top of page

Jaun Elia

14-12-1931 - 8-11-2002

John Elia was born on December 14, 1931 in an illustrious family of Amroha, Uttar Pradesh. He was the youngest of hissiblings. His father, Allama Shafiq Hasan Elia, was deeplyinvolved in artliterature, Joan Elia was a Pakistani Urdu poet,philosopher,
biographer and scholar. He was widely praised for his unique style of writing.

He was the brother of renowned journalistand psychoanalyst Rais Amrohvi and journalist and world-renowned philosopher Syed Muhammad Taqi, and husband of
famous columnist Zahida Hina. He was a man of letters, wellversed in Arabic, English, Persian, Sanskrit and Hebrew.literary environment modeled him along the same lines, andhe wrote his first Urdu couplet when he was just 8.His first poetry collection Shayad (an Urdu word which means"Maybe") was published in 1991,
when he was 60.

The poetrypresented in this collection added John Elia name in the Urdu literary canon forever. The second collection of his poetry Ya'ani was published
posthumously in 2003 . Afterwords John Elia trustworthycompanion Khalid Ansari has compiled and published his three consecutive collections, “Gumaan” (an Urdu word which means"Illusion") in 2004, “Lekin” 2006 and “Goya” 2008, one more
collection ‘Kyon’ is now under processing. He also edited Urdu literary magazine "Insha", where he came to know of another prolific Urdu writer Zahida Hina, and
finally married her. John Elia and Zahida were divorced in mid 1980s. This left John Elia devastated and alone. He became alcoholic and depressed. 

John Elia died after a protracted illness on November 8,2002 in Karachi.

Aakhri baar aaah kar li hai

Aakhri baar aah kar li

Aakhri baar aaah kar li hai,
Maine khud se nibaah kar li hai,
Apne sar ik balaa to leni thi,
Maine woh zulff apne sar li hai,
Din bhalaa kis tarah guzaro ge,
Vasl ki shab bhi ab guzaar li hai,
Jaan-nisaaron per vaar kya karna,
Maine bass hat me sipar li hai,
Jo bhi maango udhaar doon ga main,
Uss gali me dukaan kar li hai,
Mera khashkol kab se khaali hai,
Maine iss me sharaab bhar li hai,
Aur to kuch nahin kiya mene,
Apni haalat tabaah kar li hai,
Shaikh aaya tha mohtasib ko liye,
Maine bhi un ki woh khabar li hai..

Abhi farmaan aya hai wahan se

Abhi farmaan aya hai

Abhi farmaan aya hai wahan se,
Ke hatt jaaon main apne darmiyaan se,
Yahan jo hai tanaffus hi main gum hai,
Parinde urr rahe hian shakh-e-jaan se,
Daricha baaz hai yadon ka aur main,
Havaa sunta hoon peirron ki zubaan se,
Zamana tha woh dil ki zindagi ka,
Teri furqat ka din laaun kahan se,
Tha ab tak maarka bahar ka darpesh,
Abhi to ghar bhi jaana hai yahan se,
Falaaa’n se thi ghazal behtar falaaa’n ki,
Falaaa’n ke zakhm ache they falaaa’n se,
Khabar kya doon main shehr-e-raftagaan ki,
Koi lautte bhi shehr-e-raftagan se,
Yehi anjaam kya tujh ko havass tha,
Koi puche to meer-e-daastan se..

Kaisa dil aur uske kya gham jee

Kaisa dil aur uske

Kaisa dil aur uske kya gham jee,
Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee,
Kya bhalaa aasteen aur daaman,
Kab se palkein bhi ab nahi nam jee,
Ussey ab koi baat kya kerna,
Khud se bhi baat kije kam-kam jee,
Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,
Ab hai darham jee aur barham jee,
Baat be-tour ho gayi shayad,
Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee,
Haar duniya se maan le shayad,
Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee,
Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,
Hai shikan is shikam ki zaalam jee,
Kaise aakhir na rang khele’n hum,
Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee,
Hai kharaaba yeh husniya apna,
Roz majlis hai aur maatam jee,
Waqt dam bhar ka khel hai usme,
Besh az besh hai, kam az kam jee,
Hai azal se abad talak ka hisaab,
Aur bus ek pal hai peham jee,
Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,
Is gali mein nahi rahe kham jee,
Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,
Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…

Mujh Ko Begaana Kar Gaye

Mujh ko begaana kar

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga
Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat
Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din
Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal
Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din
Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed
Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din
Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye “Dua” ! Mar Gaye Mere Din

Tujh se gilay karoon

Tujh se gilay karoon

Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main,
Ik bar apne aap mein aaon to aaon main,
Dil se sitam ki be’saro kaari hawaa ko hai,
Woh gard urraa rahi hai ke khud ko ganwaaon main,
Naadim hoon woh ke jis pe nadaamat bhi ab nahin,
Woh kaam hain ke apni judai kamaaon main,
Kyon’kar ho apne khawab ki aankhon mein wapsi,
Kis taur apne dil ke zamamon mein jaaon main,
Ik rang si kamaa’n ho khushbu sa ik teer,
Marham si ik wardaat ho aur zakham khaon main,
Shikwa sa aik dareecha ho, nasha sa ik sakoot,
Ho shaam aik sharab si aur larr’khraon main,
Phir is gali se apna guzar chahta hai dil,
Ab is gali ko kaunsi basti se laaon main..

