Amjad Islam Amjad
Amjad Islam Amjad was born on 4th August 1944 in Sialkot city.
An Urdu poet, drama writer and lyricist from Pakistan. He has received many awards for his literary work and screenplay for TV, including Pride of Performance and Sitara-Imtiaz.
He graduated from Government Islamia College Civil Lines, Lahore. He qualified for Masters of Arts degree in Urdu literature from Punjab University.
He began his career as a lecturer in Govt. M.A.O College Lahore. He worked as a director at Pakistan Television Corporation from 1975 to 1979, before returning to teaching In 1989, Amjad is the writer of many drama series for Pakistan Television Corporation including Waris,Dehleez, Samandar, Raat, Waqt and Apnay Loug.
while his main focus remained writing Nazms, a type of Urdu poetry.
16 Graduate Awards PTV Awards for the best writer Bibliography his work includes:
Fishar,Barzakh,Us par,Satwan,darZara,phir say kehna,Seher,aasar,Barish ke aawaz,Itnay khwab kahan rakhoon,Mairay bhe hain kuch khwab,Hum us kay hain.
04-08-1944
UssaY Bhool Jaa!!
Kahan Aa K Ruknay Thay Raastey Kahan Morr Tha Usey Bhool Ja
Woh Jo Mil Giya Usey Yaad Rakh
Jo Nahin Milla Usey Bhool Ja....
Woh Teray Naseeb Ki Barishen
Kisi Aur Chatt Pay Barus Gain
Dil Bekhaber Meri Baat Sun
Usey Bhool Ja,Usey Bhool Ja....
Main To Gum tha Teray Hi Dehaan Main
Teri Aas Teray Gumaan Main
Saba Keh Gai Meray Kaan Main
Meary Saath, Aa Usey Bhool Ja....
Kisi Aankh Main Nahin Hai Ashk-e-Gham
Teray Baad Kuch Bhi Nahin Hai Kum
Tujhey Zindagi Ne Bhulla Diya
To Bhi Muskura, Usey Bhool Ja....
Kiyon Atta Hua Hai Ghubaar Main
Zindagi K Fashaar Main
Woh Jo Darj Tha Teray Bakhat Main
So Woh Ho Giya, Usey Bhool Ja....
Na Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi
Na Woh khaab hi Teray Khaab Tha
Dil-e-Muntazir To Yeh Kis Liyey
Tera Jaagna, Usey Bhool Ja....
Yeh Jo Raat Din Ka Hai Khail Sa
Isey Dekh,Us Pay Yaqeen Na Ker
Nahin Aks Koi Bhi Mustaqil
Sir-e-Aiyna, Usey Bhool Ja....
Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulat Giya
Woh Jo Raastey Se Hi Palut Giya
Usey Rokney Se Hasool Kiya
Usey Mat Bula,Usey Bhool Ja....
To Yeh Kis Liye Shab-e-Hijer kay
Usey Her Sitarey Main Dekhna
Woh Falak Jis Pay Milley Thay Hum
Koi aur Tha, Usey Bhool Ja....
Aur tujhe chand banke mila tha jo
tere sahlon par khila ta jo
Woh tha ek dariya vhisaal ka
so utar gaya usse bhool jaa
Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulat Giya
Woh Jo Raastey Se Hi Palut Giya
Usey Rokney Se Hasool Kiya
Usey Mat Bula,Usey Bhool Ja...
Woh Teray Naseeb Ki Barishen
Kisi Aur Chatt Pay Barus Gain
Dil Bekhaber Meri Baat Sun
Usey Bhool Ja,Usey Bhool Ja....
