top of page

Duaa's Poems

Yeh mere phele shayari thi jo mene liki apne abbu ki yaad mein
Bohat udaas hoke insaan jab bait ke likta hai tab sab woh sab lahme ek tasveer ki tara app ke samne ajata hai , Mere liye woh sab se dard bhara din ta jab woh iss duniya se chale gaye .

Hume uss waqt unki kami mehsoos hoti hai jab woh humare paas nahin hote iss liye apne walidayn ke saath husn e suluk se pesh aao unki kidmat mai koi kami na choro.
ALLAH tala unko jannat mai jaga de aur unke gunao ko maaf kare Ameen
Love you dad Miss you

Mere pyaare papa
Mere pyaare papa

Mere pyaare papa


Badlo se bhi uncha Asmaan tak........kya app bhi chupke dekte ho,
Aur Jab woh tara chamakta hai.......Kya app hi ishara dete ho
"Mai theek hu papa"
janti hu ishra hai......ke paas paas......hi mere rehte ho........

Ajj mai bohat udaas hu papa......app ki baatein yaad ati hai
woh chehra,muskurahat,woh hasna....woh narmi sa lehja mein pyar se bolna
woh chamakti anhkon mein raaz chupana......Dil ka tootna aur gham chupana.....Akele mai ansu jehse barish ka girna.....papa mujhe sab yaad hai
Yaad rukti nahin rok paane se.......gham chupti nahin hai chupane se
Koi toot gaya hai app ke door jaane se.......Aankhein bhar ati hai yaad ane se
woh ankon ka sabr na dil mai sawal......Sab yaad hai papa......
Woh akhri lamha app ko dekna.......Aur muh mai zubaan ka ruk jana
Ansu ka katra chhalak sa jana.....Khudda ne deka takleef main
phir Khamoshi se khudda ne bhula liya
sab yaad hai papa
Bas duao pe hamara aitbar rakhna,
Na Dil mein koi apne sawal rakhna,
mere pyare papa bas itna sa yaad rakna

Kuch maheene phele mene ek pakistani drama dekha tha Udaari aur ussi cheez ne mujhe inspire kiya tha ke ehsa kuch liku, Yeh shayari unn bacho par liki gaye hai jo kabhi abuse se guzre chuke hai yani jise hum CHILD ABUSE kehte hai

Ehse bache dare huwa ghabrata huwe khabi bol pata hai aur khabi nahin bhi aur jab uss ke under himmat ati hai bolne ki to uss ka muh dabaya jata hai ke iss se agai na bolna Badmani hojaye gi pure khandaan mai ,Woh to ek bacha tha na samaj ta tum to samjdaar te to phir yeh zulm Kyu?

Aur ehsa hi hadsa zainab ke saath huwa hai 

afsoos ki baat hai magar yehin hai ajj kal ki reality hai
Mere request hai unn parents ke liye ke apne bacho ko tawajo diya kare unnse baatein kiya kare aur unn ko samjha kare,
Bache nadaan,masoom,na samaj hote hai

app ka farz hai une guide kare un ko samjaye ke kya ghalat hai kya sehin.

Mujhe mere abbu ki ek baat khabi nahin bhoolti kehte te ke beta apni hifazat kud

kiya karo kisi ko mauqa na do ke tum par ungli uttaye

Magar zada chote ki hifazat hume kud karna hai jab tak who samjhne ke kabil hojaye

 

Kuch Na Kehna
Zainab "Kuch Na Kehna"
Zainab Kuch na kehna - Duaa Amin
00:0000:00

Mein “ZAINAB “ek choti se bachi
Apne maa baap ki ladli thi,
apne papa ki pari thi
Ammi ki guriya thi,
Ek masoom Se larki thi
Ek zalim ne mujh ko utta liya
Mujhe ek jaga par chupa liya
Ek zalim ne mujhe rula diya
Mere apno Se door kiya


