Farhat Abbas Shah
Farhat Abbas Shah born on the 15th November 1964, Jhang, Punjab, Pakistan.
A well known Urdu poet,
He got his early education from Jhang and ultimately shifted to Lahore. He got master in Philosophy and Msc in psychology.
Journalist, urdu poet, ceo lahore tv, writer, critic.
He has written many books more than 68 which is one of the remarkable contribution towards Urdu literature.
he loves to write romantic poetry and also sad poetry
Farhat Abbas Shah is working for different TV channels and radio now a days. He is founder of FARZ Foundation which is working for poor people in Pakistan on the bases of Micro finance.
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Kitne chup chaap se lagte hai shajar shaam ke baad
Itne chup chaap keh raastey bhi rahein ge La-ilm
Chor jaaen ge kisi roz tera Nagar shaam ke baad
Mein ne aise hi gunaah teri judaai mein kiye hain
Jaise toofan mein koi chor de ghar shaam ke baad
Who shaam se pehle mast apni urhaanon mein tha
Jis ke haath mein thay tootay hoye par shaam ke baad
Too suraj hai tujhe kya maaloom raat ka dukh
Tu kisi roz utar mere ghar shaam ke baad
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Sanson Ki Hararat Se Pigal Jane Ka Mosam
Sanson Ki Hararat Se Pigal Jane Ka Mosam,
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jane Ka Mosam,
Hum Ko Nahi Maloom Tha Ishq Ka Aaghaz,
Yadon Mein Kahein Door Nikal Jane Ka Mosam,
Lagta Hai K Chehre Pe Tere Theher Gia Hai,
Yak Lakht Kai Rang Badal Jane Ka Mosam,
Aaye Shehr Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum,
Aaya Hi Nahi Dil K Sambhal Jane Ka Mosam,
Ye Shehr-e-Tamanna Bhi Anokha Hai K Is Par,
Barsat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jane Ka Mosam,
Chehre Pe Agarche Hai Mere Subha Ka Ujala,
Aankhon Mein Magar Sham K Dhal Jane Ka Mosam
Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahi Gia
Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahi Gia,
Woh Khauf Tha Ke Logon Se Roya Nahin Gia,
Ye Sach Hai Ke Teri Bhi Neendain Ujarr Gain,
Tujh Se Bichar Ke Hum Se Bhi Soya Nahin Gia,
Us Rat To Bhi Pehle Sa Apna Nahi Laga Us Rat,
Khul K Mujh Se Bhi Roya Nahi Gia,
Daman Hai Khushk Ankh Bhi Chup Chaap Hai Bahut,
Larrion Mein Aansoo'n Ko Piroya Nahi Gia,
Alfaz Talkh Bat Ka Andaz Sard Hai,
Pichla Malaal Aaj Bhi Goya Nahin Geya
Ab Bhi Kahein Kahein Pe Hai Kalakh Lagi Hoi,
Ranjish Ka Daagh Theek Se Dhoya Nahin Geya.....!