Allama Iqbal
9/10/1877-21/04/1938
Sir Muhammad Iqbal known as Allama Iqbal was born on the 9th November 1877 in
sailkot,punjab,british india. He studied in intermediary college in sialkot then did his higher education at the goverment college in lahore, He graduated with English andliterature, philosophy and arabic. After doing MA in Philosophy he became lecturerin history,philosophy and political science. Then he moved on to teaching philosophy and english litrature. Iqbal proveeded to europe for higher education in 1905 and did his honors degree in pholosophy and also taught arabic at the cambridge
university. He also did his doctorate in philosphy in germany and also passed honors examination in economics and politcal science. Iqbal is best known as an eminent poet, he is also a highly acclaimed "Muslim philosophical thinker of modern times". His first poetry book, Asrar-e-Khudi, appeared in the Persian language in 1915, and other books of poetry include Rumuz-i-Bekhudi, Payam-i-Mashriq and Zabur-i-Ajam. Amongst these, his best known Urdu worksare Bang-i-Dara, Bal-i-Jibril, Zarb-i Kalim and a part of Armughan-e-Hijaz. Iqbal was shaken by the tragic events of World War I and the balkan wars and battle of tipoli and all his feelings showed in his poems Khizr-e-Raah and Bang-e-Dara. Iqbal died on the 21st april 1938 in the arms of his own devoted servant,he was buried in hazuri bagh in lahore.
Sitaaron se agay jahan aur bhi hain,
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain,
Tahi zindagi se nahin yeh fazaayen,
Yahan sainkrron kaarwaan aur bhi hain,
Qanaaat na kar aalam-e- rang-o-buu pr,
Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain,
Agar kho geya ik nasheman to kya gham,
Maqamaat aah-o-faghaan aur bhi hain,
Tu shaaheen hai parvaaz hai kaam tera,
Tere saamne aasmaan aur bhi hain,
Isi roz-o-shab main ulajh kar na reh ja,
Ke tere zamaan-o-makaan aur bhi hain,
Gaye din ke tanhaa tha main anjumann main,
Yahan ab mere raazdaan aur bhi hain..
Sitaaron se agay jahan aur bhi hain
Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein
Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein
Woh Nikle Mere Zulmat Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein
Haqiqat Apni Ankhon Par Namayan Jab Huwi Apni
Makan Nikla Humare Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein
Agar Kuch Ashana Hota Mazaq-e-Jaba-Sayi Se
To Sang-e-Astan-e-Kaaba Ja Milta Jabeenon Mein
Kabhi Apna Bhi Nazara Kiya Hai Tu Ne Ae Majnoon
Ke Laila Ki Tarah Tu Bhi Hai Mehmil Nasheenon Mein
Mahine Wasl Ke Ghariyon Ki Soorat Urte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzerti Hain Mahinon Mein
Mujhe Roke Ga Tu Ae Na-Khuda Kya Gharaq Hone Se
Ke Jin Ko Doobna Ho, Doob Jate Hain Safeenon Mein
Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis Ne
Wohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein
Jala Sakti Hai Shama-e-Kushta Ko Mouj-e-Nafas In Ki
Elahi! Kya Chupa Hota Hai Ahl-e-Dil Ke Seenon Mein
Tamanna Dard-e-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqeeron Ki
Nahin Milta Ye Gohar Badshahon Ke Khazeenon Mein
Na Puch In Kharqa Poshon Ki, Iradat Ho To Dekh In Ko
Yad-e-Baiza Liye Baithe Hain Apni Asteenon Mein
Tarasti Hai Nigah-e-Narsa Jis Ke Nazare Ko
Woh Ronaq Anjuman Ki Hai Inhi Khalwat Guzinon Mein
Kisi Aese Sharar Se Phoonk Apne Kharman-e-Dil Ko