Aao  Zainab tume maa baap se milu
Aao Zainab tujhe jhoot bol kar bhelau

Suno mere toote huwe jazbat
Woh Sardi ki raat ,Aur meri akri raat
Woh Uss ka sakt haath lagana Aur
mera Ghabrate huwe sehm sa jana
Takleef ,dard Se “MAA”ko pukarna
Woh Muh par uss ka haath Dabana
Khamoshi se bolna “KUCH NA KEHNA”
Tapakte ansu ka chehre pe gir jana
kampte honthon Se mera chup hojana
kise kehte aur kise sunate
Na koi sune wala, Na samajne wala
Saanson ka rukna aur duniya chor jana
Uss waqt ka mujh par zulm hojana
suno mere toote huwe jazbat
Woh Sardi ki raat ,Aur meri akri raat

Woh bachpan ke din woh sab yaadein jab ami abhu aur bhai bheno ke saath Eid manaya karte te woh khoobsurat pal khabi na bhoolne wale din
aksar Bohat yaad ate hai hume

Who Eid ke Din
Woh Eid Ke Din

Woh Eid ke din
Mubarakh ke kar chand raat mana na
Aur raat ko ronak dekne bazaar mai jana
bheer mai kushiya se bagte jana
mehndi ko haaton par lagana
khusboo se mehak sa jana
Woh rang barangi chooriya charwana
Raat ko akir bistar par sojana
Aur kal ki Eid ki kushi se utt jana
Woh Eid ke din kitne ache hote te
Jab saath maa,baap humare hote the
Eid ki namaz par
papa ka bhayo ke saath jana,
aur vapaas ake sab ko gale lagana
woh ammi ke sila huwa kapre
phen kar ana
aur zor se papa se gale lag jana
Aur unka eidi ke paise haaton mai rakna
Muskura ke mera unne shukriya kehna
phir Khushi se muh par ronak ajana
Woh bacpan ki yaadein kitni ache te
jab humare maa baap humare saath hote te

Sucha Na Tha
Sucha Na Tha

Sucha na tha....Rishta is tara se toot jaye ge...
Doori bharte jaye ge...Namukin hojaye ga loat ke ana....Baatein humare berukhi....zubaan ka leja badal jaye ga...talkiya paida hojaye gi...
cheenko ki avaaz gunji gi....Woh nafrat woh gusa se dekhna....woh chere ki garmi....woh theeki zubaan se bolna...mlarai ka iss tara bhar jana...

Dosti par itna to hakh dete....Gash hum par yakeen to karte....

Mujhe samaj na sakhe.....Afsoos raha....Sucha tum humein mana lete...

Magar...humne khud to raaste tabahi kenikale...tume maloom hone bhi na diya...

Kisi aur ki khushi ki khathir ...Dosti ko Qurbaan kar diya
dil pai kya guzri tum anjaan the.......Mere dil ka dard ek raaz banke reh gaya.....Mere Lafz mazak banke re gaye
Peeche hath jana,mene Theek samjha...Waqt ke saath tum sambhal jate....Mohabbat ke khatir mene apni khushi...
usse de di....Aur badle mein uss ne mujhe khamoshi..de di

Jane woh kehsa hoga
Jane who kehsa hoga

Jane woh kehsa hoga
Kafi Din Guzar Gaye Janay Ab Woh Kaisa Hoga
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga
Ab Bhi Akele kamre mein Band kar baita Hoga...
Aur chupke chupke Akele mein ansu punchta hoga
Rozana Dil ko Jhooti tasali dekhen
Apne gham ko chupata hoga
Mein uss ke bin ,Aur woh mere bin
Reh nahin sakte woh bhi janta hogaMujhsay Bichray Kehin din guzar Gaye Ab Wo Kis Se Larta Hoga
Acha Tha Jo Sath Hi rehta, Baad Mein Os Nay Soccha Hoga
Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa

rooth jana aur manana
"rooth jana aur manana" Eid ke din
 

"Ae hawa tu bata kya woh loat ke aye ga Eid ke din"
"usse kehna" dil udaas hai uss ke bin
"usse kehna" ke din kehse guzre gi Eid ke din
"usse kehna" mere ghar mai sanata hai uss ke bin
woh dard-e-dil dekha kar chala gaya eid ke din
kuch to zikar karo uss ka Ajj ke din
jo mehndi lagaye hai haathon par ajj ke din
kis ko dekhu gi Eid ke din
gash tum samaj sakte dil ki har baat ajj ke din
kitni be-sakooni hai Eid din
mujhe ehsaas dilo koi ajj ke din
ke woh loat aye ga Eid ke din
Kon hasaya ga mujhe ajj ke din
meri gham se bhar ayenge ankhin Eid ke din
Khushi to apno se milti hai Eid ke din
to mujhse door kyu hai Ajj ke din....

