top of page

Mohsin Naqvi

5/05/1947-15/01/1996

Syed Mohsin Naqvi,was born on 5 May 1947 in Dera Ghazi Khan, Pakistan. was an   Urdu language poet from Pakistan.His birth name was Ghulam Abbas which he later changed to Syed Ghulam Abbas. He had a Masters degree in Urdu from   University of the Punjab, Lahore. 

Naqvi published several books of poetry during his life time.
Naqvi penned a song titled "Lehron Ki Trha Tuhjy Bikharny Nahi Dain Gy" for Market (1988) for which he won National Film Award.
His poetry about the Karbla is well accepted and recited all over Pakistan.
His poetry didn't include only the love of alif laila type but also he wrote against the 

Rulers of the world .

Urdu poetry books of Naqvi:

Azaab-e-Deed,Khaima-e-Jaan,Berg-eSehra,Band-e-Kbaa, moje idraak,Taloo-e-ashk, Furat-e-fikr,Reza-e-harf, Rakht-e-shab,
Rida-e-khwab Haq-e-Aeliya. 

Being a prominent member of Shia Muslim minority Naqvi openly expressed his religious and political views in his poetry. He was an open critic of sectarian violence which saw a sharp rise throughout 1980's and 1990's in
Pakistan. Unfortunately, Naqvi himself became a victim of same violence.

He was assassinated at his residence in Lahore on January 15,
1996. He was buried in his home town of Dera
Ghazi Khan.

 

Page 2

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya khud se bujha dena

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

 Zulfon Ki Shikan Tooti Hai

Zulfon ki shikan tooti hai

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai

Mere Qaatil Ko Pukaro 

Mere Qaatil ko pukaro

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Sambhala Hai Hosh Jab 

Sambhala hai hosh jab se

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla

Ashk Aankhon Mein 

Ashk Aankhon Mein

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun
Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun
Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun
Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun

Dasht-e-Wafa Mein 

Dasht-e-wafa mein

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha
Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha
Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha
Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

Sakoot-e-Shaam Main 

Sakoot-e-shaam main

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi,

Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi.


Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka,

Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi.


us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu,

Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi.


Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan,

Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi.


Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs,

Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi.


Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya,

Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi.


Mohsin Main Us Se Keh Na Saka Youn Bhi Haal-e-Dil,
Darpeesh Aik Taza Musibat Usey Bhi Thi.

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se 

Zikr-e-shab-e-firaq se

Gum sum hua aawaz ka dariya tha woh ek shakhs,
Patthar bhi nahi ab woh sitara tha jo ek shakhs.

Shayazed woh bhi koi harf-e wafa dhoondh raha tha, 
Chehron ko bade gaur se padhta tha woh ek shakhs.

Sehra ki tarah dair se pyasa tha woh shayad, 
Baadal ki tarah toot ke barsa tha woh ek shakhs.

Aye tezz hawa koi khabar uss ke junoon ki, 
Tanha safar-e shouq pe nikla tha jo ek shakhs.

Ab aakhri sitaron mein kahin naam hai uss ka, 
Ahbaab ki fehrist mein pehla tha jo ek shakhs.

Haathon mein chhupaye hue phirta hai kayi zakham, 
Sheeshe ke khilono se behlta tha jo ek shakhs.

Mudd mudd ke isey dekhna chahein meri aankhein, 
Kuchh door mujhe chhodne aaya tha jo ek shakhs.

Har zehan mein kuchh naqsh-e wafa chhod gya hai, 
Kehne ko bhare shehar mein tanha tha jo ek shakhs.

Munkar hai wohi ab meri pehchaan ka Mohsin, 
Aksar mujhe khat khoon se likhta tha jo ek shakhs..!!

