top of page

Kazmi Jarwali

Kazmi jarwali was born 15th june 1955 in jarwal, lucknow city,India.
He completed his education in lucknow and and his masters degree in arab culture at the lucknow university.

In 1977 he was awarded gold medal. His writing career began at early age his poetry has been appreciated by fans and writers.

He is also known as shair-e-fikr.

He has written several collections of Urdu poetry and participated in several mushairas.

He has received awards for his literary work.

Neeli Jheel

Kitni wo shaam khoobsurat thi.....Pass ek jheel neelay paani ki
Ja baja jis mein tairtey thay kanwal........
Thi mahek itr zaafraani ki.......Thay hansee ped aur ghani shaakhein.........Neelay paani pe ungliyaan rakkhay.........Jaise likhta ho koi afsana.........Zehn o dil mein nishaaniyan rakkhay...........Thandi Thandi Hawa ki sargoshi.......Pattay pattay mein pyar kay naghmay.......Aur anjaan muztarab saaye..........Chhedtay intezaar kay naghmay........

Thin kahin aahaatein parindon ki.......Ek dujey se hasrton ka hisaabMar chukey Jaise saare andeshay.........Ab nahin koi khauf ka gardaab.........Kaash ye silsila sada rahta........Yunhi rahtey ye chain kay lamhaat........Haan magar waqt ko qaraar kahan........
Hai kahan gham se aadmi ko najaat.......
Aai awaaaz ek dhamakayki..........Amn ka taar taar toot gaya.......
Aisi chhai fazaon mein dahshat........Haath mein aa kay haath chhuth gaya........
Phir palat kar wo shaam aayegi......
Dosto phir se intezaar karo.........Phir isi jheel par mileingay hum........
Tum mera phir se aitabaar karo!!!!!

Neeli Jheel
Ankho mai ashk banke hamesha rahunga mai

Ankho mai ashk banke hamesha rahunga mai,
Tashna-labi ke baad bhi dariya rahunga mai.

Sach bol to raha hun magar yeh bhi hai pata,
Duniya mai iske baad akela rahunga mai,

Phoolo se maine seekha hai jeene ka falsafa,
Kitna bhi toot jaao Mehakta rahoonga mai,

Sooraj badan mai dhoop ke neze utaar de,
Phir bhi Mujhe Yaqeen hai saaya rahoonga mai.

Jab tak na aasman banegee meri zameen,
Zakhmo se choor khaak pe baitha rahoonga mai.

Toofaan mere ghar ke bujha de sabhi Charagh,
Itna mai jaanta hun, ujaala rahoonga mai.

KAZIM rahengi sirf adhoori kahaniya,
Zinda na tum rahoge na zinda rahoonga mai
.

Ankhon mein ashk
Kiya pata teraa Fal-safa kiya hai

Kiya pata teraa Fal-safa kiya hai, Imtiha'n kya hai aur saza kya hai.

Jab ke tu hai nufoos ka nabbaz, Phir ye hangama-e-dua kya hai.

Qatra-qatra hai kis liye dariya, Zindigani zara-zara kya hai.

Jiske pal bhar mai bujh gaye hai charagh,

Poochhiye uss se yeh huwa kya hai. 

Ho chuka khatm kab ka afsana, Aur sun-ne ko ab bacha kya hai.

Apni taqdeer khud banata hun, Mai nahin jaanta likha kya hai.

Zarre zarre mein hai koyi naghma, Dono Aalam mein be nawa kya hai.

Ghaur kar har sukoon hai tujh mai, Khud se baher tu dhundta kya hai.

Meer-o-Ghalib si guftugu Kazim, Tujh ko is daur mai huwa kya hai. !!!

Kiya pata teraa fal-safa

Yaha'n par dafn hai sooraj bata do,
Andhero qabr par sham'me jala do.
Qareeb ek karwan-e-tashnagi hai,
Hawao ret mei'n dariya chhipa do.
Hai saara dasht sannate ki zad mai,
Darakhto'n se parindo'n ko udaa do.
Hawa mauj-e-tabassum la rahi hai,
Hato peeche, pahaado raasta do.
Falak walo mere hisse ke taare,
Andheri rahguzaro'n par gira do.
Hawa ke pao'n ki Aahat na hogi,
Sabhi sookhe huye patte jala do.
Ghatao'n ke gale sookhe huye hai'n
Samander ko mere Aansoo pila do.
Agar shauq-e-jamal-e-rang-o-bu hai,
Mile jab phool koyi sar jhuka do. !
!!

Yaha'n par dafn hai sooraj bata do
Yaha'n par dafn hai sooraj
bottom of page