Ane do usse abb Eid ke din,
baat nahin karu gi Eid ke din
Usse keh dena reh lungi uss ke bin
Hum bhi apni zid par utre ge Eid ke din
tumse root jahu gi Eid ke din
tum laak manoh phir bhi na manu gi ajj ke din
niqaab mein rahu gi ajj ke din
mere deedar ko tarso ge Eid ke din
chehra chupa kar door baag jahu gi ajj ke din
Nigahon se aur isharo se baatein karu gi Eid ke din
Magar zuban se kuch nahin bolu gi ajj ke din
jab dil maangon ge tum wapis uss din
main kahu gi woh to toot gaya ussi din
Aur Abb "Duaa"nahin bole gi Eid ke din

Ek khawab
Ek Khawab
 

Adi Raat ke uss pehar mein,
Duaa ko Jagaane wala kon aya Kya tum te ?
Bohat hairaan thi ,

Pucha mene ab kya lene aye ho ?
Tum to naraaz the na ?I

tne din guzar Gaye ?
Abb yaad ahey meri ?
Anken to Band thi meri magar ehsa laga Ke Tum paas ho....Mujhe acha laga Tumara loat ana....mujhe acha laga,Itne Kareeb te mere.... phir bhi mujhe acha laga......Magar achank
Mere Jisam ne mera saath chor diya
Aysta aysta koi hume hawa mein
Asmaan ki taraf keechta chala gaya
Tab achank,
neeche ki taraf dekha Aur girte Girte Cheenk nikli to Ankh Kuli, pata chala abhi hum bistar par the.....Phir se sawal Wohi ?
Ajj phir nahin aye.......
Abb tak naraaz ho .......
Kitne din guzar Gaye........
Kya meri yaad nahin ahey......
Aur ankhon mein ansu liye,
Phir se ankhein Band kar ke khawabon ki duniya mein chali gaye........

kya yeh mohabbat
Kya yeh Mohabbat nahin thi?
 

Woh kehta Hai ke hum badal Gaye
Hum une waqt nahin dete....
Hum shayad Mohabbat nahin karte.....
Hum kehte hai woh keemte waqt ka konsa hisa hai jo humne na diya ho
jab hum larte larte Tagh jate aur Phir subha hote hi ek hojaate.........
Kya yeh Mohabbat nahin thi?
Woh raat bhar jaagna aur dil ki sari baatein karna.......
Kya yeh Mohabbat nahin thi?
Tumara udaas hona aur mera chupke se rona ......
Kya yeh Mohabbat nahin thi.?
Din bar tume suchte rehna aur Chehre par muskura sa jana.......
Kya yeh Mohabbat nahin thi?
Tumara din bar intezaar karna aur na ane par udaas hojana ......
Kya yeh Mohabbat nahin thi ?
Mein puchthi hu usse?
Jab jab tume takleef huwe,Kya mujhe dard nahin huwa?......
Jab khamosh Tum ikhtiyaar kar lete ,kya humne tume akela chor diya ?.......
Jab jab tum pareshaan huwe ,Kya humne saath nahin diya?.......
Jab tum par koi mushkil waqt aya ,Kya hum tumare gham mein shamil nahin huwe?.........

Jo abb isse Mohabbat nahin kehte....
To "Duaa" ne Mohabbat hi nahin ki.......