Woh ek shakhs

Woh ek shakhs

Rait par likh kar mera naam 

Rait par likh kar mera naam

Rait par likh kar mera naam mitaaya na karo
Aankhein sach bolti hain piyaar chupaaya na karo

Log har baat ka afsaana bana letey hain
Sab ko haalaat ki roodaad sunaaya na karo

Ye zaruri nahi har shakhs Maseeha hi ho
Piyaar ke zakhm amaanat hain, dikhaaya na karo

Sheher-e-ehsaas mein pathraao bohot hain Mohsin
Dil ko sheeshey ke jharonkon mein sajaaya na karo

Hawa Ka Lams Jo Apne 

Hawa ka lams jo apne

Hawa Ka Lams Jo Apne Kiwar Kholta Hai
Tou Dair Tak Mere Ghar Ka Sakoot Bolta Hai

 


Hum Aise Khak-e-Nasheen Kiya Lubha Saken Ge Usey
Wo Apna Aks Bhi Meezan-e-Zar Mein Tolta Hai

 


Ussi Se Maang Lo Khairat Apne Khuwabon Ki
Wo Jaagti Hui Aankhon Mein Neend Gholta Hai

 


Suna Hai Zalzaley Aatey Hain Arsh Per Mohsin
Keh Begunaah Lahoo Jab Sina Per Bolta Hai

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Aaj saqi sharaab rehnay do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Mohsin Naqvi Poetry
Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do
Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do
Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do
Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do
Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do
Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do….

Maqrooz Ke Bigray Howay 

Maqrooz ke bigray howay

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind
Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind
Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind
Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind
Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind
Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind
Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,
Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,
Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,
Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,
Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,
Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,
Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..

Har ek zakhm ka chehra 

Har ek zakhm ka chehra

Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay 

Tanhayi mein ajeeb zamanay

Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha
Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay
Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha
Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha
Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha
Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha
Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha
Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha
Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin”
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha

Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan

Main ne is taur se chaaha
Mene iss taur se chaha tujhay - dua-e-lafz
00:0000:00

Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan
Jesay mehtaab ko be-ant samandar chaahay
Jesay sooraj ki kiran seep ke dil main utray
Jesay khushbu ko hava rang se hut ker chaahay
Jesay ghunchay khilay mausam se hina maangtay hain Jesay khaabon main kheyaalon ki kamaa.n toot.ti hai 
Mera her khaab meray such ki gavaahi de ga Vus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh saraapa apna
Main ne duniya se alag teri parastish ki hai

Khahish e deed ka mosam kabhi dhundla jo hua
Noch dali hain zamano'n ki naqabain main nay
Teri palkon pe utarti hui subho'n kay liay
Torr dali hain sitaaro ki tanabain main nay

Main nay chaha k teray husn ki gulnar fiza
Meri ghazlon ki qataron se dehekti jaay
Main nay chaha k meray dil kay gulista'n ki bahar
Teri ankhon k gulabo'n se mehekti jaay

Tay to yeh tha k sajata rahay lafzon k kanwal
Meray khamosh khayalon main takallum tera
Raqs karta rahay, phirta rahay khushbu ka khumar
Meri khwahish k jazeeron main tabassum tera

Tu magar ajnabi mahol ki parwar-deh kiran
Meri bujhti hui raaton ko sahar kar na saki
Teri sanso'n main masihaai thi laikin tu bhi
Chara e zakhm e gham e deeda e tar kar na saki

Tujh ko ehsas hi kab hay k kisi dard ka daagh
Aankh say dil main utar jaay to kia hota hay
Tu k seemab tabeat hay tujhay kia maloom
Mausam e hijr theher jaay to kia hota hay

Tu nay us morr pay torra hay taaluq k jahan
Dekh sakta nahi koi bhi palat kar janaa'n
Ab ye aalam hay k ankhain jo khulain gi apni
Yaad aay ga teri deed ka manzar janaa'n

Mujh se mangay ga teray ehd e mohabbat ka hisab
Teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaa'n
Yoon meray dil k barabar tera gham aya hay
Jaisay sheeshay k muqabal koi pathar janaa'n

Jesay mehtaab ko be-ant samandar chaahay
Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan
Main ne is taur se chaaha tujhay aksar jaanaan

Hum ajj Bi Hain Soch Mein Dobay Howy "MOHSIN"

Hum ajj bi hai soch main

Hum aj B Hain Soch Mein Dobay Howy "MOHSIN"
Hum aj B Hain Soch Mein Dobay Howy "MOHSIN"

Khud Se, Kabi Dunya Se Hain Rothy Howy "MOHSIN"

Dene K Liye Usko, Jo Hum Ne Thy Sambhalay

Wo Phool Kitabon Mein, Hain Sokhay Howy "MOHSIN"

Wo Apni Jafaon Mein Kuch Kami To Karain Aaj

Ik Umer Hui Shehar, Wo Choray Howy "MOHSIN"

Hum Ne Ye Kha Tha K Unhein Pyar Hai Hum Se

Hum Aj Bhari Bazm Mein Jhotay Howy "MOHSIN"

YAD Mein Unki Humain Rahat Jo Mili Hai

Hum Aaj Kuch Andar Se Hain Totay Howy "MOHSIN"..

