top of page

Daag Delvi

25/05/1831 – 17/03/1905
Nawab Mirza Khan Daag pen name Daag Dehlvi was born on 25th may 1831 in kuncha ustad dagh chandni chowk in Delhi. Daagh belonged to the Dabistan-e-Dehli, He started reciting poetry at the age of ten and his forte was the romantic version, the ghazal.He won many admirers for his pure Urdu idiom and style.
He is considered the last poet to represent the classic Delhi School of Poetry.
He was also honored with many literary titles, inferred on him by the Nawab himself, like:
Dabeer ud Dawla, Faseeh ul Mulk, nawab Nizaam Jang Bahadur, Sipah Salar, Yar-e-Wafadar, Muqrib-us-Sultan, Bulbul-e-Hindustan, Jahan Ustad, Nazim Yar Jung, were the titles bestowed by the sixth Nizam of Hyderabad.
his other ghazals : Saaz ya keena saaz kya janay Naz walay niyaz kya janay, Kab kisi dar pa juba sai kee Shakh sahib namaz kya janay, Shama roo app ho gaye laykin lLutaf-e-sooz-o-gudaz kya janay, Jo rahe ishq mayn kadam rakhayn Wo nashaib-o-faraz kya janay, Poochye makshin say lutif-e-sharab Yah Mazay pak baz kya janay, Hazerat-e-khayzer jab shaheed na hon Lutaf-e-umer-e-daraz kya janay, Jin ko apni khaber naheen abtak Who maray dil ka raaz kya janay, Jo guzartay hayn Daag par sademayn Aap banda nawaz kya janay.
He died in 1905 at the age of 74 in Hyderabad Deccan after a paralytic stroke. He was buried at Dargah Yousufain in Nampally.

Aarzuu hai wafaa kare koi

Aarzuu hi wafaa kare koi

Aarzuu hai wafaa kare koi,
Jee na chaahe to kya kare koi,

Gr maraz ho davaa kare koi,
Marne wale ka kya kare koi,

Kosstay hain jale huye kya kya,
apne haq main duaa kare koi,

Un se sab apni apni kehte hian,
Mera matlab adaa kare koi,

Chaah se aap ko to nafrat hai,
Mujh ko chaahe khuda kare koi,

Iss gile ko gila nahin kehte,
Gar maze ka gila kare koi,

Yeh mili daad ranj-e-furqat ki,
Aur dil kaa kahaa kare koi,

Tum saraapa ho suurat-e-tasveer,
Tum se phir baat kya kare koi,

Kehte hain hum nahin khudaa-e-kareem,
Kyun hamari khataa kare koi,

Jis mei laakhon baras ki huuren hon,
Aisi jannat ko kya kare koi,

Is jafaa pr tumhe tamanna hai,
Ke meri iltijaa kare koi,

Muun lagaate hi Daagh itraaya,
Lutf hai phir jafaa kare koi..

Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota

Ajab apna haal hota jo

Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota,
Kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota,
Koi fitnaa ya qayamat na phir aashkaar hota,
Tere dil pe zaalim kaash mujhe ikhtyaar hota,
Jo tumhari tarah tum se koi jhootey vaadey karta,
Tumhi mujsfi se keh do tumhe eitbaar hota?
Yeh maza tha dillagi ka ke baraabar agg lagti,
Na tujhe qaraar hota na mujhe qaraar hota,
Yeh maza hai dushmani mein na hai lutf-e-dosti mein,
Koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota,
Tere vaadey per sitamgar abhi aur eitbar karte,
Agar apni zindagi per humain eitbaar hota,
Yeh woh dard-e-dil nahin hai ke ho charasaaz koi,
Agar aik baar milta to hazaar baar hota...

Aap ka aitbar kon kare

Aap ka aitbar kon kare

Aap ka aitbar kon kare,
Roz ka intizar kon kare,
Zikr-e-mehr-o-wafaa to ham karte,
Ho jo us chashm-e-mast se be'khud,
Phir uset hoshiyaar kon kare,
Tum to ho jaan ik zamaney ki,
Jaan tum per nisaar kon kare,
Aafat-e-rzgaar jab tum ho,
Shkiva-e-rozgaar kon kare,
Apni tasbeeh rehne de zahid,
Daana daana shumaar kon kare,
Aank hai tark-e-zulf hai shayed,
Dekhen dil ka shikaar kon kare,
Vaada karte nahin yeh kehtey hain,
Tujh ko umeed'vaar kon kare,
Daagh ki shakal dekh kar boley,
Aesi shakal ko pyaar kon kare..

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe,
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,

Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe,
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,

Baghair maut ke kis tarah koi marta hai,
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,

Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat,
Jafaa ke lutf tujhe hain, mazey wafaa ke,

Ghazab ki aah meri, Daagh naam hai mera,
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe..

Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe

Rahe ga ishq tera khaak

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi

Ranj ki jab guftaguu

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi
Aap Se Tum Tum Se TU Honay Lagi

Chahye Paighambar Dono Taraf
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi

Bay Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi

Ab Tou Mil Kar Dekhye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi

“Daagh” Itraaye Howay Phirtay Hain Aaj
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi

 

Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi

Rasm-e-ulfat sikha

Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi


Dil Ki Duniya Pe Chhaa Gaya Koi

​

Ta Qayaamat Kisi Tarah Na Bujhay


Aag Aisi Laga Gaya Koi

​

Dil Ki Duniya Ujri Si Kyun Hai ?