zindagii ke mele mein
Zindagii ke mele mein Khvaahishon ke rele mein
tum se kyaa kahen jaanaa is qadar jhamele mein
vaqt kii ravaanii hai baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar mein taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baaten kab do ghadii mein hotii hain
dard ke samandar mein anginat jaziiren hain
beshumaar motii hain aaNkh ke dariiche mein
tum ne jo sajaayaa thaa baat us diye kii hai
baat us gile kii hai jo lahuu kii Khilvat mein
chor ban ke aataa hai lafz ke fasiilon par
Toot Toot jaataa hai zindagii se lambii hai
baat ratjage kii hai raaste mein kaise ho
baat taKhaliye kii hai taKhaliye kii baaton mein
guftaguu izaafii hai pyaar karane vaalon ko
ik nigaah kaafii hai ho sake to sun jaao
ek din akele mein tum se kyaa kahen jaanaaN
is qadar jhamele mein
yahii bahut hai ke dil us ko Dhoond laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai
karuun shikaayaten takataa rahuun ke pyaar karuun
gaye bahaar kii suurat vo laut aayaa hai
vo saamane thaa magar ye yaqiin na aataa thaa
vo aap hai ke merii Khvaahishon kaa saayaa hai
azaab huup ke kaise hain baarishen kyaa hain
fasiil-e- jism girii jab to hosh aayaa hai main kyaa
karuugaa agar vo na mil sakaa'Amjad'
abhii abhii mere dil mein Khayaal aayaa hai
Yahii Bahut Hai Ke Dil
Bheed mein ik ajnabi ka
bheed mein ik ajanabi kaa samana achaa laga
sab se chup kar vo kisi kaa dekhana acha laga
surmai ankhon ke niche phool se khilane lage
kahate kahate kuch kisi ka sochana acha laga
baat to kuchh bhi nahin thi lekin uskaa ek dam
haath ko honton pe rakh kar rokana acha laga
chaay mein chini milana us ghadi bhaya bahut
zer-e-lab vo muskurata shukriya acha laga
dil mein kitane ahad bandhe the bhulane ke use
vo mila to sab irade todana acha laga
beirada lams ki vo san sani pyaari lagi kam tavajo aankh kaa vo dekhana acha laga
nim shab ki Khamushi mein bhigati sadakon pe kal
teri yaadon ke jaalo mein ghumana acha laga
us uduu-e-jaaN ko 'Amjad' main bura kaise kahun
jab bhi aya samane vo bevaffa acha laga
Na Shikayaten Na Gilaa Kare
Na shikaayaten na gila kare
koi aisaa shakhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baaten kiya kare
kabhi roye jaaye vo bepanaah
kabhi betahaashaa udaas ho
kabhi chupake chupake dabe qadam
mere pichhe aa kar hansaa kare
meri qurbate.n meri chaahaten
koi yaad kare qadam qadam
main tavil safar mein huN agar
meri vapasi ki duaa kare
Teri zad se nikalna chahata hai
Teri zad se nikalna chahata hai
teri zad se nikalnaa chahata hai
ye dariya rukh badalna chaahata hai
vo sapana jis ki surat hi nahin hai
meri ankhon mein chalana chahata hai
dilon ki mandagi pe kya tajjub
ki suraj bhi to Dhalanaa chaahataa hai
nashist-e-dard badali hai to ab dil
zara pahalu badalna chahata hai
mujhe bhi samana hai karbala ka
mera sar bhii uchhlna chahata hai
nahin hai tarjuman-e-Gam ye ansu
ye paani ab ubalna chahata hai
tabassum zer-e-lab kahata hai 'Amjad'
koi jazba machalna chahata hai
Barish Thi
Barish thi,hum they aur ghani ho rahi thi shaam
tumne liya tha kanpte honton se mera naam
maine kaha tha aao yunhi bhegte chalein
in raaston mein dare talak ghoomte chalein
mere qamar mein haath yeh phoolon sa daal kar
kandhe pe mere rakhay raho yunhi apna sarr
haathon ko main kabhi, kabhi baalon ko choom loon
dekho meri taraf to main ankhon ko choom loon
paani k yeh jo phool hain rooh par khiley howe
in mein dhanak k rang hain saare ghulay howe
hoonton se inko chunte rahein khush dili ke saaath
taare humein talaash karen chandni k saath
yunhi kisi darakht k neeche kare rahen
barish k dare baad bhi lipte kare rahen
tune kaha tha aao chalein raat aa gayee
dil jis se darr raha tha wahi baat aa gayee
beetay samay ki yaad hi raston mein reh na jaye
yeh dil kahin visaal ki barish mein beh na jaye
kuch dare ik chup si rahi darmiyaan mein
girhein sii jaise parne lagi hoon zuban mein
yak dam gira tha phool koi shahsaar se
dekha tha tumne meri taraf iztraar se
barish mein bhegte howe jhonke hawa k they
woh chand be gumaan se lamhay bala k they
nasha sa ik chaaron taraf phelta gaya
phir is k baad maine tumein kuch nahin kaha
Tumhen mujh se mohabbat hai
Tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat kii tabiyat meIn ye kaisaa bachpana qudarat ne rakha hai ke jitani purani jitani bhi mazabut ho jaye ise ta_id-e-taza kii zarurat phir bhirahati hai yaqin kii akhiri had tak dilon mein lah_lahati ho nigahon se Tapakati ho lahu mein jag_magati ho hazaron tarah se dil_kash hasin haale banati ho use izhar ke lafzo.n ki hajat phir bhi rahati hai mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki ke jaise tifl-e-sada shaam ko ik bij boye aur shab mein baura uthe