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!

Jab teri dhunn mein jiya

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay...!!

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Bhaat Kiya Kartey Thay ..!!

Sach Samajtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay...!!

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!

Woh Bhi Din Thay Bhulaa Kay Tujhko..!!
Hum Tujey Yaad Kiya Kartey Thay..!!

Jab Teray Dard mein Dil Dhukta Tha...!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay...!!

Bujnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!

Apnay Jazboon Ki Kamn'don Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh'noor Bhi Howa Kartey Thay...!!

main dil pe jabar karunga, 

Main dil pe jabar karunga
Main dil pai Jabar - Dua-e-lafz
00:0000:00

main dil pe jabar karunga, tujhe bhula dun ga
marunga khud bhi tujhe bhi kari saza dunga

ye tareerqi mere ghar ka he kiun muqaddar ho
main tere sheher ke sare diye bujha dunga

hawa ka hath bataonga har tabahi me
harey shajar se parindey main khud ura dunga

wafa karun ga kisi sogawar chehrey se
purani qabar pe kutba naya saja dunga

isi khayal me guzri he sham e dard aksar
ke dard had se barhe ga to muskura dun ga

tu asman ki surat he gir pare ga kabhi
zameen hun main bhi magar tujh ko aasra dun ga

barha rahi hen mere dukh , nishanian teri
main tere khat ,teri tasveer tak jala dunga

boht dinon se mera dil udas he Mohsin
is aainey ko koi aks ab naya dun ga

main dil pe jabar karunga, tujhe bhula dun ga
marunga khud bhi tujhe bhi kari saza dunga

khabi tum bi nazar aao

Khabi tum bhi nazar aoo - Dua-e-lafz
00:0000:00
Khabi tum bhi nazar aao

Kabhi tum b nazar aao
Subha se sham tk hum ko
Bohat se log miltay hain
Nigahoon se guzarte hain
Koi andaaz tum jesa
Koi hum naam tum jesa
Magr tum hi nahin miltay
Boht be-chain phirte hain
Barray betaab rehte hain
Dua ko hath uth’tay hain
Dua main yeh hi kehte hain
Lagi hae bheer logoon ki
Magar iss bheer main MOHSIN
Kabhi tum bhi nazar aao!!!
Kabhi tum bhi nazar aao!!!
Kabhi tum bhi nazar aao!!!

Meri tara kisi se mohabbat
Saza kaatnay ke baad bhi
Meri tarah kisi se mohabbat usse bhi thi.

Meri tarah kisi se mohabbat usse bhi thi.
Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ke deed ka,
Raasta badal ke chalne ki aadat usse bhi thi.
Sunata tha wo bhi sab ko puraani kahaniyan,
Taza rafaqaton ki zaroorat usse bhi thi.
Mujh se bichhad ke shehar mein ghul mil gaya wo shaks,
Halaan ke shehar bhar se raqaabat usse bhi thi.
Wo mujhse badh ke zabt ka aadi tha,jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat usse bhi thi.
Aaye dil na jaan khud ko nakaam ke bad-zauq,
Wo mana nahi par mujhse mohabbat usse bhi thi

Saza kaatnay k bad bhi Mujhay rehaai na mili,

Saza kaatnay k bad bhi Mujhay rehaai na mili,

Dokhy faraib milay Duniya main Sachaai na mili,

Sub ko Maloom tha Meri be Gunnahi ka,

Mujhe Saffai k leye koi Gawai na mili,

Jub DIL ghabraya Duniya k shorro ghull se,

Bahot tallash ki mager Mujhe kahin Tanhaai na mili,

Kya pata kaisay baser kartay hain Zindagi Wo Log,

Jin ko Duniya dakhne k leye benai na mili,

Jis se Wafa kartay thay Apna samaj ker
“MOHSIN”
Us say b elzam mila Koi Achai na mili.

