![](https://static.wixstatic.com/media/121f9f_fa1e04f4f89545ddbd75b3e79f009ac7~mv2_d_3888_2592_s_4_2.jpg/v1/fill/w_1920,h_1280,al_c,q_90,usm_0.66_1.00_0.01,enc_avif,quality_auto/121f9f_fa1e04f4f89545ddbd75b3e79f009ac7~mv2_d_3888_2592_s_4_2.jpg)
Ada jafri
Ada jafarey birth name aziz jahan.Born on the 22nd august 1924,in badayun,u.p.british india
ada jafarey was First urdu poet and use to write comtemprary urdu literature she has recieved many awards from pakistan,north america and Europe.
As early as 1950, she was recognized as the First Lady of Urdu Poetry
Ada jafarey started writing at the age of 12 under the pen name Ada Badayuni.
ada jafarey married nurul hasan jafarey and moved to karachi in 1947.
her husband was a literateur himself who wrote colums fo both english and urdu newspapers.
Ada jafarey work are mostly ghazals and nazms
ada jafarey first ghazal was published in akhtar sheerains magazine roman in 1945 other include
Main saaz dhundthi rein Her book,Shahr-i Dard’, ‘Ghazalan, Tum to Waqif Ho!’,‘harf-i Shanasia’, ‘Safar Baqi’, and ‘Mausam, Mausam’,“Jo Rahi so BeKhabri Rahi”,Saz-i Sukhn Bahana hai Her ghazal, Honton pih kabhi un ke mera naam ha ae was sung and popularised by Ustad Amanat Ali Khan.
in 1967 for her second poetic collection, Shahr-i Dard
Ada Jafarey died in the evening of 12 March 2015 in a hospital in Karachi where she was being treated,at the age of 90.
22-08-1924 / 12-03-2015
![](https://static.wixstatic.com/media/121f9f_23997b5c935c49dd9dea4c6707d77236~mv2.jpg/v1/fill/w_549,h_318,al_c,q_80,usm_0.66_1.00_0.01,enc_avif,quality_auto/121f9f_23997b5c935c49dd9dea4c6707d77236~mv2.jpg)
Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye
Honton pe kabhi un ke mera naam hi aye
Aye to sahi,bar sar-e-ilzam hi aye
Hairan hain labb basta hai,dilgeer hain ghunche
Khushbu ki zubaani tera paigham hi aye
Lamhaat mussarat hain tasawwur se gurezaa'n
yaad aye hain jab bhi ghum-o-aalam hi aye
Taaron se saja lenge raah-e-sheher-e-tamanna
Maqdoor nahin subha chalo shaam hi aye
Kya raah badalne ka gila humsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-baam hi aye
Thak haar ke bethe hain sar kooye tamanna
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye
Baqi na rahe saakh ada dasht-e-junoo'n ki
Dil men ager andesha-e-ajnaam hi aye
![](https://static.wixstatic.com/media/121f9f_c8109f5ee0244241ae40aaab7202b26d~mv2.jpg/v1/fill/w_401,h_602,al_c,lg_1,q_80,enc_avif,quality_auto/121f9f_c8109f5ee0244241ae40aaab7202b26d~mv2.jpg)
Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan
Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan,
Hum aese log ab milen hikaayaton ke darmiyaan,
Lahuu-lahaan ungliyaan hain aur chup kharri hun main,
Gul o samaan ki bepanaah chaahton ke darmiyaan,
Hatheliyon ki ott hi chiraagh le chalun abhi,
Abhi sehar ka zikr hai riwaayaton ke darmiyaan,
Jo dil mei thi nigaah si nigaah mei kiran si thi,
Woh daastaan ulajh gayi wazaahton ke darmiyaan,
Sahiifa-e-hayaat mei jahan jahan likhi gayii,
Likhi gayii hadees-e-jaan jaraahton ke darmiyaan,
Koi nagar koi galii shajjar ki chaaon hi sahi,
Yeh zindagi na katt sake musaafaton ke darmiyaan,
Ab uss ke haal-o-hadh ka rang mujh se puuchna abass,
Nigaah jhappak jhappak gayi iraadaton ke darmiyaan,
Sabaa ka hath thaam kar “adaa” na chal sako gi tum,
Tamaam umr khawb khaawb saa.aaton ke darmiyaan
![](https://static.wixstatic.com/media/121f9f_6f4aac0d89104183ba4553088a282387~mv2.jpg/v1/fill/w_440,h_657,al_c,lg_1,q_80,enc_avif,quality_auto/121f9f_6f4aac0d89104183ba4553088a282387~mv2.jpg)