Fakhira Batool
Bhool janey ka to bas ik bahana hoga,
Bhool janey ka to bas ik bahana hoga,
Ke har taur usey yaad to aana hoga,
Koi mausam ho, mehekta rahe, shadaab rahe,
Apni aankhon ko kanwal aesa banana hoga,
Band muthi se jo urr jati hai qismat ki pari,
Iss hatheli main koi chaid purana hoga,
Aabley paaon ke mehkain to magar dard na dain,
Dasht mein raat ke daron ko yeh batana hoga,
Zaawiye us ki nigahon ke barey qaatil hain,
Samne us ke bohat soch ke jana hoga,
Ghaoo kitna bhi puraana ho, beher’haal usey,
Kachey mausam ki shararat se bachana hoga,
Hath likhne pe mussar, khauf zamaney ka Batool,
Pairr pe naam koi likh ke mitaana hoga..
Meri chaahat ka sar-e aam toh charcha na karo
Meri chaahat ka sar-e aam toh charcha na karo,
Kam to pehle bhi nahin aur toh ruswa na karo.
Kabhi jugnu, kabhi taare, kabhi nargis keh kar
Tum meri aankhon ko iss tarah chheda na karo.
Bhaamp jaaye na kahin dil ki lagi ye duniya,
Yun shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo.
Baat chhoti si bhi afsaana bana deti hai,
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo.
Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe,
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo.
Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhein,
Raat ko derr talak tum mujhe socha na karo.
Saamne sab ke kare kis tarah iqraar ‘Batool
Yun sar-e bazm toh iss se ye taqaaza na karo
Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Ye Siyaasi Bayaan Thori Hai
Dar Sa Lagta Hai Kiun Nateejay Se
Ishq Hai Imtehaan Thori Hai
Chhorr Kar Chal Dya Hamain Yun Hee
Wo Koi Badgumaan Thori Hai
Teer Ki Ja Gulaab Kiun Na Milain
Zindagi Hai Kamaan Thori Hai
Koi Shikwah Karain Tou Kaisay Karain
Apne Mun Mein Zabaan Thori Hai
Ham Ko Takta Hai Jis Haqaarat Se
TU Koi Aasmaan Thori Hai
Hum Se Milnay Ko Chal Ke Aaye Magar
Is Qadar Meherbaan Thori Hai
Koi Basnay Laga Hai Is Mein “ Batool”
Dil Hai, Khaali Makaan Thori Hai
Zakhm kya kya na zindagi se mile
Zakhm kya kya na zindagi se mile,
Khwaab palkon se berukhi se mile.
Aap ko mil gaye hain qismat se,
Hum zamaane mein kab kisi ko mile
Aise khushbu se mil raha hai gulaab,
Jis tarah raat, roshani se mile.
Hum faqeeron se dosti hai magar,
Uss se kehna ki saadagi se mile.
Dil mein rakhte hain ehtiyaat se hum,
Zakhm jo jo bhi jis kisi se mile.
Zindagi se gale mile toh laga,
Ajnabi jaise ajnabi se mile.
Uss ke seene mein dil nahin tha ‘Batool
Hum ne socha tha aadmi se mile. !!