top of page

Abbas Tabish

Abbas Tabish Born on 15th jun 1961,Mailsi Tehsil  is a subdivision tehsil, of Vehari District, in the Punjab province of Pakistan.
One of the known poet around the world specially in Pakistan and India.He is the winner of the prestigious Pride of Performance award. He is also an Assistant Professor at the Government College, Lahore.

Aankh pe patti baandh ke mujh ko tanhaa chorr diya hai,
Yeh kis ne sehraa me laa kar sehraa chorr diya hai,
Jissm ki borii se bahar bhi kabhi nikal aaon ga,
Abhi to iss pr khushh hoon us ne zinda chorr diya hai,
Zehn mera azaad hai lekin dil ka dil muthhi me,
Aadha us ne qaid rakha hai aadha chorr diya hai,
Jahaan duaa milti thii Allah jorri salamat rakhe,
Maine tere baad udhar se guzarna chorr diya hai,
Chaaron-shaane-chit mitti pr giraa parra hoon Tabish,
Jaane kis ne dusri jaanib rassa chorr diya hai..

Aankh pe patti baandh ke mujh ko tanhaa chorr diya hai,
Aankh pe patti baandh ke

Meri tanhai barhate hain chale jate hain

Meri tanhai barhate hain chale jate hain,

Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,
Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,

Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,
Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushbu,

Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,
Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,

Aap aate hain rulate hain chale jate hain,
Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,

Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,
Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,

Aap to aag lagate hain chale jate hain,
Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,

Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain..

Meri tanhai barhate hain chale jate hain
Meri tanhai barhate hai

Pani ankh main bhar ke laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabbat
lekin is se kaam chaleya ja sakta hai
Dil par pani peeny ati hain umeedain
Is chashmy main zehar milaya ja sakta hai 
Mujh benam se pujhty hai farhad-o-majnu
ishq mai kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao
ehsa zakham to dil per khaya ja sakta hai

Phatta puran khwaab hai mera phir bhi Tabish
is main apna app chupaya ja
sakta hai

Pani ankh main bhar ke laya ja sakta hai
Pani aankh main bhar

Dasht main pyaas bujhate huwe mar jaate hai
ham parinde kahin jaate huwe mar jaate hai
Ham hain sukhe huwe talab pe baithe huwe hans
jo taalluq ko nibhate huwe mar jaate hai
Ghar pahunchta hai koi aur hamare jaisa
ham tere shaher se jaate huwe mar jaate hai
Kis tarah log chale jaate hai uth kar chup-chap
ham to yeh dhyan mein laate huwe mar jaate hai
Un ke bhi qatil ka ilzam hamare sar hai
jo hame zahar pilate huwe mar jaate hai
yeh mohabbat ki kahani nahin marti lekin
log kirdaar nibhate huwe mar jaate hai
ham hain vo tooti huwe kashtiyon wale'Tabish'
Jo kinaron ko milate huwe mar jaate hai

Dasht main pyaas bujhate huwe mar jaate hai
Dasht main pyaas bujhate

Bohat be-kar mausam hai magar kuch kaam karna hai
ki taaza zakhm milne tak purana zakhn bharna hai

Abhi saada varq par naam tera likh ke baitha huun
abhi is mein mahak aani hai titli ne utarna hai

Badhe jo habs to shakhen hila dena ki ab ham ko
hawa ke saath jeena hai hawa ke saath marna hai

Mabada us ko diat ho nishane tak pahunchne mein
so main ne phool se deevar ke rakhne ko bharna hai

Yahi ik shughal rakhna hai aziyyat ke dinon main bhi
kisi ko bhool jaana hai kisi ko yaad karna hai

Koi chehra na ban paaya muqaddar ki lakiron se
so ab apni hatheli mein mujhe khud rang bharna hai

Koi rasta mile kyukar mere pa-e-khajalat ko
yaha to paanv dharna bhi koi ilzam dharna hai

Vo har lamha dua dete hain lambi umar ki 'tabish'
mujhe lagta hai pyaron ko bhi rukhsat main ne karna hai

 

Bohat be-kar mausam hai magar kuch kaam karna hai
Bohat be-kar mausam hai
bottom of page