Kyu
Kyu

Jab manzilein,rasta,qafila
sab kuch ussi ka tha
chalne ka soch badalne ka faisla bhi ussi ka tha
phir dil mai sawal kehsa Duaa...
parshaani kyu?
baichani kyu?
takleef kyu,
dard kyu,
udaasi kyu
be-sakooni kyu?
phir bhi yeh sawal kyu.....
phir bhi yeh sawal kyu.....

 

Mohabbat mein kami reh gaye
Mohabbat mein kami reh gaye

Rozana bait kar sochti hu sawal karti hu apne se
kya "Duaa" waqi mohabbat ke qabil nahin?ya hum mohabbat ko samj na sake?
itna kisi ke liye baichan hone ke baad,uss ke saath waqt nibane ke baad
Kya abb bhi meri mohabbat mai kuch kami reh gaye?....
Roz sara din bait kar kud ko, jurte jurte tagh se gaye hu......
Apne kami ki talaashiyan,karte karte tagh se gaye hu......
kuch to bewafai hai mujh mai bhi,jo abb tak zinda hu uss ke begair.....
khabi apne siwa bhi kuch mila hai kisi ko,toot kar chaha jise ussi ne tor diya hame....
thora sa intezaar hi kar lete,Mere din to bure the abhi....
yun to kuch din guzre hai abhi, magar lagta hai zindagi guzar gaye......
phir uss ne mujhe us waqt azaad kiya jab mai kud hi urna bhool gaye.....
Mere khamoshi hi tume ehsaas dilaye ge,ke mai under se toot chuki hu.....
kud hi yaad aye ge hum tume,jab kehin jaha zikr-e-wafa hogi....
Jo ab bhi mere mohabbat mai kami lagti hai...
to apne saboot pakkey karle kyu ke abb baat
"Khuda" Tak ja punchi hai...

Uss Raat ko
Uss Raat ko

Uss raat ko
uss ki suni gaye,
apni suni gaye,
halaat sune gaye,
baatein yaad kiye gaye,
shikwi sune gaye,
gile kiye gaye
nazmein padhi gaye,
kisse yaad kiye gaye,
shayari suni gaye
Aur waqt aisa guzra ke pata hi nahin laga
ke kab 1 saal guzar gaya
Subha jab message dekne lagi to,
ehsaas huwa Duaa ko ke kuch cheezen abb bhi nahin badli thi
shayad Mohabbat ke liye itna hi kaafi hai.....

Muhabbat de di
Duaa ne apni Muhabbat de di

"DUAA" ne apni mohabbat de di.........Lekin mujhe badle mai kya mila
toota huwa dil.......Mene apni zindagi de di.......Lekin mujhe kya mila
din bar ki Maar mili.....Mene apna dil diya.......Aur mujhe badla mai kya mila
ansu ke katre......Mene apni khushiya de di........Aur mujhe kya mila
Ek bheega huwa daman.....Main apne dard e dil ko cheerna chahti hu.....
aur uss ke tukre tukre karna chahte hu.......taake main tumse mohabbat na karu....
"Main" apni yaadash khona chahti hu.....Taake mai tume zaayda na suchu.....
Main bohat door jana chahti hu....Taake tume dekhne ki zaroorat na ho....
Main rohna chahti hu.... Magar mere paas abb sukhe huwe ansu ke siwa kuch nahin......Mene tume apna itemadh diya.....Magar tumne usse ghalat istemaal kiya
Duaa ne tume sab kuch de diya...

Magar "DUAA" ke paas tume dene ke liye
kuch nahin duaao ke ilavaa.......

Jab bhi tooti hu
Jab bhi tooti hoon tujhko paya mere
ALLAH

Jab bhi tooti hoon tujhko paya mere ALLAH
takleef jab jab Huwi Juk kar sajde kiye
Roh roh kar mene duaye mangi
Apni under ki dard tujhe bataya
Kya mene ghalat kiya mere ALLAH
Tu bhara Rehem o kareem hai tu bata
mujhse bhool huwi hai to bata?
Kisi ko chahna mera ghalat tha ?
Kisi ko suchna mere bhool thi?
Ehsa tha to "Hah" mene Gunah kiya
Allah tum sab jante the,
mere dil mein hai kya
Phir uss ke dil mein mere liye

