Mir Taqi Mir
02/1722-21 -21/09/1810
Mir muhammad taqi known us Mir Taqi Mir was born on february 1722 in Agra,Oudh State,Mughal India.
Mir was known as a great and a representative of Delhi School of Urdu poetry.In Agra, when the father of Mir died, he moved to Delhi in order to complete his education and also gain financial patronage. It was his time in Delhi in which he wrote most of his masterpieces and major compilation. As far as the literary career of Mir is concerned, his complete work is known as Kulliaat, which contains six Diwans, that have over thirteen thousand verses. These verses are in almost all the poetic forms in Urdu such as satire, mustezaad, qasidad, rubai, masnav, ghazal and so on. However, it is the Ghazal of Urdu for which Mir is most known in Urdu literature.
Some scholars consider two of Mir's masnavis (long narrative poems rhymed in couplets), Mu'amlat-e-ishq and Khwab o khyal-e Mir.
Mir migrated to Lucknow in 1782 and remained there for the remainder of his life.
In his last years Mir was very isolated. His health failed, and the untimely deaths of his daughter, son and wife caused him great distress.
He died, of a purgative overdose, on Friday, 21 September 1810.[1] The marker of his burial place was removed in modern times when a railway was built over his grave
Faqiraana Aae Sadaa Kar Chale
Faqiraana Aae Sadaa Kar Chale
Miyaan Khush Raho Ham Dua Kar Chale
Jo Tujh Bin Na Jeene Ko Kahte The Ham
So Is Ahd Ko Ab Wafa Kar Chale
Koi Naumidana Karte Nigah
So Tum Ham Se Munh Bhi Chhipa Kar Chale
Bahut Aarzoo Thi Gali Ki Teri
So Yaan Se Lahu Mein Naha Kar Chale
Dikhai Diye Yun Ke Bekhud Kiya
Hamen Aap Se Bhi Juda Kar Chale
Jabin Sijda Karte Hi Karte Gayi
Haq-E-Bandgi Ham Ada Kar Chale
Prastash Ki Yaan Taeen Ke Ai But Tujhe
Nazr Mein Sabhon Ki Khuda Kar Chale
Gayi Umr Dar Band-E-Fikr-E-Ghazal
So Is Fan Ko Aisa Bara Kar Chale
Kahen Kya Jo Puchhe Koi Ham Se Mir
Jahaan Mein Tum Ae The Kya Kar Chale
Tum Nahi Fitana-Saz Sach Sahab
Tum Nahi Fitana-Saz Sach Sahab
Shahar Pur-Shor is Gulam Se Hai
Koi Tujh Sa Bhi Kash Tujh Ko Mile
Mudda Hum Ko Intaqam Se Hai
Sher Mere Hain Sab Khvas Pasand
Par Mujhe Guftagu Awam Se Hai
Sahal Hai ‘Meer’ Ka Samajhana Kya
Har Sukhan Usaka Ik Maqam Se Hai
Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq
Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq
Jaan Ka Rog Hai Bala Hai Ishq
Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq
Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq
Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Taeen
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq
Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq
Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka
Tu Kahe Jins-E-Narawa Hai Ishq
Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq
Aae hain 'miir' kaafir ho kar khudaa ke ghar mein
Aae hain 'miir' kaafir ho kar khudaa ke ghar mein
peshaanii par hai qashqa zunnaar hai kamar mein
nazuk bada hai kitnaa vo shokh-chashm dilbar
jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar mein
seene main teer us ke tute hain be-nihaayat
surakh par gaye hain saare mere jigar mein
ainda shaam ko ham royaa kudhaa karenge
mutlaq asar na dekhaa naalidan-e-sahar mein
be sudh para rahu us mast-e naaz bin main
ataa hai hosh mujh ko ab to pahr pahr mein
sirat se guftuguu hai kya motabar hai surat
hai ek sukhi ladki jo buu na ho agar main
ham-saaya-e-mughaan mein muddat se huun chunaache
ik shira-khaane ki hai divaar mere ghar mein
ab subh o shaam shayad girye pe rang aave
rahtaa hai kuch jhamakta khunaab chashm-e-tar mein
aalam mein aab-o-gil ke kyun kar nibaah hogaa
asbaab gir para hai sara miraa safar mein
Agg the ibitda-e-ishq mein ham
Agg the ibitda-e-ishq mein ham
ab jo hain khaak intiha hai yeh
Ab to jaate hai but-kade se mir
phir milenge agar khudda laaya
chashm ho to aina-khana hai dahr
munh nazar aata hai divaron ke beech
Dikhai diye yhun ki be-khud kiya
Hamen app se bhi judda kar chale
Hamare aag tira jab kisu ne naam liya
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liya
Hoga kisi divar ke saaey mein padha mir
kya kaam mohabbat se us aram-talab ko
Ishq ik mir bhari patthar hai
kab yeh tujh na-tavan se uttha hai
jam gaya khoon kaf-e-qatil pe tira mir zi-bas
un ne roh roh diya kal haath dhote dhote
Kin neendon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya
Le saans bhi ahista ki nazuk hai bahut kaam
afaq ki is kargah-e-shishagari ka
mat sahl hamen jaano phirta hai falak barson
tab khaak ke parde se insaan nikalte hain
Mir ham mil ke bahut khush huwe tum se pyare
is kharabe main miri jaan tum abad raho
mir ke diin-o-mazhab ko ab puchte kya ho un ne to
qashqa khincha dair mein baitha kab ka tark islam kiya
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamam umr main nakamiyon se kaam liya
nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhudi ik gulab ki si hai
patta patta butha butha haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane baag to saara jaane hai
raah-e-duur-e-ishq mein rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
sirhane mir ke ahista bolo
abhi tak rote rote so gaya hai
us ke farogosh-e-husn se jhamke hai sab mein noor
sham-e-haram ho ya o diya somnat ka
Yaad us ki itni khoob nahin mir baaz aa
nadan phir vo ji se bhulaya na jayega
Ashk aankhon mein kab nahi aata
lahu aata hai jab nahi aata
hosh jata nahi raha lekin
jab wo aata hai tab nahi aata
dil se rukhasat hui koi khvahish
giriya kuch be sabab nahi aata
ishq ka hausla hai shart varna
bat ka kis ko dhab nahi aata
jee mein kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahi aa
door baita gubhaar mir o se
ishq bin yeh azabb yeh ataa
ashk aankhon mein kab nahin aata
lahu aata hai jab nahi aata
ashk aankhon mein kab nahi aata
Ashk aankhon mein kab nahi aata
Seeeny Main Khanjar Ki Nook Chaboti Hain
"Seeeny Main Khanjar Ki Nook Chaboti Hain
Kuch Yadain B Kitni Zalim Hoti Hain"
"Bachpan Main Yeh Baat Mujhy Maloom Na Thi
Main Jab Hansta Hun Yeh Ankhain Roti Hain"
"Dil Main A Kar Tum Mat Gin'nay Lagna
Mery Andar Kitni Qabrain Soti Hain"
"Mera Haal Khuda He Behtar Jany
Mujh Par Din Hansta Hai Ratain Roti Hain"
"Jitny Taary Aasman Par Sab Tery
Bol Sumandar Tery Andar Kitny Moti Hain"
"Tum chat Par Jab B Zulfain Bikhraty Ho
Baal Baal Main Ratain Os Parti Hain"
"Sab Ko Main Tera In-Aam Samjhta Hun
Raahon Main Jo B Takleefain Hoti Hain"