Kia Yahan Se Chala Gaya Koi

​

Waqt-e-Rukhsat Galay Laga Kar “Daagh”


Hanste Hanste Rula Gaya Koi

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain

Luft woh ishq mein paaye

Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaanay
TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-Agyaar Ke Saath
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen Dono Aankhain
Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaaray Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Koochay Se
Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke Jee Jaanta Hai

Tumhare khath main naya ek salam

Tumhare khath main

Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha
na tha raqeeb to akhir wo nam kis ka tha

Wo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha

Wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha

Raha na dil main wo be-dard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha

Na pooch-paach thi kisi ki na aao-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha

Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha

Har ek se kahte hain kya “Daagh” bewafa nikla
ye puche in se koi wo ghulam kis ka tha

phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar
ye bala ghar se nikli hui ai kyon kar

tu ne ki gair se meri burai kyon kar
gar na thi dil main to lab par tere ai kyon kar

tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne mana
man jayegi ise sari khudai kyon kar

aina dekh k vo kahne lage ap hi ap
aise achon ki kare koi burai kyon kar

kasrat-e-ranj-o-alam sun k ye ilzam mila
itne se dil main hai itnon ki samai kyon kar

dag kal tak to dua ap ki maqbul na thi
aj munh mangi murad ap ne pai kyon kar

phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar

Phir shab-e-gham ne mujhe

Ab woh yeh keh rahe hain meri maan jaayiye

Ab woh yeh keh rahe hain

Ab woh yeh keh rahe hain meri maan jaayiye,
Allah teri shaan ke qurbaan jaayiye,

Bigrre huye mizaaj ko pehchaan jaayiye,
Seedhi tarah na maaniye ga maan jaayiye,

Kis ka hai khauf rokne waala hi kaun hai,
Har roz kyun na jayiye mehmaan jaayiye,

Mehfil mei kis ne aap ko dil mein chupaa liya,
Itnon mei kaun chor hai pehchaan jaayiye,

Hai tevarii mein ball to nigaahen phiri hui,
Jaate hain aise aaney se ausaan jaayiye,

Do mushkilen hain ek jataane mei shauq ke,
Pehle to jaan jaayiye phir maan jaayiye,

Insaan ko hai khaana-e-hasti mein lutf kya,
Mehmaan aaye to pashemaan jaayiye,

Go vaad-e-visaal ho jhuuta maza to hai,
Kyun kr na aise jhuut ke qurbaan jaayiye,

Reh jaaye baad vasl bhi chettap lagi hui,
Kuch rakhiye kuch nikaal ke armaan jaayiye,

Achii kahi ke ghair ke ghar tak zara chalo,
Main aap ka nahin huun nigehbaan jaayiye,

Aaye hain aap ghair ke ghar se kharre kharre,
Yeh aur ko jataayiye ehsaan kar jaayiye,

Dono se imtihaan-e-wafaa pr yeh keh diya,
Manwaaayiye raqeeb ko yaa maan jaayiye,

Kya bd.gumaaniyan hain unhe mujh ko hukm hai,
Ghar mei khuda ke bhi to naa mehmaan jaayiye,

Kya farz hai ke sab meri baaten qubool hain,
Sun sun ke kuch na maaniye kuch maan jaayiye,

Saudaaaayiyan-e-zulf mai kuch to lattak bhi ho,
Jannat mei jaayiye to pareshaan jaayiye,

Dil ko jo dekh lo to yehi pyaar se kaho,
Qurbaan jaayiye tere qurbaan jaayiye,

Jaane na doon ga aap ko be-faislaa huye,
Dil ke muqadme ko abhi chhaan jaayiye,

Yeh to bajaa ke aap ko duniya se kya gharazz,
Jaati hai jis ki jaan usse jaan jaayiye,

Ghusse mei haath se yeh nishaani na gir parre,
Daaman mei le ke mera garebaan jaayiye,

Yeh mukhtasir jawab milaa arz-e-vasl pr,
Dil maanta nahin ke teri maan jaayiye,

Woh aazmuuda-kaar to hai gr walli nahin,
Jo kuch bataayiye Daag ussey maan jaaayiye…

Tumhare Khat Main Naya Ek Salaam KisKa Tha

Tumhare khat mein

Tumhare Khat Main Naya Ek Salaam KisKa Tha

Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam KisKa Tha
Na Tha Raqueeb Toh Aakhir WOh Naam KisKa Tha

Raha Na Dil Mein Woh Bedard aur Dard Raha
Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha

Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege
Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha

Woh Katl KarKe Har KisiSe Puchhate Hai
Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam KisKa Tha

Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi
Sun Jo Tumane Baa-dil Woh Payaam KisKa Tha

Guzar Gaya WOh Zamana Kahoo Toh KisSe Kahoo
Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam KisKa Tha

Har Ek Se Kehate Hai Kya ‘Daag’ Bewafa Nikala
Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam KisKa Tha

bottom of page