top of page

Ibn-e-Insha

15-06-1927--11-01-1978

Ibn-e-Insha was born Sher Muhammad Khan on the 15th June 1927,nsha was born in Phillaur tehsil of Jalandhar District, Punjab, India.
He was a Pakistani Urdu poet, humorist, travelogue writer and newspaper columnist.
Along with his poetry, he was regarded as one of the best humorists of Urdu.
he received his B.A. degree from Punjab University and subsequently, his M.A. from University of Karachi in 1953.
His most famous ghazal Insha Ji Utthoo Ab Kooch Karo sung by Ustad Amanat Ali Khan (Rise oh Insha Ji, and let us set off ) is an influential classic ghazal.
his other Poetry include:
Kal Chaudavi ki raat thi, shab bhar raha charcha tera, sung by Jagjit Singh,Is Basti Key Ik Koochey Main, Chand Nagar, Dil-e-Wehshi, Billo Ka Basta (Rhymes for Children).
Awara Gard Ki Diary,Dunya Gol Hey,Ibn Battuta Kay Taqub mien,
Chaltay Ho To Cheen Ko Chaliye,Nagri Nagri Phira Musafar, Aap se kya Parda,Khumar e Gandum,Urdu Ki Aakhri Kitaab,
Khat Insha Jee Kay Collection of letters. 
Before he died of Hodgkin's Lymphoma on 11 January 1978, while he was in London. He was later buried in Karachi, Pakistan.

Small Heading
Insha Ji Utho Abb Kooch Karo.

“Insha” Ji Utho Abb Kooch Karo Iss Shehar Mein Jii Ka Lagana Kya,
Wehashi Ko Sukoon se Kya Matalab, Joggi Ka Nagar Mein Thikana Kya ?

Iss Dil Ke Darida-Daaman Ko Dekho Toh Sahi, Socho Toh Sahi..
jis Jholi Mein Sau Chhed Hue Uss Jholi Ko Phailana Kya ?

Shab Beeti Chand Bhi Doob Gaya Zanjir Padi Darawaze Mein,
Kyon Der Gaye Ghar Aaye Ho Sajani se Karoge Bahana Kya ?

Uss Husn Ke Sacche Moti Ko Hum Dekh Saken Par Chhu Na Saken,
Jise Dekh Saken Par Chhu Na Saken woh Daulat Kya Woh Khazana Kya ?

Uss Ko Bhi Jalaa Dukhate Hue Mann Ek Shola Laal Bhabhuka Ban,
Yun Aansu Ban Beh Jana Kya, YuN Matti Mein Mil Jana Kya ?

Jab Shehar Ke Log Na Raasta Dekhen Kyon Bann Mein Na Ja Vishram Kare ?
Deewanon Ki Si Na Baat Kare Toh Aur Kare Deewana Kya ..??

Chal Insha apne Gaaon mein..

Chal Insha  apne Gaaon mein..
   Yahan ujley –  ujley roop bahut,
   Par asli kam behroop bahut..

   Uss pedd ke neeche kya rukna,
   Jahan saaya kam ho dhoop bahut..

Chal  Insha apne Gaaon mein..

   Baithenge sukh ki chhaon mein,
   Kyon teri aankh sawaali hai..?

   Yahan har ek baat nirali hai,
   Iss desh  basera mat karna..
   Yahan muflis hona gaali hai.. !

Chal Insha apne Gaon mein..

   Jahan sacche rishtey yaaron ke,
   Jahan waade pakke pyaaron ke..

   Jahan ghoongat zewar naaron ke,
   Jahan jharne komal sur waale..

   Jahan saaz bajen bin taaron ke,
   Kare sajda wafa bhi paaon mein.. !

Chal  Insha apne Gaaon mein …!!

Chal Insha  apne Gaaon mein..
   Yahan ujley –  ujley roop bahut,
   Par asli kam behroop bahut..

Chal Insha  apne Gaaon mein.
 

Insha ji utho
chal insha apne
bottom of page