Kisi se koi khafaa bhi

Kisis se koi khafaa bhi

Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,
Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,
Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,
Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,
Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,
Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,
Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,
Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to..

Ajab ek shor sa barpa hai kahin

Ajab ek shor sa barpa

Ajab ek shor sa barpa hai kahin,
Koi khaamosh ho gaya hai kahin.

Hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh,
Ab se pehle bhi ho chuka hai kahin.

Jo yahan se kahin na jaata tha,
Woh yahan se chala gaya hai kahin.

Tujh ko kya ho gaya ki cheezon ko,
Kahin rakhta hai, dhundhta hai kahin.

Tu mujhe dhoondh, main tujhe dhoondhun,
Koi hum mein se reh gaya hai kahin.

Isi kamre se ho ke koi widaa,
Isi kamre mein chhup gaya hai kahin . 

Mujhko aap apna aap dijiyega

Mujhko aap apna app

Mujhko aap apna aap dijiyega,
aur kuchh bhi na mujh se lijiyega.

Aap bemisl, bemisaal hun main,
mujh siwa aap kis pe rijhiyega.

Aap jo hain azal se hi benaam,
naam mera kabhi toh lijiyega.

Aap bas mujh mein hi toh hain, so aap
mera behad khyaal kijiyega.

Hai agar waaqai sharaab haraam,
aap hothon se mere pijiyega.

Intezaari hun apna main din raat,
ab mujhe aap bhej dijiyega.

Aap mujh ko bahut pasand aaye,
aap meri kameez sijiyega.

Dil ke rishte hain khoon, jhooth ki sach,
ye muamma kabhi na boojhiyega.

Hai mere jism-o jaan ka maazi kya ?
mujh se bas ye kabhi na poochiyega.

Mujh se meri kamaai ka sar-e shaam,
paai paai hisaab lijiyega.

Zindagi kya hai, ik hunar karna
so qareene se zehar pijiyega.

Main jo hun, ‘Jaun Eliya’ hun janaab,
iska behad lihaaz kijiyega. !!

Aye wasl kuchh yahan na hua

Aye wasl kuch yaha

Aye wasl kuchh yahan na hua kuchh nahi hua,
uss jism ki main jaan na hua kuchh nahi hua.

Tu aaj mere ghar mein jo mehmaan hai Eid hai,
tu ghar ka mezbaan na hua kuchh na hua.

Kholi toh hai zabaan magar iss ki kya bisaat,
main zehar ki dukaan na hua kuchh nahi hua.

Kya ek kaarobaar tha woh rabt-e jism-o jaan,
koi bhi raigaan* na hua kuchh nahi hua.

Kitna jala hua hun bas ab kya bataaun main,
aalam dhuaan – dhuaan na hua kuchh nahi hua.

Dekha tha jab ki pehle – pehal usne aaina,
uss waqt main wahan na hua kuchh nahi hua.

Woh ek jamaal jalwa-fishan hai zameen – zameen,
main ta-ba-aasmaan na hua kuchh nahi hua.

Maine bas ek nighaah mein tayy kar liya tujhe,
tu rang-e bekaraan na hua kuchh nahi hua.

Ghum ho ki jaan tu meri aaghosh-e zaat mein,
benaam-o nishaan na hua kuchh nahi hua.

Har koi darmiyaan hai aye maajra-farosh,
main apne darmiyaan na hua kuchh nahi hua. !!

Mar Mita Hoon Khayal Par Apne

Mar mita hoon khayal

Mar Mita Hoon Khayal Par Apne, Wajad Aata Hai Haal Par Apne

Abhi Mat Dijiyo Jawab Ke Main, Jhoom To Loo'n Sawal Par Apne

Umar Bhar Apni Aarzoo Ki Hai, Mar Na Jaon Wisal Par Apne

Ik Ataa Hai Meri Hawas Nigahi, Naaz Kar Khad-O-Khaal Par
Apne

Apna Shauq Aik Haila-Saaz, So Ab, Shak Hai Us Ko Jamal Par
Apne

Janey Is Dam Wo Kis Ka Mumkin Ho, Behas Mat Kar, Mohal Par
Apne

Tu Bhi Aakhir Kamal Ko Pohancha, Mast Hoon Main Zawal Par
Apne

Khud Pe Nadim Hoon Jaun Yaani Main, In Dino Hoon, Kamal Par
Apne

Bas Yoon Hi Mera Gaal Rakhnay Dey, Meri Jaan, Aaj Gaal Par
Apne

Koi Halat To Aitbaar Mein Hai, Khush Hua Hoon, Malaal Par
Apne.