Ke Khursheed-e-Qayamat Bhi Ho Tere Khosha Cheenon Mein
Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne Wala
Ye Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abgeenon Mein
Sarapa Husn Ban Jata Hai Jis Ke Husn Ka Ashiq
Bhala Ae Dil Haseen Aesa Bhi Hai Koi Haseenon Mein
Pharak Utha Koi Teri Adaye ‘MA ARAFNA’ Par
Tera Rutba Raha Barh Charh Ke Sub Naaz Afreenon Mein
Namayan Ho Ke Dikhla De Kabhi In Ko Jamal Apna
Bohat Muddat Se Cherche Hain Tere Bareek Beenon Mein
Khamosh Ae Dil! Bhari Mehfil Mein Chillana Nahin Acha
Adab Pehla Qareena Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein
Bura Samajhun Inhain, Mujh Se To Aesa Ho Nahin Sakta
Ke Main Khud Bhi To Hun Iqbal Apne Nukta Cheenon Mein
Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hun
Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun
Sitam Ho Ke Ho Wada-e-Be-Hijabi
Koi Baat Sabr Azma Chahta Hun
Ye Jannat Mubarik Rahe Zahidon Ko
Ke Mein Ap Ka Samna Chahta Hun
Zara Sa To Dil Hun Magar Shaukh Itna
Wohi Lan-Tarani Suna Chahta Hun
Koi Dam Ka Mehman Hun Ae Ahl-e-Mehfil
Charagh-e-Sehar Hun, Bujha Chahta Hun
Bhari Bazm Mein Raaz Ki Baat Keh Di
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun
Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne B Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hy
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo
Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Mai Wo Saaz Badal Dalo
Dushman K Iradon Ko Hy Zahir Agar Karna
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo
Ay Dost Karo Himat Kuch Door Sawera Hy
Agar Chahte Ho Manzil Tu Parwaaz Badal Dalo
Muztrab Rakhta Hai Mera Dil-e Betab Muje
Muztrab Rakhta Hai Mera Dil-e Betab Muje
Aen Hasti Hai Tarap Sorat Semab Muje
Moj Hai Naam Mera Behr Ha Payab Muje
Ho Na Zanjer Kabi Halqa-e Gardab Muje
Aab Mai Misal Hua Jata Hai Tu Sun Mera
Khar-e Mahi Se Na Atka Kabi Daman Mera
Mai Uchlati Hon Kabi Jazb Meh Kamal Se
Josh Mai Sir Ko Patakti Hon Kabi Sahal Se
Hon Wo Rahro Ke Mohabat Hai Muje Manzil Se
Kun Tarapti Hon Ye Poche Koi Mere Dil Se
Zehmat Tangi Darya Se Guraizan Hon Main
Wusat Behr Ki Furqat Mai Preshan Hon Main
Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai
Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai
Musalmanon Mein Khun Baqi Nahin Hai
Safen Kaj, Dil Pareshan, Sajda Bezuk
K Jazba-E-Andrun Baqi Nahin Hai
Ragon Mein Lahu Baqi Nahin Hai
Wo Dil, Wo Awaz Baqi Nahin Hai
Namaz-O-Roza-O-Qurbani-O-Haj
Ye Sab Baqi Hai Tu Baqi Nahin Hai
Aata Hai Yaad Mujhko
Aata Hai Yaad Mujhko
Aata hai yaad mujhko guzra hua zamaana
Vo baagh ki bahaarein vo sab ka chehchahaana
Aazaadiyaan kahaan vo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana apni khushi se jaana
Lagti ho chot dil par, aataa hai yaad jis dam
Shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskuraana
Vo pyaari pyaari soorat, vo kaamni si moorat
Aabaad jis ke dam se tha mera aashiyaana
Iqbal tery dees ka kya haal
Iqbal tery dees ka kya haal
sunnaun, Bebaqi_o_h
Iqbal Tery Dees Ka Kya Haal
Sunnaun,
Bebaqi_o_haq Goi Sy
Gabrata Hai Momin,
Makkari_o_robahi Py Itrata
Hai Momin,
Jis Rizq Sy Parwaz Main
Kotahi Ka Dar Ho,
Woh Rizq Bary Shoq Se
Khata Hai Momin,
Kirdar Ka, Guftar Ka, Aamal
Ka Momin,
Qaail Nhi Aisy Kisi Janjal Ka
Momin,
Sarhad Ka Hai Momin Koi
Punjab Ka Momin,
Dhondy Sy B Milta Nhi Quran
Ka Momin,
Iqbal Tery Des Ka Kya Hall
Sunaun.!