kyu Mohabbat Dali ,Dali to kyu nikali
Bata mere ALLAH mujhe iss Maqam
Par kyu punchaya
na jee sakti hu na mar sakti hu
Guneghaar hu to saza de mujhko
dil ki baichini ka sakoon de mujhko
Ehse sazaa de mere ALLAH ke
Tera zikar karte karte neend ajaye

kuch waqt lage ga
Kuch waqt to lage ga

Kuch waqt to lage ga
Kuch baichaini raatein
Baki ke barsaat ke Din
barish ki bhoondon ko
unn yaadon ko dhone mein
kuch waqt to lage ka

Kuch subha kuch shaame
avaaze ahey mujhe pukharte
avaaz chale gaye
Lekin Esaas nahin gaya
Kuch udaas lamhe
kuch purane zakhamo ke gaon
Magar ab mere chehre ke ird gird
App ki haathon ke koi narmi nahin
Kuch waqt to lage ga

Tumare mohabbat samajne main
Tumare muskurahat,Tumare baatein
Tumare khushbu,Tumara ehsaas,
Ek ajnabi ki tara aye aur chala gaye
tume bhoolne mein
Kuch waqt to lage ga
Kuch waqt to lage ga

Maa mene har pal
Maa mene har pal tujhe yaad kiya

Maa maine har pal tujhe yaad kiya,
maine tere siva kisi ko bhi maa ka darjaa na diya,
par tumne kyu nahi kabhi mujhe yaad kiya,
kya tha mera kasur aaj bata do bus mujhe itna tum,
logo ne mujhe taane de de kar maar diya,
par tumne bhi mujhe kabhi pyar na kiya,
ek baar agar tum mujhe gale laga leti
to shayad ye mera gum kam ho jata,
sirf ek baar tum mere aansu dekh leti
to shayad mujhe zindaghi se dubara pyar ho jata,
Maa mai ajj mai phir se akeli hogaye hu
mujhe dukh iss baat ka nahi ki duniyaa mujhe bura kehti hai ,
dukh to mujhe iss baat ka hai ki tu mujhse judaa rehti hai,
mein tujhe bata ti nahi par aaj bhi tera intezaar karti hoon,
din ho yaa raat ho, aaj bhi tujhse pyar karti hoon....

Tumari Baatein
Tumari baatein

Phele Dhuk nahin hota tha tumari baaton se....
Sab seh jati thi saari baatein .......
Abb mujhe takleef dete hai baatein......
Woh baatein jo bolne ke baad......
Mujhe dheere dheere ehsaas dilaye........
Woh ehse karwi baatein jo mujhe yakeen dilaye......
Ehse baatein jo mere dil ke zakhamo ko phir taza kar de......
Woh meri Maaazi ke baatein.....
Woh mere zakhmo ko taza Karne wali baatein.......
Woh mere dil ke upar chirakne wali baatein.......
Woh dil par lag jaye magar na utarne wali baatein....
Woh baatein jo mujhe ehsaas dilati hai ke mein Kuch Nahin.......
Na samjhne wali baatein aur na suchne wali Woh baatein .......
Ehse baatein jo mere hi damak ko ulaj de
Woh teekhi lehja se bolne wali baatein
Woh ehse baatein jo mujhe aysta aysta under se kah jaye ..,.
"Hah"wohi baatein jo mujhe aysta aysta se under hi kah jaye...
Wohi baatein......

Yeh shayari mene unn logo ke bhare mai soch ke likhe hai
jo bahar se to khush nazar ate hai ,Sab ke saath muskurate hai
magar under se woh kitne udaas aur toote hote hai koi nahin janta
Ehse log ek apni duniya bana lete hai
Ek naya chehra bana lete hai jo
aur apne gham ko chupa lete hai

Roz ek naya chehra
Roz ek naya chehra laga lete hu...

Roz ek naya chehra laga lete hu...
 
Roz apna gham chupa lete hu...
Roz ansu baha lete hu...
Roz dard ko chupa lete hu...

Roz ek naya chehra laga lete hu...

