Bashir Badir
Bashir Badr was born in Ayodhya, India on the
15th february 1935
Bashir did B.A. M.A. and Ph D. from
Aligarh Muslim University and later as the
lecturer and head of the department of Meerut
College,
When his house was burnt in riot then he shifted
to Delhi after that Bhopal .
He has seven collection of ghazals.
‘Ikai’, ‘Image’, ‘Aamad’, ‘Aahat’,
‘Kulliyate,Bashir Badir.
He also has 2 books of literary criticism,
‘Azadi Ke Bad Urdu Ghazals Ka Tanqidi Mutala’
and ‘Biswin Sadi Mein Ghazal’.
Us Dar Ka Darban Bna Da Ya ALLAH
Us Dar Ka Darban Bna Da Ya ALLAH
"Us Dar Ka Darban Bna Da Ya ALLAH
Mujhko B Sultan Bna Day Ya ALLAH"
"In Ankhon Say Tery Naam Ki Barish Ho
Pathar Hun Insan Bna Day Ya ALLAH"
"Sehma Dil,Tooti Kashti,Charhta Darya
Her Mushkal Aasan Bna Day Ya ALLAH"
"Main Jab Chahu Jhaank K Tujhy Daikh Saku
Dil Ko Roshan Dan Bna Day Ya ALLAH"
"Mera Bacha Sada Kagaz Jaisa Hai
Ik Harf-E-Emaan Bna Day Ya ALLAH"
Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke
Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
"Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
Yaadon Ke Jharokon Mein Chilman Si Sirakti Hai"
"Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yun Yaad Teri Shab Bhar SeenayMein Sulagti Hai"
"Yun Pyaar Nahi Chhupta Palkon Ke Jhukaanay Se
Aankhon Ke Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai"
"Khush Rang Parindon Ke Lout Aanay Ke Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain Jab Barf Pighalti Hai"
"Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Daal Pe Bethay Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai"
Sun Li Jo KHUDA Ne Dua
Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho
"Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho
Darwaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho"
"Simti Hui Sharmayi Hui Raat Ki Raani
Soyi Hui Kaliyon Ki Ada Tum To Nahi Ho"
"Mehsoos Kiya Tumko To Geeli Hui Palkein
Bheege Hue Mausam Ki Ada Tum To Nahi Ho"
"In Ajnabee Raahon Mein Nahi Koi Bhi Mera
Kisne Mujhe Yun Apna Kaha Tum To Nahi Ho"
Pass Reh Kr Juda Si Lagti Hai
Pass Reh Kr Juda Si Lagti Hai
"Pass Reh Kr Juda Si lagti Hai
Zindagi Aab bewafa Si Lgti Hai"
"Mein Tumhare Beghair Hi Jee Loon Ga
Ye Dua ,Bad Dua Si Lagti Hai"
"Naam Is Ka Likha Hai Ankhon Par
Aansoon Ki Khata Si lagti Hai"
"Woh Abhi Is Taraf Se Guzra Hai
Ye Zameen Aasman Si Lgti Hai"
"PYAAR Karna Hi Jurm Hai Shaid
Aaj DUNYA Khafa Si Lagti Hai"
"Zindagi Pay Aik Khauf Sa Taari Hai
Teri Yadoon Ka Aik Azaab Sa Jari Hai"
"Bhullana Tujhay Iss Qadar Nahi Hai Aasan
Aik Umer Tere Naam Pay Guzaari Hai"
"Thak Kar Betha Hai Yahan Kaun Bhaala
Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai"
"Lagg Kar Deewar Say Nidhal Sa Betha Hai
Woh Jiss Nay Ro Ro Kar Raat Sari Guzari Hai"
"Ye Sab Teri Mohabbat Ka Kasoor Hai
Sab Khoo Ke Bi Dil Teri Yaad Main Tari Hai"
Ye khala Ha Arsh-E-Bareen Nahi
Ye khala Ha Arsh-E-Bareen Nahi
"Ye Khala Hai Arsh-e-Bareen Nahi Kahan Paon
Rakhon, Zameen Nahi
Tery Dr Pay Sajdy Ka Shoq Hai Jo Yahan Nahi To
Kaheen Nahi"
"Kisi Butt Trash Nay Shehar Main Mujhay Aaj
Kitna Badal Diya"
Mera Chehra Mera Nahi Raha Yeh Jabeen B Meri
Jabeen Nahi"
"Hai Zaroor Is Main B Maslihat Voh Jo Pochain
Hans K Hai Kheriat"
K Mohabbton Main Garaz Na Ho, Nahi Aisa Pyar
Kahein Nahi"
"Wahein Dar_O_Ghum Ka Gulab Hai,Jahan Koi Khana
Khrab Nahi
Jisay Jhuk K Chand Na Choom Lay Voh Mohabton Ki
Zameen Nahi"
"Teri Zulaf Zulaf Sjaon Kya Tujhy Khwab Khwab
Dikhaon Kya
Main Safar Say Laot Kr Aaon Mujy Khud B Iska
Yaqeen Nahi"
Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara
Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Lete
​
"Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Lete
Udaas Raat Ki Tanhai Mein Ro Lete"
​
"Dukhon Ka Bojh Akele Nahi SaMbhalta Hai
Kahin Wo Milte To Usse Lipat Kar Ro Lete."