zamin ko khod kar dekhe ke paudha ab kahan tak hai mohabbat kii tabiyat mein ajab takarar ki
Khu hai ke ye iqraar ke lafzon ko sunane se nahin
thakati bichhadane kii ghadi ho yaa koi milane
kii saat ho ise bas ek hii dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai kuchh aisii besakuni hai vafaa kii sar_zaminon mein ke jo
ahal-e mohabbat ko sadaa bechain rakhati hai ke jaise phuul mein Khushbu ke jaise haath
mein taaraa ke jaise shaam kaa taara
mohabbat karane valon kii sahar raaton mein
rahati hai gumanam ke shakhchon mein ashiyaan banataa hai ulfat kaa ye ain visaal mein bhii hijr ke Khadshon mein rahati hai mohabbat ke musafir zindagii jab kaaT chukate hain
thakan kii karachiyan chunate vafaa kii ajaraken pahane samay ki rah_guzar kii aaKhiri sarhad pe
rukate hain to koi Dubati saanson ki Dori thamker dhire se kahataa hai ke ye sach hai naa
hamari zindagi ik dusare ke naam likhii thii
dhundhalaka sa jo ankho.n ke qarib-o-dur phailaa hai
isi kaa naam chaahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat kii tabiyat mein ye kaisa bachapnaa
qudarat ne rakkha hai
Bikhre Moti
Khud apne liye beth ke sochenge kisi din
Yun hai ke.. tujhe bhool ke dekhenge kisi din
Bhatke huwe phirte hain kain lafz jo dil mein
Duniya ne diya waqt to likhenge kisi din
Aapas ki kisi baat ka miltaa hi nahin waqt
Har baat yeh kehte hain ke bethenge kisi din
Aey jaan teri yaad ke be-naam parinde
Shakon pe mere dard ki utrenge kisi din
jaati hai kisi jheek ki gehraai kaha tak
Aankhon mein teri doob ke dekhenge kisi din
Khushboo se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
Ek naz'm tere vaaste likkhenge kisi din
Soyenge teri aankh ki khalwat mein kisi raat
Saye main teri zulf ke jaagenge kisi din
"Amjad"hai yahi ab ke kafan bhaandh ke sar se
Us sheher-e-sitamgaar mein jayenge kisi din
Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya
Aankhon ka rang baat ka lehja badal gaya
Vo shakhs aik shaam mein kitna badal gaya
Koi bhi cheez apni jagah per nahin rahi
Jaatay he aik shakhs ke kiya kiya badal gaya
Hairat se saaray lafz usay dekhtay rahay
Baaton mein apni baat ko kesa badal gaya
Kehnay ko aik sehen mein deewaar he bani
Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
Shayed wafa ke khel se ukta gaya tha vo
Manzil ke paas aa ke jo rasta badal gaya
Aankhon mein jitnay ashk thay jugnu se ban gaye
Vo muskuraaya aur miri duniya badal gaya
Kaha tha na ke yoon sote huye mat chorr ke jana
Kaha tha na ke
yoon sote huye mat chorr ke jana
Mujhe beshak jaga dena bata dena
Tumhain rasta badlna hai
Meri had se nikalna hai
To tumhain kis baat ka dar tha
Main tumhain jane nahi deta
kahin pe qaid kar leta
Arey pagal
mohabbat ki tabiyat me zabrdasti nahi hoti
Jise rasta badlna ho
usy rasta badlne se
Jise had se nikalna ho
usey had se nikalne se
Na koi rok paaya hai
Na koi rok paaye ga
To tumhain kis bat ka dar tha
Muje beshak jaga dete
Main tumhain dekh hi leta
Tumhain koi dua deta
kam’az kam yoon to na hota
Mere sathi ye haqiqat hai
tumhare bad khone ke liye kuch bhi nahi baki
Magar main khone se darta hon
Main ab sone se darta hon..
Bheerh Main ek Ajanabi Ka Samna Achcha Laga
Bheerh Main ek Ajanabi Kaa Samna Achcha Laga
Sab Se Chup Kar Vo Kisi Kaa Dekha Achcha Laga
Surmai Ankhon Ke Niiche Phool Se Khilane Lage
Kahate Kahate Kuchh Kisi Kaa Sochna Achcha Laga
Baat To Kuch Bhi Nahin Thi Lekin Us Kaa Ek Dam
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Achcha Laga
Chaay Main Chini Milana Us Ghari Bhaya Bahut
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriyaa Achcha Laga
Dil Main Kitane Ahad Bandhe The Bhulane Ke Use
Vo Milaa To Sab Iraade Torana Achcha Laga
Beirada Lams Ki Vo Sansani Pyari Lagi
Kam Tavajo Aankh Kaa Vo Dekhna Achcha Laga
Nim Shab Kii Khamushi Main Bhigati Sarakon Pe Kal
Teri Yaadon Ke Jalo Main Ghumna Achcha Laga
Us Uduu-E-Jaan Ko ‘Amjad’ Main Buraa Kaise Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamane Vo Bevafa Achcha Laga
Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye
Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,
Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,
Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,
Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,
Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…
Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye
Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,
Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,
Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,
Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye,
Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,
Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,
Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..