Roz apne app ko bacha lete hu...

Roz zehn mai beta lete hu..
Roz kud samja lete hu..

Roz ek naya chehra laga lete hu...

Roz dil ko jala lete hu...
Roz bahane bana leti hu...
Roz khushi chupa lete hu..

Roz ek naya chehra laga lete hu...

Roz ek aina dekh leti hu...
Roz yuh muskura lete hu..
Roz pagal bana lete hu...

Roz ek naya chehra laga lete hu...

Roz tasveere jala lete hu...
Roz ek raaz chupa lete hu...
Roz dil ko samja lete hu..

Roz ek naya chehra laga leti hu..

Uss larki ne Ehsa shaks ke liye sab kuch qurban kar diya
apne Maa,Baap,Bhai,Bhen. sab kuch chorte huwe yehin sucha ke woh uss se
dil se mohabbat karta hai,magar aysta aysta din jab guzarte gaye
gut gut kar sehte rehin har zulm phir usse ne mehsoos kiya ke mohabbat ki
koi naam ki cheez majood na thi uss mein,Mohabbat mai anda bharosa karke ghalat kiya
Phir bhi unne yehin yakeen rehte hai ke woh phir bhi ussi ka hai
Shayad ek din woh badal jaye vehse hi hojaye jehse phele bar mila tha
Magar ehse kuch nahin hota aur jab akhiri mor par zulm sehte akhiri saans gin rehin hoti hai tab usse mehsoos hota hai ke un se kitni bhari bhool huwe hai

Aysta se marti hu
Aysta se marti hu...

Aysta se marti hu...
Aysta se marti hu,Bas mein hi Janti hu
Akele mehsoos karti hu,Apne azaadi
Akele bait thi hu ,Jante huwe tum,
hamdard nahin the.....
Akele suchte hu,Woh tumare saath,
guzre huwe lamhe.....
Bait kar suchti hu ke tum khabhi,
Sache nahin the.....
Roti hu jaan kar kisi lamha,
meri akhri Saans ho sakta hai.......
Roti hu tume such ke.....
ke waqt taizi se guzar gaya.....
Jante huwe ke mene Bohat ,
waqt barbaad kiya......
Sab kuch jante huwe ke ye shayari
"DUAA" ke akhri shayari ho
Jab bhi tume suchti hu phir yaad dilati hu
Ke tum mere kismat mein nahin
Khatam hua tumare liye Rona
Phir se zindagi dubara se jeeti hu,
Jante huwe ke mujhe be marna hai...
Rone se abb Inkaar kar lete hu

Aysta se marte huwe ....
suchti hu ke "DUAA" ko tum kho chuke

 

Akeli Larki
Akeli Larki

Akeli larki aur uss ka dekhna.....
Khamoshi mein cheenkna......
Nahin kisi ko parwa.......
Uss ka dard na-pasandeeda hai
Na-khaber kisi ko ke......
uss ki muskurhat phool jehse......
Magar woh bohat mushkil mein rehti hain
Uss ki ankhen Shadeed pagalpan se bhari
Huwe hai.....
Woh apne jisam ko khaathi hain.....
Uss ki choti se muskurahat dhundla hoke
Lakeer ban jate hain.....
Uss ke jisam par nishaaniya....
Uss ki rooh par nishaaniya....
Woh udaas hai.....
Woh zakhmi hai....
Woh akeli hai.....
Woh mar rehin hai.....
Woh uljan mein hai...
Woh choth punchati hai
Woh takhi huwe hai
Lekin abb bhi zinda hai....
Woh jal rehin hai
Lekin khamosh hai....
Woh dard mein hai
Lekin abb bhi muskura rehin hai...
“ WOH KON HAI"
?

