Iftikhar Arif
Rang tha roshni thi,qayamat tha,
Jis pe hum mar mittey qaymat tha,
Khush-jamaalon mein dhoom thi apni,
Naam us ka bhi wajah-e-shohrat tha,
Paas-e-awaargi humen bhi bohat,
Us ko bhi aitraaf-e-wehshat tha,
Hum bhi takraar ke na they huugar,
woh bhi na-aashnaaye hujjat tha,
khawab tabeer ban kar aaye they,
kya ajab mausam rafaqat tha,
Apne lehje ka baank-pan saara,
Us ke pindaar ki amaanat tha,
Uss ke kundan badan ka roop saroop,
Husn-ehsaas ki badaolat tha,
Aik aik saans qurbaton ka gawaah,
Har nafss lamhaa-e-ghaneemat tha,
Aur phir yun huwa ke toot geya,
Woh jo ik rishta-e-mohabbat tha
Rang tha roshni thi,
qayamat tha
Iftikhar Hussain Arif was born on the 21 March 1943
lucknow united provinces of agra and Oudh.
He studied Urdu, English and Sanskrit - where he did his
M.A. in 1965 - at the Lucknow university, then studied
journalism at New York University, before migrating to
Pakistan and working for Radio Pakistan.
He was commonly known as Iftikhar Arif,an Urdu poet,
scholar and littérateur from Pakistan.
he has recieved awards for 3 of his book collections
Mehr-i-Doneem, Harf-i-Baryaband Jahan-e-Maloom,shehr-e-
lim ke darwazay per,kitab-e-dil-o-duniya,the twelth
man,modern poetry of pakistan.
His work has also been translated at the oxford
university under the title written in the season of
fear.
His style is romantic Urdu poetry.He has also been
awarded at the faiz internation awards in 1988 for his
poetry waseeqa-e-etraaf,baba-e-urdu,naqoosh,pride of
performance,sitara-e-imtiaz and hilal-e-imtiaz
Mere Khuda Mujhe Itna To Mo’tabar Kar De
Main Jis Makaan Mein Rahta Hoon Us Ko Ghar Kar De
Ye Raushni Ke Ta’qqub Mein Bhaagta Hua Din
Jo Thak Gaya Hai To Ab Is Ko Mukhtasar Kar De
Main Zindagi Ki Dua Maangne Laga Hoon Bahut
Jo Ho Sake To Duaaon Ko Be-Asar Kar De
Sitara-E-Sahri Doobne Ko Aya Hai
Zara Koi Mere Sooraj Ko Baa-Khabar Kar De
Qabila-Waar Kamaanein Karakne Wali Hain
Mere Lahoo Ki Gawaahi Mujhe Nadar Kar De
Meri Zameen Mera Aakhiri Hawala Hai
So Main Rahoon Na Rahoon Us Ko Baar-Awar Kar De
Main Apne Khwaab Se Kat Kar Jiyun To Mere Khuda
Ujaad De Meri Mitti Ko Dar-Ba-Dar Kar De
Mere Khuda Mujhe Itna To Mo’tabar Kar De
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Aisi Tanhaai Ke Mar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Ghar Ki Wehshat Se Larazta Hoon Magar Jaane Kyon
Shaam Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Doob Jaaoon To Koi Mauj Nishan Tak Na Bataaye
Aisi Naddi Mein Utar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Kabhi Mil Jaaye To Raste Ki Thakan Jaag Pade
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Wahi Paimaan Jo Kabhi Ji Ko Khush Aaya Tha Bahut
Usi Paimaan Se Mukar Jane Ko Ji Chaahta Hai
Zara Si Der Ko Aaye The Khwaab Aankhon Mein
Phir Us Ke Bad Musalsal Azaab Aankhon Mein
Wo Jis Ke Naam Ki Nisbat Se Raushan Tha Wujood
Khatak Raha Hai Wahi Aaftab Aankhon Mein
Jinhen Mata-E-Dil-O-Jan Samajh Rahe The Ham
Wo Aaine Bhi Hue Be-Hijaab Aankhon Mein
Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ke Khaak Urti Hai
Wo Din Bhi The Ke Khile The Gulab Aankhon Mein
Meri Ghazal Teri Wahshaton Ki Khair Ki Hai
Bahut Dinon Se Bahut Iztarab Aankhon Mein
Na Jaane Kaisi Qayamat Ka Pesh-Khema Hai
Ye Uljhanen Teri Be-Intasab Aankhon Mein
Zara Si Der Ko Aaye The Khwaab Aankhon Mein
Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha
Main Jis Mein Rah Raha Tha Wahi Ghar Mera Na Tha
Main Jis Ko Ek Umr Sambhale Phira Kiya
Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha
Mauj-E-Hawa-E-Shahar-E-Muqaddar Jawab De
Dariya Mere Na The K Samandar Mera Na Tha
Phir Bhi To Sangsar Kiya Ja Raha Hun Main
Kahte Hain Nam Tak Sar-E-Mahzar Mera Na Tha
Sab Log Apne Apne Qabilon K Sath The
Ek Main Hi Tha K Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha
Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha
Bikhar jayenge ham kya jab tamasha khatam hoga
mire mehbood akhir kab tamasha khatam hoga
Charagh-e-hujra-e-duresh ki bujhti hui lau
hava se keh gaye hai ab tamasha khatam hoga
kahani meri naye kirdar shamil ho gaye hain
nahin maloom ab kis dhab tamasha khatam hoga
kahani app uljhi hai ki uljhai gaye hai
yeh uqda tab khulega jab tamasha khatam hoga
zameen jab adl se bahar jayagi nuroon-ala-noor
ba-naam-e-maslak-omazhab tamasha khatam hoga
ye sab kath-putliyan raqsan rehenge raat ki raat
sahar se pahle pahle sab tamasha khatam hoga
dil-e-na-mutmaeen aisa bhi kya mayus rahna
jo khaq utti to sab kartab tamasha khatam hoga
Bikhar jayenge ham kya jab tamasha khatam hoga
khawab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai
ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai
doob jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai
kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai
wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai
khawab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
Basti Bhi Samander Bhi Bayaban Bhi Mera Hai
Aankhen Bhi Meri Khwab-E-Pareshan Bhi Mera Hai
Jo Doobti Jati Hai Wo Kashti Bhi Hai Meri
Jo Tootata Jaata Hai Wo Paiymaan Bhi Mera Hai
Jo Haath Uthe The Wo Sabhi Haath The Mere
Jo Chaak Huaa Wo Garebaan Bhi Mera Hai
Jis Ki Koyi Aawaaz Na Pahchan Na Manzil
Wo Qaafla Be-Saro-Saamaan Bhi Mera Hai
Weeraana-E-Maqtal Pe Hejab Aaya To Is Baar
Khud Cheekh Pada Main Ke Ye Unwaan Bhi Mera Hai
Daraftagee-E-Subah Basharat Ko Khabar Kya
Andesha-E-Sad Sham-E-Gharibaan Bhi Mera Hai
Main Waris-E-Gul Hoon Ke Nahin Hoon Magar Hai Jaan
Khamyaaza Tauhin-E-Bahaaraan Bhi Mera Hai
Mitti Ki Gawahi Se Badi Dil Ki Gawahi
Yun Ho To Ye Zanjir Ye Zindaan Bhi Mera Hai