Haalat-E-Haal Ke Sabab

Haalat-e-haal ke

Haalat-E-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi
Shauq Mein Kuch Nahin Gaya, Shauq Ki Zindagi Gayi

Tera Firaaq Jaan-E-Jaan, Aish Tha Kya Mere Liye??
Ya’ni Tere Firaaq Mein,Khoob Sharaab Pee Gayi

Tere Wisaal Ke Liye,Apne Kamaal Ke Liye
Haalat-E-Dil Ke! Thi Kharaab, Aur Kharaab Ki Gayi

Ek Hi Haadisa To Hai, Aur Woh Yeh Ke Aaj Tak
Baat Nahin Kahi Gayi, Baat Nahin Suni Gayi

Ba’d Bhi Tere Jaan-E-Jaan, Dil Mein Raha Ajab Samaan
Yaad Rahi Teri Yahaan, Phir Teri Yaad Bhi Gayi

Us Ke Badan Ko Dee Numoo,

Hum Ne Sukhan Mein Aur Phir
Us Ke Badan Ke Waaste, Ek Qaba Bhi See Gayi

Meena-Ba-Meena, Mai-Ba-Mai, Jam-Ba-Jaam
Naaf Peyaale Ki Tere, Yaad Ajab Sahi Gayi

Kehni Hai Mujh Ko Ek Baat, Aap Se, Ya’ni Aap Se
Aap Ke Shehr-E-Wasl Mein, Lazzat-E-Hijr Bhi Gayi

Sehn-E-Khayaal-E-Yaar Mein,

Ki Na Basar Shab-E-Firaaq
Jab Se Woh Chaand Na Gaya,

Jab Sey Woh Chaandni Gayi

Be-qaraari si be-qaraari hai

Be-qaraari si-qarqqari hai

Be-qaraari si be-qaraari hai,
Vasl hai aur firaaq taari hai,

Jo guzaari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzaari hai,

Nagharey kya huye ke logon pr,
Apna saaya bhi ab to bhaari hai,

Bin tumhare kabhi nahin aayi,
Kya meri neend bhi tumhari hai,

Aap main kaise aaaon main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai,

Uss se kahiyo ke dil ki galiyon main,
Raat din teri intezaari hai,

Hijr ho ya visaal ho kuch ho,
Hum hain aur us ki yadgaari hai,

Ik mehak samt-e-dil se aayi thi,
Main yeh samjhaa teri savaari hai,

Haadson ka hisaab hai apna,
Warna har aaan sab ki baari hai,

Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umar bhar ki umeed-vaari hai..

Zindaaniyaan-E-Shaam-O-Sahar Khairiyat Sey Hain 

Zindaniyan e shaam o sahar

Zindaaniyaan-E-Shaam-O-Sahar Khairiyat Sey Hain 
Har Lamha Jee Rahey Hain Magar Khairiyat Sey Hain 

Shehr-E-Yaqeen Mein Ab Koi Dam-Kham Nahin Raha
Dasht-E-Gumaan Ke Khaak Basar Khairiyat Sey Hain

Aakhir Hai Kaun Jo Kisi Pal Keh Sakey Yeh Baat
Allaah Aur Tamaam Bashar Khairiyat Sey Hain

Hai Apney Apney Taur Pa Har Cheez Iss Ghari
Mizgaan-E-Khushk-O-Daaman-E-Tar Khairiyat Sey Hain

Ab Faislon Ka Kam-Nazaron Par Madaar Hai
Yani Tamaam Ahl-E-Nazar Khairiyat Sey Hain 

Pairon Sey Aablon Ka Wohi Hai Mua’amla
Saudaaiyaan-E-Haal Ke Sar Khairiyat Sey Hain 

Hum Jin Gharon Ko Chhor Ke Aaye They Naa-Gahaan
Shikwe Ki Baat Hai,Wo Agar Khairiyat Sey Hain 

Loo Chal Rahi Hai,Mahw Hai Apne Mein Dopahar
Khaak Ur Rahi Hai Aur Khandar Khairiyat Sey Hain

Hum Ahl-E-Shehr Apne Jawaanon Ke Darmyaan
‘Jaun’ ! Ek Mo’jiza Hai Agar Khairiyat Sey Hain 

Barbaad Ho Chuka Hai Hunar Ek Hunar Ke Saath
Aur Apne Saahibaan-E-Hunar Khairiyat Sey Hain 

Shukr-E-Khuda Shaheed Huey Ahl-E-Haq Tamaam
Bargustawaan-E-Teigh-O-Tabar Khairiyat Sey Hain 

Ab Us Ka Qasr-E-Naaz Kahaan Aur Woh Kahaan
Bas Dar Hai Aur Banda-E-Dar Khairiyat Sey Hain 

Hum Hain Ke Shaayari Hai Hamaare Liye Azaab
Warna Tamaam Josh-O-Jigar Khairiyat Sey Hain 

Shayar To Do Hain ‘Meer Taqi’ Aur Meer ‘Jaun’
Baaqi Jo Hain Woh Shaam-O-Saher Khairiyat Sey Hain

bottom of page