top of page

Ahmed Faraz

 21/01/1931-25/08/2008

Ahmed Faraz(Syed Ahmed Shah)born on 12 January 1931 in Kohat,He moved to Peshawar with his family. He studied in famous Edwardes College, Peshawar and received Masters in Urdu and Persian from Peshawar University,he was a Pakistani Urdu poet. He was acclaimed as one of the best modern Urdu poets of the last century. 'Faraz' is his pen name, (in Urdu takhalus) He was awarded Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and after his death Hilal-e-Pakistan by the Government of Pakistan.
He has been awarded with numerous national and international awards. In 2006, he returned the Hilal-e-Imtiaz award he was given in 2004.
Faraz died of kidney failure in a local Islamabad hospital on 25 August 2008. His funeral was held on the evening of 26th, by many admirers and government officials at H-8 Graveyard, Islamabad, Pakistan
some of his work include:
Pas-e-Andaz-e-Mausam
Shehr-e-Sukhan Arasta Hai (Kulliyaat)
Pas-e-Andaz-e-Mausam

Silsile tod gaya woh sabhi

Silsile tod gaya

Silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate 

silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate


warna itne to marasim the k aate jaate

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha


apne hisse ki koi shama jalate jaate

kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana


fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate

jashan-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi


paab-zoolan hi sahi naachte gaate jaate

uski woh jaane use paas-e-wafa tha k na tha


tum Faraz apni taraf se to nibhaate jaate

Kyun nahi detay

kyun nahin detay

Khamosh ho kyun, daad-e-wafa kyun nahi detay
Bismil ho to kaatil ko duwa kyun nahi detay

Vahaashat ka sabab ruuzan-e-zindaan to nahi hai
Mahar-o-maah-o-Anjum ko bujha kyun nahi detay

Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ay chaaragaaro dard barha kyun nahi detay

Munsif ho agar tum to kub insaaf karoge
Mujrim hai agar hum to sazza kyun nahi dete

Rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
Rahabar ho to manzil ka pataa kyuun nahi dete

Kya beet gai ab ke Faraz ahal-e-chaman par
Yaaran-e-qafas mujhko sada kyun nahi dete 

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay

Abhi to ishq main

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

 

Baarish ke baad

Baarish ke baad
Barish ke baad - dua-e-lafz
00:0000:00

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

​

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

​

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

​

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

​

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

​

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya  baarish ke baad

Iss tarah toote

Iss tara toote

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

Us ko juda huye bhi

Us ko juda huye bhi

Us ko juda huye bhi zamana bohat huwa,
Ab kya kahen yeh qissa purana bohat huwa,

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq,
Ae marg e na-gahaan tera ana bohat huwa,

Hum khuld se nikal to gaye hai pr ae kudda,
itne se waqqiye ko fasaana bohat huwa,

Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani,
Iss aashiqui main jaan se jana bohat huwa.

Ab tak to dil se dil ka tarruf na ho saka,
Maana ke us se milna milaana bohat huwa,

Kya kya na hum kharab huye hai magar yeh dil,
Ae yaad-e-yaar tera thikaama bohat huwa,

Kheta tha naasehon se mere muu na aayio,
Phir kya tha ek huu ka bahana bohat huwa,

Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka naam,
Ahmed faraz tujhe kaha naa bohat huwaa.

Dil beqaraar apanaa hai

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti ka khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

Dil beqaraar apanaa

kahte hain

kahte hain

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar

Suna Hai Loog Usse

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte
Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte
Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair
Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

 

Woh Baharon Main Zara Kum

Woh Baharon main

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

 

Aankh se door na ho dil se utar jayega
vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega
itna maanus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tu kabhi Khud ko bhi dekhega to dar jaayega
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaoge
aur wo baam-e-rafaqat se utar jaayega
zindagi teri ata hai to ye jaanevalaa
terii bakhshish teri dahaliz pe dhar jaayega
dubate dubate kashtii to ochhala de don
main nahin koii to saahil pe utar jaayega
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka ‘Faraz’
zalim ab ke bhi na royega to mar jaayega

Aankh se door na ho dil se utar jayega

Aankh se door na ho dil se

Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata

Qurbat bhi nahin dil se

Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
woh shakhs koi faisla kar bhi nahi jata

Dil ko teri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujhse bichhaR janae ka dar bhi nahi jata

Aankhein hain ke khali nahin rehti hain Lahu se
aur zakhm-e-judaai hai ke bhar bhi nahin jata

Wo rahat-e-jaan hai magar is dar badari mein
aisa hai ke ab dhyaan udhar bhi nahi jata

Hum dohri aziyyat ke gariftaar musafir
paaon bhi hain shull shauq-e-safar bhi nahin jata

