaah Ley Chuka
Main Apnay Hath Paon Dil Ki Aag Main Tapa Chuka Mujhay Wida Kar...!! 
Mujhay Wida Kr
K Aab-O-Gil K Aansou'on Ki Bay-Sadaayi Sun Sakou'n Mujhay Wida Kar...!! 

Hayaat_O_Marg Ka Salaam_E_Rusatayi Sun Saku'nMain Roz_O_Shab K Dast_O_Pa Ki Na_Rasaayi Sun Saku'nMujhay Wida Kar....!!

Mujhay Wida Kar K Bohat Hi Dair..Dair Jesi...Dair Ho Chuki K Ab Ghari Main Beesve'in Sadi Ki Raat Baj Chuki Mujhay Wida Kar...!! Shajar Hajar Woh Janwar Wo Taayiraan-E-Khastapar Hazaar Saal Say Jo Haal Mein  Zameen Par  Makalmey Mein Jama Hain  Wo Kaya Kahein Gey
Main Khudaao'n Ki Tarah  Azal K BeWafaaon Ki Tarah  Phir Apney Ehad-E-Mansabi Say Phir Gaya Hun Mujhay Wida Kar....!! 

Mujhey Wida Kar Ae Meri Zaat Tou Apney Rozano'n K Paas Aa K Dekh Lay K Zehan-E-Na Tamaam Ki Masaahato'n Mein Phir Har Us Ki Khizaa'n K Barg-E-Khushk Youn Bikhar Gaye
K Jaisey Shehar_E_Hast Mein Ye Neisti Ki Gard Ki Pukaar Hoon.....!!

Lahu K Daldalo'on Mein Haadiso'n K Zamhareer Utar Gaye Tu Apney Rauzano'on K Paas Aa K Dekh Ley  K Mashraqi Ufaq Pay Aareefo'on K Khwaab-W-Qahwa Rang Mein Umeed Ka Guzar Nahi K Maghrabi Ufaq Pr
Marg_E_Noor Par Kisi Ki Aankh Tar Nahi...Mujhe Wida Kar.....!! 

Magar Na Apney Zeeno'n Sey Utar K Zeeney Jal Rahey Hain Be-Khushi Ki Aag Mein.. Mujhey Wida Kar...!!

Magar Na Saans Ley K Shayaraan-E-Nau Teri Sada K Seham Sey Dubak Na Jaayein K Tou Sada Rasaalato'n Ka Baar Un Pey Daalti Rahi Ye Baar In Ka Haul Hai Woh Dekh Roshni Ki Doosari Taraf Khyaal Kaagazo'n Ki Baaliyaa'n Baney Hue
Haroof Bhaagtey Hue Tamaam Apney Aap Hi Ko Chaat'tey Hue Jahaan Zamana Tez Tez Gaamzan
Wahin Zamana_Baaz Apney Kheil Mein Magan
Jahaan Pey Baam-O-Dar Lapak Rahey Hain Barisho'n Ki Simat Aarzoo Ki Tishnagi Liye
Wahin Gumaa'n K Faasley Hain Raahzan,Mujhe Widar Kar........!!

K Shehar Ki Faseel K Tamaam Dar Hain Waa Abhi  Kahin Wo Log So na Jaayein Boriyo'n Mein Rait Ki Tarha Mujhe Ae Meri Zaat Apne Aap Say Nikal K Jaaney Dey K Is Zabaan Bureeda Ki Pukaar,Is Ki Haa_Hoou,Gali Gali Sunaayi Dey .....!!

K Shehar-E-Nau K Log Jaantey Hain ( Kaasa-E-Gursangi Liye) K Unk Aab_O_Naan Ki Jhalak Hun Main K Un K Tashtah Baaghicho'on Mein
Apney Waqt K Dhulaaye Haath Say Naye Darakht Ugaaoo'n Ga  Main Un K Seem-O-Zar Say 
Un K Jism -O-Jaan Say Koltaaar Ki Tahein Hataao'on Ga Tamaam Sang Paaraah Haa_E_Baraf Un K Astaa'n Sey Main Uthaaoo'n Ga K Un K Shehar-E-Nau K Raastey Tamaam Band Hain....!! 
Mujhey Wida Kar K Apney Aap Mein Main Itney Khwaab Je Chuka,K Hosla Nahi
Mujhay Wida Kar, K Main Itni Baar Apnay Zakham Aap Si Chuka,K Hosla Nahi...
K Hosla Nahi...!!

Ae meri hamraqs mujh ko tham le

Ae meri humraqs mujh ko

Ae meri hamraqs mujh ko tham le
zindagi se bhag kar aaya hun main
dar se larazan hun kaheen aisa na ho
raqsgah ke chor daravaze se aakar zindagi
dhundh le mujh ko nishan pa le mera
aur jurm-e-aish karte dekh le
ae meri hamraqs mujh ko tham le
raqs ke ye gardishen
ek mubaham aasiya ke daur hain
kaisi sargarmi se gham ko raundata jata hun main
jee mein kehta hun ki han
raqsgah mein zindagi ke jhankane se peshtar
kulfaton ka sangreza ek bhi rahane na paye
ae meri hamraqs mujh ko tham le
zindagi mere liye
ek khuni bhediye se kam nahi
ae hasin-o-ajanabi aurat usi ke dar se main
ho raha hun lamha lamha aur bhi tere qarib
janata hun tu meri jan bhi nahi
tujh se milane ka phir imkan bhi nahi
tu meri aarazuon ke magar tamsil hai
jo rahi mujh se gurezan aj tak
ae meri hamraqs mujh ko tham le
ahad-e-parina ka main insan nahi
bandagi se is dar-o-divar ke
ho chuki hain khvahishen be-soz-o-rang-o-natavan
jism se tere lipat sakata to hun
zindagi par main jhapat sakata nahi
is liye ab tham le
ae hasin-o-ajanabi aurat mujhe ab tham le

bottom of page