Muddat se jiss ke waastey
Bohat mumkin hain duniya
ab tere yaadse wehshat
Main chahne waalon ko
Muddat se jis k waastey dil beqarar tha

Muddat se jis k waastey dil beqarar tha,
Wo lout kr na aaya magr intzaar tha,
Jo humsafar tha chhor gaya raah main mujhe,
Mai phas gaya bhanwar main or wo darya k paar tha,
Manzil qareeb aai to tum door ho gaye,
Itna tou tum batao k ye kaisa pyar tha?
Deewar bana di ye kis ne dono k darmyan,
Na wo sukon se betha na mujhko qarar tha,
Ye baat umer bhar samajh na paya “mohsin”
Kiun dil mera us wafadr ka talbgaar tha...!

Bohat Mumkin He Dunya 

Bohat Mumkin He Dunya Cheen Le Mujh Se Teri Yaaden
Mazeed Ab Me Tere Gham Ki Hifazat Kar Nahi Sakta
Mujhe Azaad Kar Toq-E-Aseeri Bakhshne Wale
Me Zanjiron Me Elan-E-Bagawat Kar Nahi Sakta
Meri Mushkil Ye He K Mujh Ko Adakari Nahi Aati Mohsin
Haqiqi Insan Hn Rasmi Mohabbat Kar Nahi Sakta…!

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko,
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko,
Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon,
Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko,
Aesa badla hoon tere shehr ka paani pee kar,
jhoot boloon to nadamat nahin hoti mujh ko,
Hai amaanat main khayanat so kisi ki khatir,
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,
Itna masroof hoon jeene ki havas main mohsin,
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..

Main chahne waalon ko mukhatib nahi karta

'Main chahne waalon ko mukhatib nahi karta,
Aur tark-e-ta'aluq ki main wazahat nahi karta,

Main apni jafaon Pe naadim nahi hota,
Main apni
wafaon ki tijarat nahi
karta,

Khushbu kisi tash'heer ki mohtaaj nahi
hoti,
Sacha hoon magar apni wakaalat nahi karta,

Ehsas ki sooli pe latak jata hoon aksar,
Main jabr-e-musalsal ki shikayat nahi karta,

Main azmat-e-insan ka qayel to hoon
"*MOHSIN*"
Lekin kabhi bandon ki Ebadat nahi karta'

Qissay meri ulfat ke
Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare

Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare"
Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare"

Bus Is Liye Har Kaam Adhoora Hi Parra Hai"
Khaadim Bhi Meri Qaum K Makhdoom Hain Saare"

Ab kon Mere Paaon Ki Zanjeer Ko Kholay"
Haakim Meri Basti K Bhi Mehkoom Hain Saare"

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Houn Ab Tak"
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare"

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Ik diya dil main jalana
Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena

Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena
Yaad karna bhi usay roz, bhula bhi dena
Kya kahun meri chaahat hai, ya nafrat uski
Naam likhna bhi mera, likh ke mita bhi dena
Phir na milnay ko bicharta hoon tujhse lekin
Mud ke dekhun to palatnay ki dua bhi dena
Khat bhi likhna usay maayoos bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena
Mujh ko rasmon ka takaluf bhi gawaara lekin
Jee main aaye to ye deewar gira bhi dena
Us se mansoob bhi kar lena puraanay qissay
Us ke baalon main naya phool saja bhi dena
Soorat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna Mohsin
Apne honay se na honay ka pata bhi dena

Patton ki tareh khud se bikhartay hue kuch log
patton ki tarah khud se

Patton ki tareh khud se bikhartay hue kuch log....
Aapas main bhi milte hain to darte hue kuch log...
Yeh dil bhi ajab aaina-khana hai ke is main...
Aabad hain her lamha sanwartay hue kuch log...
Sehraaon ki wusaat pe anab tanz hain...
“MOHSIN”
Charhtay hue dariya main utartay hue kuch log....

bottom of page