Mirza Ghalib
27/12/1797 –15/02/1869
Mirza asadullah beg khan pen-name Ghalib was born on the 27 December 1797
kala mahal,agrabad,Mughal empire Ghalib was a great Urdu and Persian poet he wrote several ghazals during his life, which have since been interpreted and sung in many
different ways by different people. He isconsidered to be the most popular and
influential poet of the Urdu language. Mirza Ghalib become orphaned when he was just 5 years old. He lived with his uncle for 4 years,when his uncle too died.
Not only Urdu poetry but the prose is also ndebted to Mirza Ghalib. His letters gave
foundation to the easy and popular Urdu. Before Ghalib, letter writing in Urdu washighly ornamental.
Ghalib always lived his life lacking money. After 1857.He went to the Nawab of Rampur, who promised him Rupees 200 if he lived in Rampur and Rs. 100 if he lived anywhere else. His pension was resumed 3 years after that, but all that money was used
up for paying old debts. Ghalib died in 1869.
Aaina kyun na dun
aainaa kyun na dun ke tamaashaa kahen jise
aisa kahaan se laun ke tujhasa kahen jise
hasarat ne laa rakha teri bazm-e-Khayal mein
guladasta-e-nigah suveda kahen jise
phunka hai kisane goshe muhabbat mein ai Khuda
afasun-e-intazaar tamana kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-Garibi se Daliye
vo ek musht-e-Khaak ke sahara kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan
shauq-e-inan guse khata dariyaa kahen jise
darakar hai shiguftan-e-gul haaye aish ko
sub_h-e-bahar panbaa-e-mina kahen jise
"Ghalib" bura na maan jo vaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ke sab acha kahen jise
Aamad-e-Khat se huaa hai sard
Aamad-e-Khat se huaa hai sard jo bazaar-e-dost
Duud-e-shama-e-kushtaa tha shaayad Khat-e-rukhsaar-e-dost
Ai dil naqabat andesh zabt-e-shauq kar
Kaun la sakata hai taab-e-jalva-e-didar-e-dost
Khana viransaazii-e-hairat tamashaa kijiye
suurat-e-naqsh-e-qadam huu.N raftaa-e-raftaar-e-dost
ishq mein bedad-e-rashq-e-Gair ne mara mujhe
kushtaa-e-dushman hunakhir garche tha biimar-e-dost
chashm-e-may raushan ke us bedard ka dil shaad hai
dida-e-pur-Khun hamara sagar-e-sar-shaar-e-dost
aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai
dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-khumaar nahin hai
giriyaa nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahin hai
ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushshaq ke gubaar nahin hai
dil se uthaa lutf-e-jalvaa haye ma_ani
gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahin hai
qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai
tu ne qasam maikashi ki khaai hai ‘Ghalib’
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai tirii zulf ke sar hone tak
daam-e har mauj mein hai halqah-e sad kaam-e nihang
dekhein kyaa guzre hai qatre pah guhar hone tak
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuun khun-e jigar hone tak
ham ne maanaa kih tagaaful na karoge lekin
khaak ho jaaeinge ham tum ko khabar hone tak
partav-e khur se hai shabnam ko fanaa ki taaliim
main bhii huun ek inaayat kii nazar hone tak
yak nazar besh nahiin fursat-e hastii gaafil
garmii-e bazm hai ik raqs-e sharar hone tak
gam-e hastii kaa asad kis se ho juz marg ilaaj
shamma har rang mein jaltii hai sahar hone tak
Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Nahin Raha
Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Nahin Raha
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Nahin Raha
Jaata Hoon Daagh-E-Hasarat-E-Hasti Liye Hue
Hoon Shamma'a_Kushta Darkhur-E-Mehfil Nahin Raha
Marne Ki Ai Dil Aur Hi Tadabeer Kar Ki Main
Shaayaan-E-Dast-O-Baazu-E-Qaatil Nahin Rahaa
Bararoo-E-Shash Jihat Dar-E-Aaina_Baaz Hai
Yaan Imtiaz-E-Naakis-O-Qaamil Nahin Rahaa
Waa Kar Diye Hain Shauq Ne Band-E-Naqaab-E-Husn
Ghair-Az Nigaah Ab Koi Haayal Nahin Raha
Go Main Raha, Rahi Na Sitam Haaye Rozgaar
Lekin Tere Khayaal Se Ghaafil Nahin Raha
Dil Se Hawa-E-Kisht-E-Wafa Mit Gayi Ki Waan
Haasil Siwaay Hasrat-E-Haasil Nahin Raha
Bedaad-E-Ishq Se Nahin Darta Magar 'Asad'
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Nahin Raha
Naqsh-E-Faryadi Hai Kiski
Naqsh-E-Faryadi Hai Kiski Shokhi-E-Tehreer Ka
Kaghazi Hai Pairahan Har Paikar-E-Tasveer Ka
Kaad-Kaad-E-Sakht Jani Hay Tanhai Na Pochh
Subh Karna Shaam Ka, Lana Hai Jo-E-Sheer Ka
Jazba-E-Be-Ikhtiyaar-E-Shouq Dekha Chahiye
Sinaa-E Shamsheer Se Baahar Hai Dum Shamsheer Ka
Aagahi Daam-E-Shunidan Jis Qadar Chahe Bichhaye
Mudaa Anqa Hai Apne Aalam-E-Taqreer Ka
Bas Ke Hon Ghalib! Aseeri Mein Bhi Aatish Zer-E-Pa
Muu-E Aatish Didah Hai Halqah Meri Zanjeer Ka