​
"Agar Safar Me HaMara Bhi HuMsafar Hota
Badi Khushi Se Inhi Pathro Par So Lete"
​
"Tumhari Rah Me Shakhon Pe Phool Sokh Gae
Kabhi Hawa Ki Tarha Is Tarf Bhi Ho Lete"
​
"Yeh Kya Ke Roz Wohi Chandni Ka Bistar Ho
Kabhi Dhoop Ki Chadar Bacha Kar So Lete"
Azad Kr Day Apna Giraftar Main
Azad Kr Day Apna Giraftar Main He Hun
"Azaad Kr Day Apna Giraftar Main He Hun
Sir Pay Latak Rahi Hai Jo Talwar Main He Hun"
"Hindustan Ka Sacha Wafadar Main He Hun
Qabron Say Poch Asal Zameen Dar Main He Hun"
"Darya K Sath Woh To Sumandar Main Beh Gya
Mati Main Mil K Mati Ka Haqdar Main He Hun"
"Apni Gazal Say Kis Ka Kaleija Nikaal Lu
Nagmo'on Ki Dhaar Shair Ki Talwaar Main He Hun"
"Us Beesviin Sadi Main They Faiz Fraq B
Is Beesvin Sadi Ka Adakar Main He Hun"
"Apnay Siwa Kisi Say Mohabbat Nahi Mujhay
Gaalib Bohat Shareef They, Makaar Main He Hun"
"Kya Wasta Gazal Ko Puranay Arooz Say
Andhay Tatool Mujhy K Fankaar Main He Hun"
"Voh Aish Kr Raha Hai Bohat Kaafiron K Sath
Mola Ki Rehmaton Ka Talabgar Main He Hun"
"Ab So Karorr Log Sambhalain Gay Raaj Paat
Urdu Gazal Ka Aakhri Darbar Main He Hun"
"Ik Meer Tha So Aaj B kaghaz Main Qaid Hai
Hindi Gazal Ka Doosra Autaar Main He Hun"
"Kalma Parhaaya Phir Usay Hindi Bna Diya
Mulk-E-Sukhan Ka Paak Gunehgar Main He Hun"
"Chola Badal K Phir Main Satta Main Aaon Ga
Jo Girny Wali Hai Voh Sarkar Main He Hun"
"Main Larty Larty Toot Gya Apny Aap Say
Rawan Ka Roop Raam Ka Autaar Main He Hun"
"Meri Zameen Nayi Hai, Mera Asman Hai Aur
Subh_E_Adab Hun Sham Ka Akhbaar Main He Hun"
"Apna Qasida Bheju Ga Apny Hazoor Main
Sooraj Hun Apni Doop Ka Darbar Main He Hun"
"Shehr-E-Dil Dhoondh Rahi Hain Galiyan
Zulaf Ki Chaal Chali Hain Galiyan"
"Band Darwazy,Mjalad, Naawal
Daastanon Say Bhari Hain Galiyan"
"Kamray Darwazay Dareechy Khamosh
Chilmanain Taak Rahi Hain Galiyan"
"Kaali Mohron Say Bhara Khat Pa Kar
Siskiyan Bharti Rahi Hain Galiyan"
"Aik Lamhay Ko Thehra Jaany Do
Mujhko Pehchan Rahi Hain Galiyan"
"Rat Shabnam Giri Kuch Had Say Siwa
Ya Bohat Roti Rahi Hain Galiyan"
"Kon Aata Hain Yahan Kis K Liye
Subko Pehchan Gayi Hain Galiyan"
"Mery Hathon Ki Lakeeron Ki Tarha
Asman Par B Bichi Hain Galiyan"
"Behty Ansu Tery Daman Ki Taraf
Shehr Ki Simat Chali Hain Galiyan"
"In Main Mil Jayein Bhoolay Bichray
Dil Main Aisi B Kayi Hain Galiyan"
"~Badar~ Tareekh K Safhon Main Nahi
Mery Dil MaiN Basi Hain Galiyan"
Shehr-E-Dil Dhoondh Rahi Hain Galiyan
Tha Meer Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye
Tha Meer Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye
"Tha ~Meer~ Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye
Galib Tumhary Saary Tarafdar Mar Gaye"
"Jazbon Ki Voh Sadaqtain Marhoom Ho Gayi
Ehsas K Naye Naye Izhar Mar Gaye"
"Tashbe-O-Ista'ara-O-Maz-O-Knaya Kaya
Paikar Trash Shair K Fankar Mar Gaye"
"Saqi Teri Shrab Bara Kaam Kar Gayi
Kuch Rasty Main, Kuch Pas-E-Dewar Mar Gaye"
"Taqdes Dil Ki Assiya Nigari Kahan Gayi
Shayad Gazal K Saary Gunehgar Mar Gaye"
"Shairon Main Ab Jahaad Hai,Roza Namaz Hai
Urdu Gazal Main Tany They Kuffaar Mar Gaye"
"Akhbaar Ho Rahi Hai Gazal Ki Zuban Ab
Apny Shaheed Aath Idhr Chaar Mar Gaye"