Mere papa

Mere Papa

Mere Papa mere duniya te 
Mere dil ka woh sakoon the
har shaks Se woh Juda the 
Mere papa meri jaan the 
Jab tak Unka saya sar par tha
Duniya ke fikro Se door thi 
Unki muskurahat Mein chamak thi
Jo sab logo Se alag thi
Woh yaadein abhi bhi taza hai 
Unki ungli pakar ke chalte the
Bohat kuch seekha ke jal diye 
Aur mere dil udaas kar gaye
bohat kuch seekhna baki tha
Masoom Aur na samaj thi 
Sehin aur ghalat se anjaan thi
Papa abhi bhi app ki zaroorat thi
Woh akhri waqt bohat mushkil tha
Jab app ka saaya sar Se utta tha
“Papa”Ajj phir udaas hoke likh thi hu
Ke abb bhi andereo Se darti hu
Raat ko utt ke cheenkti hu
Ghabra kar avaaze dete hu
Soch ke apko roti hu
Apki kami mehsoos karti hu
Woh din,woh tareeq,woh waqt
Khabi na bhoolti hu
Papa mein abb bhi 
App ko dhoond thi hu
Papa Mein abb bhi 
Bohat Pyar karti hu

Log se suna hai

Logo se Suna mene

Logo se Suna mene
Takhleef mein hu ,Dard mein hu ,
pareshaan hu......
Na hasti hu, na muskurati hu,
Bohat aziyat mein hu......
Bebas hu shayad ,zaroorat mand hu.....
Zindagi ki raah mein ruk Si gaye hu....
Shayad tagh si gaye hu.....
Baal bhi bikre hai ,harkaten bhi Ajeeb hai
Pagalpan hai shayad ,Kuch ulaj Se gaye hu
Raaste ke talaash mein hu, Koh gaye hu.....
Ansu mein dhoob gaye hu,samunder ke gheraye tak punch gaye hu......
kisi ke kayaalo mein rehte hu,Gumsum Hu.....
Under Se mar chuki hu,Magar abhi bhi zinda hu....
Kudh Se nahin kehti,
logo Se suna mene......

30th july 2018  meri Maa iss duniya se chale gaye unn ke yaad mai humne yeh shayari liki

Meri Maa

Meri Maa

meri maa.jpg

Meri Maa mujhe rula ke chali gaye
udaasiya dil Mein daal ke chali gaye
Chupke se khamoshi se
Hum sab ko chor ke chali gaye
dard aur takleef sab seh ke chali gaye
Roshni ke ghar Mein ek jalte huwe diya
bujha ke chali gaye
Ghar Mein andera kar ke chali gaye
Dil Mein Ek dard chor ke chali gaye
Dil ki baat kise sunau Mere dil ki ronaq
Duniya se chali gaye
humara akri manzil yeh nahin hai
Mujhe kehin bar bata ke chali gaye
Haqeeqat,Mustaqil mujhe Aaina
Mein dekha kar chali gaye
Apna Jehse bana ke chali gaye
Na koi shikwa na gila kiya
Bas akhri bar hume hasa ke chali gaye
Woh meri muskrahat dekh kar chali gaye
Jate huwe nighaa jukha kar chali gaye
Jaise mujhi ko mujh se churaa kar chale gay
Meri maa mujhe rula ke chali gaye
Meri maa Dua ko chor ke chali gaye

Phoolo ke naseeb

Phoolo ke naseeb
phoolo.jpg

Phoolo ke bhi apne naeeeb hote hai
Kuch phool .......
baag Mein khilte huwe kushu se mehkte hai
Kuch phool.........
gundaan ke paani Mein pare murja jate hai
Kuch phool.........
kitaabo Mein kisi ke muhabbat Mein sukh jate hai
Kuch phool........
Sehre Mein sajte huwe khilkilate hai
Kuch phool.......
kisi khoobsurat larki ke baalo Mein sajte hai
Kuch phool.......
kachre ke dibbe Mein phainke huwe murja jate hai
Kuch phool.......
Mehndi ke din larki ke khilaye par sajte hai
Kuch phool.......
shaadi ke sajawat Mein bistar par sajte hai
Kuch phool.....
qabarstan ke qaber par Chadder ki tara Orr lete hai
Kuch phool.....
zameen par jhutho ke saath kuchale jate hai
Phoolo ko bhi dekho Duaa......
kehse apne naseeb leke ate hai

bottom of page