Paagal huye jate ho Faraz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahin jata

 

Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyon nahin dete

Khamosh ho kyu daad-e-jafaa

Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyon nahin dete
bismil ho to qaatil ko duaa kyon nahin dete
vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaan to nahin hai
mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyon nahin dete
ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaan hai
ai chaaraagaro dard barhaa kyon nahin dete
munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujarim hai agar ham to sazaa kyon nahin dete
rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
rahabar ho to manzil kaa pataa kyon nahin dete
kyaa bit gai ab ke ‘Faraz’ ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyon nahin dete

Ab Ke Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein

Ab ke bichre to shayad

Ab Ke Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein
Jis Tarah Sukhe Hoye Phol Kitabon Mai Milain

Dhond Ujre Hoye Logo Mai Wafa K Moti
Ye Khzane Tuje Mumkin Hai Khrabon Mai Milain

Gham-e Dunya Bi Gham-e Yar Mai Shamal Kar Lo
Nisha Barhta Hai Shrabain Jo Shrabon Mai Milain

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jesa
Dono Insan Hain Tu Kun Itne Hijabon Mai Milain

Aaj Ham Dar Par Khenche Gye Jin Baton Par
Ajab Kal Wo Zmane Ke Nisabon Mai Milain

Ab na woh main,na woh tu hai,na woh maazi
hai"faraz"
Jaise do shakhs tamana ke sarabon mein milain

Hum kawaboon ke beopari thay 

Hum kawaboon ke beopari

Hum kawaboon ke beopari thay 
per is main hua nuqsan bara
kuch bakht main dheroon kaalak thee
kuch ab k ghazab ka kaal para
hum raakh leye hain jhooli main 
aur sur pe sahokar karra
yahan bund nahain hey dewey main
woh baj beaj ki bat karey
hum bhaanjh zameen ko taktay hain
woh dhhor anaj ki bat karey
hum kuch din ki muhlat mangain
woh aaj hi aaj ki bat karey
jab dharti sehra sehra thee
hum darya darya roye thay
jab hath ki rekhaiin chup thee
aur sur sangeet main soye they 
jab hum ne jewan khhetee main 
kuch khawab ankhoye boye thay
kuch khawab sajal muskano ke
kuch geet khabat diwano ke
kuch neer wafa ki shamoon ke
kuch per pagal perwano ke
kuch lafaz jinhain maanii na miley
kuch geet shikista jano ke
phir apni ghaayal ankhoon se
khush ho ke lahoo chhirkaya tha
matti main maas ki khhad bharee
aur nas nas ko zakhmaya tha
aur bhool geye pichhli rut main 
kya khhoya tha kya paya tha...

Abhi kuch aur karishmay
Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhtay hain

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhtay hain
'Faraz' ab zara lehja badal ke dekhtay hain
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar
Kuch aur door zara saath chal ke dekhtay hain
Raah-e-wafa mein hereef kharam koi tau ho
sou apne aap se aagay nikal ke dekhtay hain
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahe aata
Yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtay hain
Yeh kaun log moujood hain teri mehfil mein
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jal ke dekhtay hain
Bahut dinoon se nahe hai kuch us ki khair khabar
Chalo 'Faraz' ko-e-yaar chal ke dekhtay hain

Inhin khush gumaniyon
Inhin khush gumaniyon main kahin jan se bhi na jao

Inhin khush gumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao

ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao

vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao

mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao

ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao

kisi bevafa ki khatir ye junun ‘Faraz’ kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao.

Juz tere koi bhi din raat
Juz tere koi bhi din raat na jaane mere

Juz tere koi bhi din raat na jaane mere
tuu kahaan hai magar ai dost puraane mere

tuu bhi Khushbuu hai magar meraa tajasus bekaar
barq-e-avara ki manind Thikhane mere

shama ki lau thi ke vo tuu tha magar hijr ki raat
der tak rota raha koi sirhane mere

Khalq ki bekhabari hai ke meri rusavai
log mujh ko hi sunate hain fasane mere

lut ke bhi Khush hoon ke ashkon se bhara hai daman
dekh Garat_gare dil ye bhi Khazane mere

aaj ik aur baras beet gayaa us ke bagair
jis ke hote hue hote the zamaane mere

kaash tu bhi meri avaaz sunata ho
phir pukaare hai tujhe dil ki sadaa ne mere

kaash tu bhi kabhi aajaaye masihai ko
log aate hain bahut dil ko dukhaane mere

tu hai kis haal mein ae zuud_faraamosh mere
mujh ko to chhin liyaa ahad-e-vafaa ne mere

chaaraagar yun to bahut hain magar ai jaan-e-‘Faraz’
juz tere aur koi Gam na jaane mere

bottom of page