"Misro'on Ko Hum Nay Nara-E-Takber Kr Diya
Geeton K Pukhta-Kaar Gulu-Kaar Mar Gaye"
"Aslob Tehat Itna Garaj-Daar Ho Gya
~Mehdi Hasan~ K Hasiya Bardaar Mar Gaye"
"Tanqedi Istilahoon K Mushtaq She-H-Swaar
Ghorron Pay Dorray Aaye Sardaar Mar Gaye"
"Naz-O-Ada Say MacChliyan Ab Hain Ghazal Sara'an
Tehmad Pakar K Saaheb-E-Dastaar Mar Gaye"
"Ya Rab Talism-E-Hosh Raha Hai Musha'ira
Jink Ko Nahi Bulaya Voh Gum-Khvar Mar Gaye"
Gulon ki tarah ham
ne zindagi ko
Gulon ki tarh ham ne zindagi ko is qadar jaana
Kisi ki zulf mein ik raat sona aur bikhar jaana
Agar aise gaye to zindagi par harf aayega
Hawaon se Iipatna titliyon ko choom kar jaana
Dhunak key rakh diya tha baadion ko jin parindon ne
Unhen kisne sikhaaya apne saaye se bhi dar jaana
Kahaan tak ye diya beemar kamre ki fiza badle
Kabhi tum eik mutthi dhoop in taaqon mein bhar jaana
Isi mein aafiyat hai ghar mein apne chain se baithho
Kisi ki simt jaana ho to raste mein utar jaana
Hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye
Hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye
Chiraghon ki tarah aankhen jalen jab shaam ho jaye
Kabhi to aasman se chand utre Jaam ho jaye
Tumhaare naam ki ek khubsoorat shaam ho jaye
Ajab halaat they yun dil ka sauda ho gaya akhir
Mohabbat ki haweli jis tarah neelam ho jaye
Samandar key safar mein is tarah awaz de hamko
Hawayen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaye
Mujhe maloom hai uska thikana phir kahan hoga
Parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jaye
Ujale apni yaadon ke hamare saath rahne do
Na jane kis gali mein zindgi ki shaam ho jaye
Uski ankhon sa uske gesu sa
Uski aankhon sa uske gesu sa
Mera sara kalam khushbu sa
Meri palkon pe jhilmilata hai
Raat bhar eik nam jugnu sa
Kitni muddat key baad tujh se mile
Muskurata hai pyar ansoo sa
Aaj waada kisi ka toot gaya
Reshmi titliyon key.. bazu sa
Roz tanhaiyon mein ik chehra
Tolta hai mujhe tarazo sa
Kahaan asuon ki ye soghaat hogi
Kahaan asuon ki ye soghaat hogi
Naye log honge nayi baat hogi
Main har haal mein muskurata rahunga
Tumhari mohabbat agar saath hogi
Chiraghon ko aankhon mein mahfooz rakhna
Badi door tak raat hi raat hogi
Pareshan ho turn bhi, pareshan hun mein bhi
Chalo maikade mein wahin baat hogi
Chiraghon ki 10 se sitaron ki zo tak
Tumhen main milunga jahan raat hogi
Jahan wadi yon mein naye phool aaye
Hamaari tumhaari mulaqaat hogi
Sadaaon ko alfaaz milne na paye
Na baadal ghirenge na barsaat hogi
Musafir hein ham bhi musafir ho turn bhi
Kisi mod par phir mulaqaat hogi
Hansi masoom si bachchon ki
Hansi masoom si bachchon ki copy mein ibarat si
Hiran ki peet par baithi parinde ki shararat si
Wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko
Labon pe muskurahat thi magar kaisi hiqarat si
Udasi patjhadon ky sham aude rasta takti
Pahadi par hazaron saal ki koi imarat si
Sajaye baazuon pe baaz wo maidan mein tanha tha
Chamakti thi ye basti dhoop mein taaraz-o-gharat si
Mero aankhon mere honton pe ye kaisi tamazat hay
Kabootar key paron ki reshmi uj Ii haraarat si
Khiia de phool mere baagh mein paigham baron jaisa
Raqam ho jis ki peshani pe ik aayat bashaarat si