top of page

Aanis Moeen

    (1960 - 1986)

Aanis Moeen was a modern Urdu poet from Multan, Pakistan who hanged himself to commit suicide at the young age of 27 years.

Suicide Note apne maa baap ke name

Zindagi se zyada azeez Ammi aur pyare abbu jaan

Khuda aapko humesha salaamt rakhe
Meri is harkat ki sivaaye iske koi aur wajah nahin ki main zindagi ki yaksaniyat se ukta gaya hoon.... kitaab-e hayat ka jo safha ulatTa hoon us par wohi tehreer nazar aati hai jo pichhle safhe pe padh chuka hota hoon... is liye maine dher saare oraq chhod kar woh tehreer padhne ka faisla kya jo aakhri safhe pe likhi hui hai.... Mujhe na toh ghar walon se shikayat hai, na daftar ya baahar walon se... balky logon ne toh mujhe itni mohabbat ki hai ki main iska mustahik bhi nahin tha. Logon ne agar mere saath koi zyaadati ki bhi hai ya kisi ne mera kuchh dena hai toh main woh muaaf karta hoon.. KHUDA meri bhi zyaadtiyon aur gunaahon ko muaaf farmaaye.. Aur aakhir mein ek khaas baat woh ye ki _________ aakhir mere paas RAAH-E -KHUDA mein dene ko kuchh bhi nahin hai... so main apni aankhen eye bank ko donate karta hoon... mere baad yeh aankhen kisi mustahiq shakhs ko laga di jaayen toh meri rooh ko haqeeqi sukun haasil ho sakne ki umeed hai. Marne ke baad mujhe aapki duaon ki pehle se zyada zaroorat rahegi.. albatta ghair'zaroori rasomat par Paisa kharch karne ki zaroorat nahin hai maine kuchh rupaiya aamna ke paas isi liye rakhva diye hain ki is mauqe pe kaam aa saken....

Aapka nalaayaq beta
Anis Moin
Aslam Khan building Multan

AANIS MOIN


 

woh mere haal pe roya bhi muskuraya bhi

woh mere haal pe roya bhi muskuraya bhi
ajeeb shakhs hai apna bhi hai paraya bhi

 

ye intezaar sehar ka tha ya tumhara tha
diya jalaya bhi maine diya bujhaya bhi
 

main chahta hoon thaher jaye chashm-e-darya mein
larazta aks tumhara bhi mera saaya bhi

​

Bohat maheen tha parda larazti palkon ka
mujhe chhupaya bhi tune mujhe dikhaya bhi


beyaz bhar bhi gayi aur phir bhi saada hai
tumhare naam ko likha bhi aur mitaya bhi

Woh kuchh gehri soch mein aise doob gaya hai

Woh kuchh gehri soch mein aise doob gaya hai,
baithe baithe nadii kinaare doob gaya hai.

Aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi,
aaj ka sooraj shaam se pehle doob gaya hai.

Woh jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha,
paani paani kehte kehte doob gaya hai.

Mere apne andar ek bhanwar tha jis mein,
mera sab kuchh saath hi mere doob gaya hai.

Shor toh yun utha tha jaise ek toofaan ho,
sanaatte mein jaane kaise doob gaya hai.

Aakhiri khwaahish poori kar ke jeena kaisa,
aanis’ bhi saahil tak aa ke doob gaya hai.!!

Woh mere haal pe roya
Woh kuch gehri soch
bottom of page